haaye kyaa kahiye-tarahi

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
zaamin
-
-
Posts: 37
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:54 am

haaye kyaa kahiye-tarahi

Post by zaamin »

aaNkh se neendeiN sakoon jaaN ishq mein urh jaaye hai
'haaye kyaa kahiye ke dil ke saath kyaa kyaa jaaye hai'

har tarah ke zaa'ike maujood hain har bhook ko
par uqaab-e-huzn yeh apne hi dil ko khaaye hai

dekhate hain dil mein kundah sar-ba-kham tasveer-e-yaar
eik ibaadat ma-siva deedaar -e-jaaN ho jaaye hai

sabq de naaseh hai rindon ko sharaab-e-toor ka
aql ki be-aqli dil ko dil-barii samjhaaye hai

raat kii tanhaayii, us pe yaad-e- maazhii ke suraag
chaar su gham dhundalkaon sii ik udaasii chhaye hai


zaamin
Post Reply