maah-e-FEB ke muntakhib shaayar: WASI SHAH

Muntakhab shayari-Baitbaazi-Lafz par Ashaar
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

maah-e-FEB ke muntakhib shaayar: WASI SHAH

Post by Shummu »

Image
Attachments
ws1.gif
ws1.gif (12.31 KiB) Viewed 1575 times
wasishah.gif
wasishah.gif (12.08 KiB) Viewed 1575 times
waseeshah1.jpg
waseeshah1.jpg (237.28 KiB) Viewed 1575 times
Last edited by Shummu on Thu Mar 02, 2006 11:03 am, edited 1 time in total.
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

8)
Attachments
ws2.gif
ws2.gif (10.2 KiB) Viewed 1573 times
ws3.gif
ws3.gif (13.26 KiB) Viewed 1572 times

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

sara_j wrote:shukriya shummu. bohat acha intekhab hai. jald hazir houngi
Shukriya sis..aap ki contribution ka bhi intizaar rahega :-)

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay
k ashq rokna tum se mohaal hona hay

har aik lab pe hay meri wafa k afsanay
tere sitam ko abhi lazawal hona hay

baja hay ka khaar hain lakin bahar ki rot main
yeh teh hay k huamin bhi nehaal hona hay

tumhain khabar hi nahin tum to loot jao gay
tumharay hijar main ik lamha bhi sal hona hay

humari rooh pe jaab bhi azaab otrain hay
tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay

kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bhahoon main
kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay

milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
baas intizaar hay kaab yeh kamal hona hay

har shaks chalay ga humari rahoon per
mohabatoon main humahin woh misaal hona hay

Zamana jis k kham-o-peech main olajh jaye
humari zaat ko aisa sawal hona hay

Wasi" yaqeen hay mujh ko woh loot aye ga
ussay bhi apne kiye ka milal hona hay

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Handsome
-
-
Posts: 143
Joined: Mon Jul 11, 2005 2:29 am
Location: Multan
Contact:

Post by Handsome »

Bohat khooob

or bohat umdah intekhab hay

Mughay sandal ker do wlai nazam kaha hay


Khush rahian
Handsome
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

Handsome wrote:Bohat khooob

or bohat umdah intekhab hay

Mughay sandal ker do wlai nazam kaha hay


Khush rahian
Handsome
thanx handsome.....aap bhi zaroor contribute karein....waise urdu mein woh ghazla post ki hai upar..lijiye roman mein bhi post kar rahi hoon..

apnay ahsaas say choo kar mughay sandal kar do,
main k sadyoon say adhora hoon mukammal kar do,

na tumhain hoosh rahay aour na na mughay hosh rahay,
is qadar toot k chaho mughay pagal kar do,

tum hathaili ko maray piyaar ki mehndi say rango,
apni aankhoon main maray piyaar ka kajal kar do,

dhoop hee dhoop hoon main toot k barso mugh per,
is qadar barso meri rooh ko jal thal kar do

is k saay main maray khwaab mahak uthain gay,
maray chahray pe um-meedoon bhara aanchal kar do,

jese sahraaoN meiN har shaam havaa chalti hai
is tarah mujh meiN chalo, mujhe jal thal kar do

tum chupaa lo meraa dil oot meiN apne dil ki
aour mujhe meri nigaahoN se bhi oojhal kar do

masla hooN to nigaaheiN na churaao mujh se
apni chaahat se tavajjo se mujhe hal kar do

apne gham se kaho har dam mere saath rahe
aik ihsaan karo is ko musalsal kar do

mujh pe chaa jaao kisi aag ki soorat jaanaaN
aour miree zaat ko sookhaa huvaa jangal kar do

apnay hontoon say koi mohor lagao mugh per,
ik nazar piyaar say daikho mughay ghayal kar do.

wasi shah

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

us kay bina ab chup chaap rehna acha lagta hay
khamoshi say dard ko sehna acha lagta hay

jis hasti ki yaad mein aanso barstey hain
samnay us kay kuch na kehna acha lagta hay

mil kar us say bichar na jaon darta rehta hoon
is liay bas door hi rehna acha lagta hay

janta hoon keh chahat mein bas aanso miltay hein
kuch bhi ho ab is zehar ko peena acha lagta hay

jee chahay sab khushiyaan la kar us ko day doon
us kay piyar mein sab kuch khona acha lagta hay

us ka milna na milna qismat ki baat hay
pal pal us ki yaad mein roona acha lagta hay

us kay bina sab khushiyaan 'Wasi' ajab si lagti hein
ro ro kar us ki yaad mein sona acha lagta hay

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

:-)
Attachments
ws9.gif
ws9.gif (7.6 KiB) Viewed 1554 times
ws8.gif
ws8.gif (7.74 KiB) Viewed 1554 times
ws7.gif
ws7.gif (7.39 KiB) Viewed 1554 times

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

:-)
Attachments
wshah_19.gif
wshah_19.gif (17.95 KiB) Viewed 1552 times
Ws-28.gif
Ws-28.gif (24.62 KiB) Viewed 1552 times
ws-25.gif
ws-25.gif (15.71 KiB) Viewed 1552 times

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

hazaaron dukh pare sehna mohabbat mar nahi sakti
hai tum se bus yehi kehna mohabbat mar nahi sakti

tera har mere khat ko paRhna aur ro dena
mera har baar likh dena mohabbat mar nahi sakti

kiya tha hum nay campus ki nadi pay ik haseen wada
bhale humko pare marna mohabbat mar nahi sakti

jahan main jab tak panchi chehektay uRtay phirtay hain
hai jab tak phool ka khilna mohabbat mar nahi sakti

puranay ahad ko jab zinda karne ka khayal aaye
mujhay bas itna likh dena mohabbat mar nahi sakti

woh tera hijr ki shab phone rakhany se zara pehlay
buhat rotay hue kehna mohabbat mar nahi sakti

agar hum hasraton ki qaber main hi dafan ho jain
tu yeh qutbon pay likh de mohabbat mar nahi sakti

purany raabton ko phir naye wade ki khuwahish hai
zara ik baar tu kehna mohabbat mar nahi sakti

gaye lamhaat fursat kai kahan se dhoond kar laoon
wo pehron haath pay likhna mohabbat mar nahi sakti
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

dukh dard mein hamesha nikale tumhare khat
aur mil gai khushi to uchhaley tumhare khat

sab chooriyan tumhari samandar ko sonp dee
aur kar diye hawa ke hawaley tumhare khat

mere lahoo mein goonj raha hey har ek lafz
meiney ragon ke dasht mei paalay tumhare khat

yoon to hein be-shumaar wafa ki nishaniyan
lekin har ek shay se niralay tumhare khat

jese ho umar bhar ka asasa ghareeb ka
kuch is tarah se meiney sambhaley tumhare khat

ahl-e-hunar ko mujh pe Wasi eatiraaz hey
meiney jo apne sher mein dhaley tumhare khat

parwah mujhey nahi hey kisi chand ki Wasi
zulmat ke dasht mein hein ujaaley tumhare khat
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

tum merii aa.Nkh ke tevar na bhulaa paaoge
ankahii baat ko samajhoge to yaad aa_uu.Ngaa

ham ne Khushiyo.n kii tarah dukh bhii ikaTThe dekhe
safaah-e-ziist ko palaToge to yaad aa_uu.Ngaa

isii andaaz me.n hote the muKhaatib mujh se
Khat kisii aur ko likhoge to yaad aa_uu.Ngaa

sard raato.n ke mahakate hue sannaaTo.n me.n
jab kisii phool ko chuumoge to yaad aa_uu.Ngaa

ab tere ashk mai.n ho.nTho.n se churaa letaa huu.N
haath se Khud inhe.n po.nchhoge to yaad aa_uu.Ngaa

shaal pahanaayegaa ab kaun december me.n tumhe.n
baarisho.n me.n kabhii bhiigoge to yaad aa_uu.Ngaa

aaj tum mahafil-e-yaaraa.N pe ho maGaruur bahut
jab kabhii TuuT ke bikharoge to yaad aa_uu.Ngaa

haadase aaye.nge jiivan me.n to tum hoke niDhaal
kisii diivaar ko thaamoge to yaad aa_uu.Ngaa

is me.n shaamil hai merii baKht kii taariikii bhii
tum siyaah rang jo pahanoge to yaad aa_uu.Ngaa
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

"Last Call"

Kal hamesha ki tarha uss ney kaha ye fone par
mein buhut masroof hoon mujh ko buhut sey kaam hain

iss liye tum aao milney mein tou aa sakti nahi
har riwayat toRh kar iss baar mein ney keh diya

tum jo ho masroof mein bhi buhut masroof hoon
tum jo ho mash'hoor tou mein bhi buhut maroof hoo

tum agar ghamgeen hoo mein bhi buhut ranjoor hoo
tum thakan sey choor tou mein bhi thakan sey choor hoon

jan-e-man hai waqt mera bhi buhut hi qeemti
kuch puraney dostoon ney milney ana hai abhi

mein bhi ab farigh nahi mujh ko bhi lakhon kaam hain
warna kehney ko tou sab lamhey tumharey naam hain

meri aankhein bhi buhut bojhal hain sona hai mujhey
rat'jagoN key baad ab neendoN mein khona hai mujhey

mein lahoo apni anaoo ka baha sakta nahi
tum nahi aati tou milney mein bhi aa sakta nahi

uss ko ye keh kar wasi mein ney reciever rakh diya
aur phir apni ana key paaon pey sar rakh diya.
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

Sumandar mein uturta hoon tu aankhein bheeg jaati hain
Teri aankhon ko parhta hoon tu aankhein bheeg jati hain

Tumhara naam likhney ki ijaazat chin gai jub se
Koi bhi lafz likhta hoon tu aankhein bheeg jati hain

Naa jaaney ho gaya iss qadar hassaas mein kub se
Kissi se baat karta hoon tu aankhein bheeg jati hai

Woh sub guzrey huey lumhaat mujhko yaad atey hain
Tumharey khut jo parhta hoon tu aankhein bheeg jaati hain

Mein saara din buhut masroof rehta hoon magar joonhi !!
Qadam chaukhut pe rakhta hoon tu aankhein bheeg jaati hain

Hazaaron mausumon ki hukmaraani hai merey dil pur
Wasi mein jub bhi hansta hoon tu aankhein bheeg jaati hain
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

Meri Ankhoon Kay SAmandar main Jalan kaisi Hai
Ajj Phir Dil Ko Tarapnay Ki LaGan Kaisi Hai

Ab Kisi Chaat Pay Chiragon Ki Qatarin Bhi Nahi
Ab Teray Shehar Ki Galioyon Main Guthan Kaisi Hai

Baraf Kay Roop Main dhaal Jain Gay Saray Rishtay
Mujh say Pocho Kay Muhabbat Main Agan kaisi Hai

Main Teray Wisal Ki Khuwahish Ko na Marnay Doon Ga
Mausam-e-Hijar Kay lehjay Main Takan Kaisi Hai

Raigzaron Main Jo Banti Rahi Kantoon Ki RiDa
Uss Ki Majboor Sii Ankhoon Main Kiran Kaisi hai

Mujhe Masoom si Pagal Larki Pay Taras ata hai
ussay Dekho Tu Muhabbat Main Magan Kaisi Hai
Post Reply