Guz.13 ke miSreA per TaraHi Ghazal: Abdullah Nazir.
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Guz.13 ke miSreA per TaraHi Ghazal: Abdullah Nazir.
MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-sukhan,
PurkhulooS tasleemaat, :rose
Guzarish 13 ke TaraHi miSreA per apni ghazal pesh karne kii saAadat HaaSil karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se navaazkar shukriyah adaa karne ka mauqA denge.
GHAZAL, roman meiN
shaam-e-hijraaN muZTarib hooN ji bahut ghabraaye hei
juz khayaal-e-yaar kyaa koii mujhe bahlaaye hei
ik tamaasha hei jo hamko zindagi dikhlaaye hei
koii jab maare hei Thoukar, koii Thoukar khaaye hei
aarzoo-e-deed, shauq-e-vaSl, aur khud-aagahi
"haaye kyaa kehiye ke dil ke saath kyaa kyaa jaaye hei"
ishrat-e-Ahd-e-muHabbat kyaa isi kaa naam hei
MaiN use samjhaarahaa hooN, wo mujhe samjhaaye hei
Talkhiy-e-Haalaat ne deevaanah hamko kardiyaa
Aap hi farmaayiye ab, aap ki kyaa raaye hei
Beniyaazi kaa bharam bhi ab kahaaN baaqi rahaa
Khaanah-veerani pah banjaarah bahut pachtaaye hei
Chandni meiN kiyuN mujhe kuch bhi nazar aataa nahiN
Kyaa koii naazuk-badan zulf-e-siyah bikhraaye hei
Sirf tum hi kab hou gharq-e-mastiy-e-naaz-e-jamaal
Nash'sha-e-sahbaay-e-ulfat mujhko bhi bahkaaye hei
Khush-naSeebi hei keh maiN jeene ke qaabil hooN abhi
Umr-e-raftah ko tiri hamsaayagi lauTaaye hei
Jisqadar darbaan-e-kaAbah bukhl per aamaadah heiN
Aur bhi dast-e-duAa :Nazir: tiraa phailaaye hei.
=======
Aapka MukhliS,
Nazir.
- Attachments
-
- a_na_13_ub_f.JPG (90.34 KiB) Viewed 530 times
Last edited by Abdullah Nazir on Thu Jan 12, 2006 12:33 pm, edited 3 times in total.
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
bahut bahut shukriyah
MuHtaramah o Azeezah
Saara SaaHibah
PurkhulooS tasleemaat,
Mujhe aapki beHad maSroofiyat kaa ilm hei is liye aapkaa mukhtaSar saa inaayaat naamah bhi mere liye aek niAmat se kam nahiN.
Guzarish 12 per maiN sheAr kehne se maAzoor rahaa jiski bahut saari vujoohaat theeN. BaharHaal is baar is sanglaakh zameen meiN apni ghazal mukammal karke HaaZir hougayaa hooN.
MuHtaram Jawaid Badayuni SaaHib tou aek jagah Dunya DeHlawi SaaHibah ko yaad farmaarahe heiN. Shayad wo chaahte heiN ke dunya SaaHibah bhi is mushkil miSreA per kuch kaheN.
Aapki ghazal kaa bhi intizaar rahegaa.
Aapka MukhliS,
Nazir,
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
Re: Guz.13 ke miSreA per TaraHi Ghazal: Abdullah Nazir.
mohtaram abdullah nazir saahibWEBMASTER wrote:
MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-sukhan,
PurkhulooS tasleemaat, :rose
Guzarish 13 ke TaraHi miSreA per apni ghazal pesh karne kii saAadat HaaSil karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se navaazkar shukriyah adaa karne ka mauqA denge.
GHAZAL, roman meiN
shaam-e-hijraaN muZTarib hooN ji bahut ghabraaye hei
juz khayaal-e-yaar kyaa koii mujhe bahlaaye hei
ik tamaasha hei jo hamko zindagi dikhlaaye hei
koii jab maare hei Thoukar, koii Thoukar khaaye hei
aarzoo-e-deed, shauq-e-vaSl, aur khud-aagahi
"haaye kyaa kehiye ke dil ke saath kyaa kyaa jaaye hei"
ishrat-e-Ahd-e-muHabbat kyaa isi kaa naam hei
MaiN use samjhaarahaa hooN, wo mujhe samjhaaye hei
Talkhiy-e-Haalaat ne deevaanah hamko kardiyaa
Aap hi farmaayiye ab, aap ki kyaa raaye hei
Beniyaazi kaa bharam bhi ab kahaaN baaqi rahaa
Khaanah-veerani pah banjaarah bahut pachtaaye hei
Chandni meiN kiyuN mujhe kuch bhi nazar aataa nahiN
Kyaa koii naazuk-badan zulf-e-siyah bikhraaye hei
Sirf tum hi kab hou gharq-e-mastiy-e-naaz-e-jamaal
Nash'sha-e-sahbaay-e-ulfat mujhko bhi bahkaaye hei
Khush-naSeebi hei keh maiN jeene ke qaabil hooN abhi
Umr-e-raftah ko tiri hamsaayagi lauTaaye hei
Jisqadar darbaan-e-kaAbah bukhl per aamaadah heiN
Aur bhi dast-e-duAa :Nazir: tiraa phailaaye hei.
=======
Aapka MukhliS,
Nazir.
salaamun alaikum
bahut hi umda ghazal inaayat farmaaye hai.
lafzo.n ka chunaao uffff ab hum kya kahe.n.
hame.n aapse bahut kuch seekhne ko milraha hai.
is munfarid ustaadaana kalaam per hamaari dilee daad aur mubarakbad qubool farmaaye.n.
jazakallah
tifle maktab
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut bahut shukriyah
MuHtaramah
Raushnee SaaHibah,
PurkhulooS tasleemaat,
Aap ne meri ghazal ki pazeerayi farmaayi aur Aam Taur per mere kalaam ko bhii daad o teHseen ke qaabil samjhaa, jiske liye maiN aapkaa beHad shukrguzaar hooN.
Ummeed kartaa hooN ke aap aayindah bhi isi TaraH se meri HauSlah afaayi karti rahengi.
Aapka MukhliS,
Nazir.
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut Bahut shukriyah
MuHtaram
Haamid Baaqri SaaHib,
PurkhulooS tasleemaat,
Mere aek Azeez doust ne kayi baar mujhe tavajjuh dilaayi ke maiN apni ghazal per tabSirah karne waalaoN ko javaab dete houe tarteeb ka khayaal nahiN rakhtaa. Aaj yeh dekhkar waaqaAi apni naadaanistah bhool per sharmindah hooN aur aap se maAzirat khwaah bhi.
Yaqeen maaniye meri TaraHi ghazal per, aap ne meri dil khoulkar HauSlah afzaayhi farmaayi hei jiske liye maiN aapka shukriyah adaa karne ke liye munaasib alfaaz DhoonDne meiN naakaam rahaa hooN. Taaham, jazakallahu khair, tou kehsaktaa hooN. Ummeed kartaa hooN ke aayindah bhi apni nazar-e-inaayat se meHroom nah karenge.
Aapka MukhliS,
Nazir.