Khushaamaded Dilshad Nazmi SaaHib

Ham Istaqbal karte haiN aap apna taarruf karwaiN:)
Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Khushaamaded Dilshad Nazmi SaaHib

Post by Abdullah Nazir »



MuHtarami
Dilshad Nazmi SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Aapko urdubandhan ki chaupal per dekhkar bahut khushi houi. Yeh jaankar bhi khushi houi ke aap Jubail, K.S.A meiN muqeem heiN.
Is se ummeed bandh gayi hei ke kabhi nah kabhi aap se Jeddah meiN mulaaqaat housakegi.

Baharhaal, maiN aap ko is site per khushaamaded kehtaa hooN aur ummeed kartaa hooN ke aap apni takhleeqaat se hameN navaazte rahenge.


Nazir.

User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Post by sbashwar »

Mohtarami Janaab Dilshad Nazmi Sahib
ASAK
Hamare taraf se bhi dili khush-amdeed qubool kijiye.
Shukria
Salem Bashwar
سالم احمد باشوار
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

Salama dilshad bhai..aap ko yahan dekh kar bahut khushi hui..tah-e-dil se khushaamadeed :grin:

Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

KHUSHAAMDEED

Post by Mahtab Qadr »

Janab Dilshad Nazmi sahib
Salaam e masnoon
aapki qiraNqadr shayeri aur mukhtalif sites ke zariye nazar ko izzat bakhshti rahi , ab aapko urdubandhan mai dekha to bahut khushi huvi, auir achi baat ye hai ke aap KSA ke muqeem haiN. aur urdubandhan aajkal yahiN se chalai ja rahi hai. umeed ke aapse niyaaz hasil hota rahega. kabhi mauqa ho to jeddah amad par sharaf e mulaqat se zaroor nawaaziye. urdubandhan par aap ka purkhuloos khairmaqdam karta hoN.

mukhlis
Mahtab Qadr
Post Reply