Faiz Ahmed Faiz ki zameen meN chund ashAAr.................

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Faiz Ahmed Faiz ki zameen meN chund ashAAr.................

Post by jawaid badauni »


Dosto! aadaab arz hai.

Ghazal kya kahee hai monH chiRaayaa hai. Mujhe mAlum tha in buzurgoN ki zameeN men qalam ka hal chalaana itna asaan nahiN magar azeezi Muzaffar SaHab ka hukm bhi to nazar andaaz nahiN kiya ja sakta. Chund TooTe phooTe sher bhej raha hooN; jaise bhi haiN qubool farmaaiye aur apni graNqadr aara se nawaaziye. Mujhe aapke tabsaroN ka intezaar rahega.

Apka MuKhlis
Jawaid

----------------------------------------------------------------------------------



Ghazal



hoiiN udhar se shikeb aazmaiyaaN kya kya
idhar se dete rahe hum duhaaiyaaN kya kya


qalam wohee hai qalam ka mizaaj bhi hai wohee
badal gaii haiN magar roshnaaiiyaaN kya kya


anaa fasaad ki maaN hai mira yaqeen karo
karaaiiN isne jahaN meN laRaaiiyaaN kya kya


ghazab kiya keh jo aayeenah saamne rakhkha
dikhaaii dene lagee haiN buraaiiyaan kya kya


hawas ki sard hawaaoN se phir bhi bach nah sake
ameer oRh ke leTe raZaaiyaN kya kya


“Bhale ka ant bhala hai” yeh sochker ab tak
jahaN meN karte rahe hum bhalaaiyaaNkya kya


Kisee se aaNkh milane ki der thee “Jawaid”
hamaree hone lageeN jug haNsaaiiyaaN kya kya
Last edited by jawaid badauni on Sun Jan 22, 2006 5:09 am, edited 1 time in total.
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami oAzeezi
Jawaid Badayuni SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat, :-)

Faiz Ahmed Faiz ki ghazal ki zameen meiN aapki TaraHi ghazal bahut pasand aayie jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

hoiiN udhar se shikeb aazmaiyaaN kya kya
idhar se dete rahe hum duhaaiyaaN kya kya


Waah waah, bahut achchaa maTlaA hei.

qalam wohee hai qalam ka mizaaj bhi hai wohee
badal gaii haiN magar roshnaaiiyaaN kya kya


Bahut khoob, waah waah

anaa fasaad ki maaN hai mira yaqeen karo
karaaiiN isne jahaN meN laRaaiiyaaN kya kya


Kyaa kehne. ana yahaaN bamaAni "ghuroor o takabbur" bilkul durust hei aur sheAr bhi maAnavi liHaaz se aek Haqeeqat per mabni hei. Waah waah.

ghazab kiya keh jo aayeenah saamne rakhkha
dikhaaii dene lagee haiN buraaiiyaan kya kya


Waah waah waah waah waah waah, bahut hii khoob.

hawas ki sard hawaaoN se phir bhi bach nah sake
ameer oRh ke leTe raZaaiyaN kya kya


“Bhale ka ant bhala hai” yeh sochker ab tak
jahaN meN karte rahe hum bhalaaiyaaNkya kya


jee haaN kar bhalaa tou houwe bhalaa aur neki kar daryaa meiN Daal jo muHaavire heiN unkaa yehi maTlab hei. Isi bunyaad meiN jo kuch bhii aap bhalaayiaaN karte rahe heiN wo be-gharaZ Amal thaa jiskaa phal agar is dunyaa meiN nah mile tou insha'allah aakhirat meiN Zaroor milegaa. Waah waah.

Kisee se aaNkh milane ki der thee “Jawaid”
hamaree hone lageeN jug haNsaaiiyaaN kya kya


jug hansaayiyaoN se kyaa farq paRtaa hei. Yeh tou dunyaa ke rasm o riwaaj meiN shaamil hei. Agar do Tarfah muHabbat hou tou phir dunyaa kii kyaa parvaa. BaharHaal, aapkaa maqTaA bahut pasand aayaa jo qaabil-e-daad o teHseen hei.

MajmooAi Taur per aapki ghazal beHad pasand aayi jiske liye khaaksaar dobaarah daad aur mubaarakbaad pesh kartaa hei.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

dunya wrote:
Janab Jawaid Badauni Sahib,

aadaab o tasleemat,

aapki ghazal behad pasand aayi jiske liye maiN apni daad aur mubarakbad pesh karti hooN.

Isi Tarah aap hameN apne dilkash kalaam se navazte rehiye aur mustafeed houne kaa mauqa faraham karte rehiye. shukriya.

khair andesh,
dunya.

Mohtarmah Duniya SaHibah,
Aadaab

Himmat afzaaii ke liye marhoon-e minnat hooN. Mujhe Khooshi hai ghazal ko aap ne pasand farmaya. Ummid hai aaindah bhi apne graNqadr tasarey se nawaazti raheNgee.

MuKhliS
Jawaid
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »


Mohtaram Abdullah Nazir SaHab
Aadaab qubool farmaaiye

Aapke graNqadr tabsarey ke liye behud mamnoon hooN. Ummid hai aaindah bhi meri rahnumaai karte raheNge.

Jo lafz aap ko pasaNd nahiN tha maiN ne aapke mashware ke mutabiq badal liya hai.

DoaaoN meN shamil rakhiyega.

Ahqar
Jawaid
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Re: Faiz Ahmed Faiz ki zameen meN chund ashAAr..............

Post by Mahtab Qadr »

Bahut khoob jawaid sahib aapki ghazal pasand aai. tabsira tafseeli kar na paaya ke kuch masroofiat hai, waise aapki shayeri par tabsira bhi ham jaise kia karieN huzoor :)
shukria
mahtab qadr
jawaid badauni wrote:
Dosto! aadaab arz hai.

Ghazal kya kahee hai monH chiRaayaa hai. Mujhe mAlum tha in buzurgoN ki zameeN men qalam ka hal chalaana itna asaan nahiN magar azeezi Muzaffar SaHab ka hukm bhi to nazar andaaz nahiN kiya ja sakta. Chund TooTe phooTe sher bhej raha hooN; jaise bhi haiN qubool farmaaiye aur apni graNqadr aara se nawaaziye. Mujhe aapke tabsaroN ka intezaar rahega.

Apka MuKhlis
Jawaid

----------------------------------------------------------------------------------



Ghazal



hoiiN udhar se shikeb aazmaiyaaN kya kya
idhar se dete rahe hum duhaaiyaaN kya kya


qalam wohee hai qalam ka mizaaj bhi hai wohee
badal gaii haiN magar roshnaaiiyaaN kya kya


anaa fasaad ki maaN hai mira yaqeen karo
karaaiiN isne jahaN meN laRaaiiyaaN kya kya


ghazab kiya keh jo aayeenah saamne rakhkha
dikhaaii dene lagee haiN buraaiiyaan kya kya


hawas ki sard hawaaoN se phir bhi bach nah sake
ameer oRh ke leTe raZaaiyaN kya kya


“Bhale ka ant bhala hai” yeh sochker ab tak
jahaN meN karte rahe hum bhalaaiyaaNkya kya


Kisee se aaNkh milane ki der thee “Jawaid”
hamaree hone lageeN jug haNsaaiiyaaN kya kya
abdulhadiruswa
nau-waarid
Posts: 13
Joined: Thu Sep 08, 2005 6:54 am
Location: Jeddah, Saudi-Arabia
Contact:

bahut achchi ghazal kahi hei aap ne mashaallah

Post by abdulhadiruswa »


janabe muhtaram Jawaid badauni Sahib,

Tasleemat,

Aapki ghazal paRhkar dil khush hougaya. Isqdar dilkash ghazal kehna aap hi ka haq hei. Khaksar ki dili daad qubool farmayiye. Ummeed ke ayindah bhi apka kalam sunne ko milta rahega.

Talib e duaa,
ruswa
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: Faiz Ahmed Faiz ki zameen meN chund ashAAr..............

Post by jawaid badauni »

Mahtab Qadr wrote:Bahut khoob jawaid sahib aapki ghazal pasand aai. tabsira tafseeli kar na paaya ke kuch masroofiat hai, waise aapki shayeri par tabsira bhi ham jaise kia karieN huzoor :)
shukria
mahtab qadr
jawaid badauni wrote:
Dosto! aadaab arz hai.

Ghazal kya kahee hai monH chiRaayaa hai. Mujhe mAlum tha in buzurgoN ki zameeN men qalam ka hal chalaana itna asaan nahiN magar azeezi Muzaffar SaHab ka hukm bhi to nazar andaaz nahiN kiya ja sakta. Chund TooTe phooTe sher bhej raha hooN; jaise bhi haiN qubool farmaaiye aur apni graNqadr aara se nawaaziye. Mujhe aapke tabsaroN ka intezaar rahega.

Apka MuKhlis
Jawaid

----------------------------------------------------------------------------------



Ghazal



hoiiN udhar se shikeb aazmaiyaaN kya kya
idhar se dete rahe hum duhaaiyaaN kya kya


qalam wohee hai qalam ka mizaaj bhi hai wohee
badal gaii haiN magar roshnaaiiyaaN kya kya


anaa fasaad ki maaN hai mira yaqeen karo
karaaiiN isne jahaN meN laRaaiiyaaN kya kya


ghazab kiya keh jo aayeenah saamne rakhkha
dikhaaii dene lagee haiN buraaiiyaan kya kya


hawas ki sard hawaaoN se phir bhi bach nah sake
ameer oRh ke leTe raZaaiyaN kya kya


“Bhale ka ant bhala hai” yeh sochker ab tak
jahaN meN karte rahe hum bhalaaiyaaNkya kya


Kisee se aaNkh milane ki der thee “Jawaid”
hamaree hone lageeN jug haNsaaiiyaaN kya kya
Azeezi Mahtab Qadr SaHab

Aapne ghazal paRh lee aur jawab bhi diya, mere liye itna hi kaafihai. Aajkal aap kum hidikhaaii dete haiN.

Ummid haimizaaj baKhair hoNge.

MuKhliS
Jawaid
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: bahut achchi ghazal kahi hei aap ne mashaallah

Post by jawaid badauni »

abdulhadiruswa wrote:
janabe muhtaram Jawaid badauni Sahib,

Tasleemat,

Aapki ghazal paRhkar dil khush hougaya. Isqdar dilkash ghazal kehna aap hi ka haq hei. Khaksar ki dili daad qubool farmayiye. Ummeed ke ayindah bhi apka kalam sunne ko milta rahega.

Talib e duaa,
ruswa

Mohtarmee wa azeezi Ruswa SaHab,
Tasleemaat

Aapki purkhuloos daad ke liye aap ka behud mamnoon hooN.

Ummid hai aaindah bhi himmat afzaaii karte raheNge.

MuKhliS
Jawaid
Post Reply