taraHi ghazal aadaab e ishq jinko baraber nahiN aate

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
khozema husaini
-
-
Posts: 150
Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
Contact:

taraHi ghazal aadaab e ishq jinko baraber nahiN aate

Post by khozema husaini »

hazreen e mehfil
aadaab
tazah ghazal ke saath hazir hoon aur ummeed hai keh aap hameshah ki tarah apni aaraa se zaroor nawazeN ge bohat bohat shukriyah.
Husaini

GHazal

aadaab e ishq jin ko baraber nahiN aate
unko junoon o wajd ke johar nahiN aate

aaye to heN pa aate hii jane ko heN bazid
tha unka aise aane se behtar nahiN aate

mehsoos dar pe hoti hai aahaT si yaar ki
woh paas se guzarte heN andar nahiN aate

aate heN yeh KHayaal kareN sair e aasmaaN
aise KHayaal le ke magar par nahiN aate

kiya aa gaii hai mere junooN meN koi kami
kiyuN ab tumhari samt se patthar nahiN aate

roTi dimaaGH o dil musallat hai is tarah
KHwaboN meN bhi GHareeb ke gohar nahiN aate

rehte heN ba KHloos yahaN shaikh o barhaman
kiya is jagaah pe qoum ke rehbar nahiN aate?

ab daataan e dard Husaini sunega koun
humdard o GHumgusaar mire ghar nahiN aate

Husaini khandwi
Last edited by khozema husaini on Tue Jan 31, 2006 3:52 pm, edited 2 times in total.
hum husaini duAa ki deN soGHaat
laakh chahay bura karay koee

husaini
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Khuzema Husaini SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Aapki ghazal pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

M U L A H I Z A A T:

aadaab e ishq jin ko baraber nahiN aate
unko junoon o wajd ke johar nahiN aate


junoon o wajd ke jao\uhar kii ibaarat ko samajhne ke liye maiN ne is sheAr kaa sahaaraa liye:
" deewaanagi meiN bhi mujhe itnaa tou housh hei
taSveer kii pasand tou teri pasand ki"

Achcha maTlaA hei. Waah waah.

aaye to heN pa aate hii jane ko heN bazid
tha unka aise aane se behtar nahiN aate


Achcha sheAr hei.

mehsoos dar pe hoti hai aahaT si yaar ki
woh paas se guzarte heN andar nahiN aate


Pahle miSreA kii ibaarat kaa taqaaZaa tou yeh thaa ke doosre miSre meiN yeh kahaa jaaye "woh paas se guzartaa hei andar nahiN aataa" lekin baharhaal mafhoom vaaZeh hei. Achcha sheAr hei.

aate heN yeh KHayaal kareN sair e aasmaaN
aise KHayaal le ke magar par nahiN aate


Achcha sheAr hei.

kiya aa gaii hai mere junooN meN koi kami
kiyuN ab tumhari samt se patthar nahiN aate


Yeh sheAr bhi achchaa hei. Bahut khoob.

roTi dil o dimaaGH pe hai aisi musallat
KHwaboN meN bhi GHareeb ke gohar nahiN aate


Pahle miSreA ko yooN kardeejiye tou ravaani aajaayegi:
(roTi dimaagh o dil pe musallat hei is TaraH)
achchaa sheAr hei.

rehte heN ba KHloos yahaN shaikh o barhaman
kiya is shehr men qoum ke rehbar nahiN aate?


is sheAr ke doosre miSreA meiN lafz "shehr" ko "she'her" paRhne kii Zaroorat pesh aarahi hei jo ghalaT hei. Lafz "shehr" ke Harf "hey" per sukoon hei. Isko aap yooN theek karsakte heiN macalan:
a) kyaa is jagah pe qaum ke rehbar nahiN aate.
b) Mushkil magar yeh hei, kabhi rehbar nahiN aate
c) Kyaa hougayaa, ke qaum ke rehbar nahiN aate
Yaa jaise bhi aap munaasib samjheN.

ab daataan e dard Husaini kise kaheN
humdard o GHumgusaar mire ghar nahiN aate


MaqTaA mafhoom ke liHaaz se bahut achchaa hei. Jaisaa ke doosre miSreA meiN aap "mire ghar" keh rahe heiN, pahlaa miSraA yooN hounaa chaahiye:
(ab daastaan-e-dard Husaini sunegaa kaun)
yaa jaise bhi aap munaasib samjheN.
Bahut achcha maqTaA hei. Waah waah.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
User avatar
khozema husaini
-
-
Posts: 150
Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
Contact:

shukriya

Post by khozema husaini »

mohtaram nazir saheb

aadaab o tasleemaat
mujhe behad khushi hai ke aap ne mere kalaam ko paRha aur mujhe apni beshqeemat tazaweez se nawaza mujhe is tarah bohat kuchh seekhne ko mila meri aap se guzarish hai ke aap kam az kam mere kalaam ke liye zaroor thoRa sa waqt nikaal kar mujhe apni aara se nawaza karen mujhe bohat khushi bhi hogi aur men aap ka mamnoon bhi rahoonga aap ki tajaweez ke mutabiq men ne tabdeeliyan kar di hen aik martabah phir meri janib se ghazal ko pasand farmane aur us per apne tafseeli tabsare keliye dili shukriyah qubool farmayen
Husaini
hum husaini duAa ki deN soGHaat
laakh chahay bura karay koee

husaini
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob, waah waah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Khozema Husaini SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat, :-)

Aap bahut hi achche shayer heiN aur apni kamzouriyaoN ko bahut hii surAat ke saath durust farmaane ke qaabil bhi. BaRi khushi houi ke aap ne apni is ghazal meiN jo kuch bhool chook hougaie thii un ghalaTiyaoN kaa izaalah farmaayaa aur apni ghazal ko dilkash banaadiyaa.

Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Last edited by Abdullah Nazir on Tue Feb 07, 2006 1:56 am, edited 1 time in total.
Image
User avatar
khozema husaini
-
-
Posts: 150
Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
Contact:

Post by khozema husaini »

mohtaram nazir saheb
bohat bohat shukriyah
Husaini
hum husaini duAa ki deN soGHaat
laakh chahay bura karay koee

husaini
Post Reply