Tarahi ghazal guz#12
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
Tarahi ghazal guz#12
Ahl-e-bazm
aadaab
maiN apni adna si kawish aap ki khidmat maiN pesh kar rahi hoN umeed hai aap apni aaraa se agah kareN ge
wasalaam
zmufti
1. Rishtey bana chukey haiN kayii is nagar main hum
"Rahat watan ki yaad kareN kaya safar main hum"
2. Chehra khushi ka dekhay zamana guzar gaya
Ghut ghut ke jee rahe haiN GhamoN ke Acar main hum
3. Thandak mili kuch aisee mohabbat ki aag meN
Jalte rahe Khooshee se wafa ke sharar men hum
4. Khud ko bhulaye baiThe haiN hum teri yaad meN
Tere hi gham ka dard liye haiN jigar meN hum
5. saathi koi mila na koi hamsafar bana
dhooda kiye yahaN se wahaN duniya bhar main hum
6. yeh raastey hamieN KahaN le jaayieN kiya khabar
jab kho chukey haiN apna pata rahguzar main hum
7. tu zindagi ki raah main Jab se hua hai Gum
Kartey rahey talash tujhey har khabar main hum
8. ik doosrey ke bairi huay bhai bhee jahaN
Rehtay haiN nafratooN se bharey us nagar main hum
9. Hum besabab zamane se kyooNkar gila kareN
jab taaq Ho sakey na kissi bhee hunar main hum

Last edited by zmufti on Tue Dec 20, 2005 3:07 am, edited 1 time in total.
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
bahut khoob
MuHtaramah
Zmufti SaaHibah,
Aapki TaraHi ghazal bahut achchi hei jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
1. Rishtey bana chukey haiN kayii is nagar main hum
Rahat watan ki yaad kareN kiyoN safar main hum
Aapka maTlaA jou TaraHi miSreA per gireh lagaakar banaayaa gayaa hei, theek hei. Pahle tou aap ne TaraHi miSreA ko yooN likhkhaa hei ke jis se yeh gumaan houtaa hei ke wo aapka hi miSraA hei. Doosri baat yeh ke aap ne TaraHi miSreA ke lafz "kyaa" ko "kiyuN" se badal diyaa hei.
2. Chehra khushi ka dekhay zamana guzar gaya
Ghut ghut ke jee rahe haiN GhamoN ke Acar main hum
Yeh sheAr achchaa hei aur qaabil-e-daad bhi.
3. Thandak mili kuch aisee mohabbat ki aag meN
Jalte rahe Khooshee se wafa ki sharar men hum
SheAr achchaa hei lekin doosre miSreA meiN lafz "sharar" muzakkar hounaa chaahiye. isko yooN kiyaa jaasaktaa hei (jalte rahe khushi se wafaa ke sharar meiN ham".
4. Khud ko bhulaye baiThe haiN hum teri yaad meN
Teri hi gham ka dard liye haiN jigar meN hum
sheAr achchaa hei. Doosre miSreA meiN lafz "teri" ko "tere" banaaleejiye kiuynkeh lafz "gham" muzakkar hei.
5. saathi koi mila na koi hamsafar bana
dhooNda kiye yahaN se wahaN duniya bhar main hum
SheAr achchaa hei lekin lafz "dunyaa" ke Harf "alif" ko giraane se uski aavaaz buri TaraH dab rahi hei. BaAz ahl-e-Arooz isko maAyhoob maante heiN is liye is tareeqeh se gurez karnaa behtar hei.
6. yeh raastey hamieN KahaN le jaayieN kiya khabar
keh kho chukey haiN apna pata rahguzar main hum
SheAr Theek hei lekin doosre miSreA meiN lafz "keh" kii jagah "jab" banaaleejiyhe.
7. tu zindagi ki raah main Jab se hua hai Gum
Kartey rahey talash tujhey har khabar main hum
yeh sheAr theek hei.
8. ik doosrey ke bairi huay bhai bhee jahaN
Rehtay haiN nafratooN se bharey us nagar main hum
yeh SheAr bhi achchaa hei.
9. Hum besabab zamane se kyooNkar gila kareN
jo taaq Ho sakey na kissi bhee hunar main hum
accha sheAr hei lekin doosre miSreA meiN lafz "jo" ko "jab" se badal deejiye.
Aakhir meiN dobaarah apni dili daad aur mubaarakbaad pesh kartaa hooN ke aapke tamam ashAar beHr meiN heiN aur maAnavi liHaaz se bhii khoob heiN.
Aapka MukhliS,
Nazir,
Last edited by Abdullah Nazir on Sat Dec 24, 2005 10:55 am, edited 1 time in total.
- rahmed25682
- -
- Posts: 126
- Joined: Thu Dec 09, 2004 8:28 am
- Location: Karachi
- Contact:
Salam Zarqa jee ..
Mashallah bohat he khoobsurat ghazal kahy aap ne ..
ALLAH karay zor-e-qalam aur ziada ...
Umeed hay k isy tarha apni khoobsurat kaawishoN se humaiN nawazti rahaiN gee.
Khush rahain
Khair Andesh
Raheel Ahmed

Kab Say HooN , Kia BataaooN Jahan-e-Kharab Main
Shab-Haaye Hijr Ko Bhee RakhooN Gar Hisab Main
=============================
Ghalib

Re: Tarahi ghazal guz#12
2. Chehra khushi ka dekhay zamana guzar gaya
Ghut ghut ke jee rahe haiN GhamoN ke Acar main hum
3. Thandak mili kuch aisee mohabbat ki aag meN
Jalte rahe Khooshee se wafa ke sharar men hum
5. saathi koi mila na koi hamsafar bana
dhooda kiye yahaN se wahaN duniya bhar main hum
wah bahut khoob Zarqa sis!!!!!
ye ashaar bahut achche lage..daad haazir hai
Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Re: Tarahi ghazal guz#12
Sorry..............sub say zyda jo ahsaar pasand aye ....woh quote kerna
I loved it .......Likhtee raho...
aur khush raho
Raushnee
zmufti wrote: 2. Chehra khushi ka dekhay zamana guzar gaya
Ghut ghut ke jee rahe haiN GhamoN ke Acar main hum
3. Thandak mili kuch aisee mohabbat ki aag meN
Jalte rahe Khooshee se wafa ke sharar men hum
7. tu zindagi ki raah main Jab se hua hai Gum
Kartey rahey talash tujhey har khabar main hum
mageshack.us/img496/4328/rahatwatanki2ij.gif[/img][/URL]
I loved it .......Likhtee raho...
aur khush raho
Raushnee