tarHi Ghazal guza.# 12 raHat watan ki yaad kareN kiya safar

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
khozema husaini
-
-
Posts: 150
Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
Contact:

tarHi Ghazal guza.# 12 raHat watan ki yaad kareN kiya safar

Post by khozema husaini »

hazreen e mehfil
assalam o alaikum
KHair talab ba KHair ba Hamd Allah
guzarish # 12 ke tarHi misra per apni adna si GHazal ke saath Hazir hua hoon aur hameshah ki tarah ummeed bhi yahi hai keh aap sabhi KHawateen o hazraat aapni aaraa se nawaaz kar mujhe shukriyah ada karne ka mouqa faraham karenge
Husaini

GHazal

aate hi kiyuN fareb e zabaan-e-bashar meN hum
mahir jo hote makr o daGHa ke hunar meN hum

nikle heN sar badast rah e pur KHatar men hum
"raahat watan ki yaad kareN kiya safar men huml"

roTi ki justajoo meN hui zindagi tamaam
hote shareek kaise talash e guhar meN hum

woh aur hen charaaGH se jalte heN jin ke par
jugnu heN , ik charaaGh jalate heN par meN hum

aati hai saaf is meN nazar sazish e raqeeb
begaane ho gaye heN jo teri nazar meN hum

sarmayah e Hayaat e Husaini hai inkisaar
rakhte nahiN yaqeen kabhi karr o far meN hum
Attachments
69.gif
69.gif (10.95 KiB) Viewed 213 times
Last edited by khozema husaini on Thu Jan 05, 2006 1:46 pm, edited 5 times in total.
hum husaini duAa ki deN soGHaat
laakh chahay bura karay koee

husaini
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Husaini Khundwi SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Aapki ghazal bahut pasand aayi jiske liye dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MulaaHizaat:

1- lafz aSl meiN saTr hei jisko boul chaal meiN "saTar" kehte heiN.
2- lafz nacr hei nacar nahiN.
3- Jaamoos Arabi kaa lafz hei jou urdu meiN mustaAmal nahiN hei.


Aapka MukhliS,
Nazir.

User avatar
khozema husaini
-
-
Posts: 150
Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
Contact:

shukriyah

Post by khozema husaini »

mohtaram nazir saheb
aadaab
aap ki rehnumai ka bohat bohat shukriyah inhi dono alfaaz per mujhe kuchh KHadsha tha jis ke liye men ne mAloom karne ki koshish bhi ki magar yahan saudi arab men urdu ke janna wale kahan milte hen aur us per adab sanaash ki to baat hi nahin ki ja sakti lehazah isi tarah post kar diye han aaindah in ka zaroor khayal rakhoonga mujhe is baat ka aAtiraaf hai keh men urdu se waqif nahi hoon phir bhi kuchh seekhne ka junoon mujhe is had tak le aaya hai
aap ko ghazal pasand aai is ka KHastour se shukriyah qubool farmayeN
husaini
ummed hai aap aage bhi rahnumaii farmayenge
hum husaini duAa ki deN soGHaat
laakh chahay bura karay koee

husaini
Post Reply