'allaamah Iqbaal ke ek she'r par tabsirah...muKhtasir jaaiza

Allamah Iqbaal kii shakhsiyat unki shayeri falsafe aur mazmoon aapke yaa kisi aur ke mazameen se iqtibaas

Post Reply
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

'allaamah Iqbaal ke ek she'r par tabsirah...muKhtasir jaaiza

Post by Hashmat Usmani »

salaam dosto,

aaj maiN is forum ka 'allaamah ke yaum-e-paidaaish se munaasibat rakhte huye mausoof ke hii ek she'r kii tashreeH aur tauziiH ke zarii'ye iftitaaH kartaa huuN. mujhe Khadshah laaHiq hai ki kahiiN merii yeh adnaa sii kaavish aap zii-'ilm Khawaateen_o_Hazraat ke shaayaan-e-shaan hogaa bhii yaa nahiiN. ba_har kai'f, ab jo bhi hai, jaisaa bhii hai pesh-e-Khidmat kar rahaa huuN. mulaaHizah farmaaiye:

'allaamah kaa yeh intehaaii mashhoor_o_ma'roof she'r aapke gosh_guzaar to huaa hii hogaa, mulaaHizah farmaaiye:


fard qaa'im rabt-e-millat se hai, tanhaa kuchh nahiiN!
mauj hai daryaa meN, aur be_roon-e-daryaa kuchh nahiiN!!


kaainaat-e-'aalam meN zindagii kii lai'hr ek vasii' samandar tasavvur kijiiye jis meN chhoTi chhoTi maujeN naa_ma'loom taur par mo'riz-e-vujood meN aatii haiN. yeh amvaaj maHdood aur Ghair mushtarak infiraadii HaisiyatoN meN ek dusre se baa_ham marboot haiN jo ba_zaahir nazar nahiiN aataa. har mauj ba_jaa-e-Khud ek 'aalam hai, taa_ham vo apne jaise digar 'aalamoN ke ham_raah marboot hai. zindagii ke in do ibtidaaii aur bunyaadii usoolii nazariyoN ko qaa'im karne meN Europe ke falsafiyoN ko kaii sadiyaaN dar_kaar huiiN, lekin Qur'aan-e-Paak is nazariya ko be_had Khoob_soortii ke saath zaahir kartaa hai:

wa Khalaqna kum fii nafsiuN waahida
[aur ham ne paidaa kiyaa tumko nafs-e-vaaHid se]

yeh zaahir hai ki har mauj samandar meN rah kar apnii infiraadii Haisiiyat qaa'im rakhtii hai aur samandar se judaa ho kar apnaa vujuud kho baiThti hai. thoRe sii Gahur_o_fikr karne se yeh baat kulliyah taur par vaazeH ho jaatii hai ki har fard ifraad ke is majm'a-e-'azeem meN apne maaHaul kaa kis qadar mamnoon hai. ijsaam jo hamaarii hastii ko ma'addi mafhoom meN ba_taur fard ke mushaKhKhas kartaa hai, zabaan jo ham bolte haiN, libaas jo ham zeb-e-tan karte haiN, aur baRii Had tak Khayaal jo ham sochte haiN aur mazhab jis par ham apnii zindagii ko munHasir rakhte haiN, vo sab isii jamaa'at ke auzaa'~_o_atvaar ke paa_band haiN jis meN ki ham paidaa hote haiN.
Image
Ibn-e-siddique
-
-
Posts: 219
Joined: Thu Dec 16, 2004 4:12 am
Location: Doha Qatar
Contact:

Post by Ibn-e-siddique »

Assalam-o-alaikum

mashallah Hashmat bhai, aap ki tashreeh aur tabsira bahot pasand aaya :)

amjad
Mire ash'aar ae Iqbal kyuN pyaare na hoN mujhko
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

Assalam-o-a'laikum,

MoHtarami Hashmat SaaHib
, late hone par maa'zirat khwaah hoN :oops: .

mashaa allah aap ne to bas kamaal hi kardiya hai yeh nehaayat mokhtaSar taHreer likk kar k jo Ma'aani ka be-karaaN samandar samete howe hai. subHaan Allah :D :!: . wallah mazaa aaagya.
dheeroN daad qabool kejeye. aayenda bhi intezaar raheyga. shukriya

MokhliS : Zia Baloch
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

Ibn-e-siddique wrote:Assalam-o-alaikum

mashallah Hashmat bhai, aap ki tashreeh aur tabsira bahot pasand aaya :)

amjad
salaam Amjad bhaiye,

aapkaa shukria ki aapne yeh muKhtasir sii teHreer paRhi aur meri hasalah_afzaaii kii. ab aapkii baarii hai Huzoor:

ai saaHib-e-zabaan-e-urdu, kuchh to idhar bhii.

Iqbaaliyaat par aapke mazmoon ka shiddat se intezaar rahegaa.

faqat aHqar

Hashmat
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

Star Mind wrote:Assalam-o-a'laikum,

MoHtarami Hashmat SaaHib
, late hone par maa'zirat khwaah hoN :oops: .

mashaa allah aap ne to bas kamaal hi kardiya hai yeh nehaayat mokhtaSar taHreer likk kar k jo Ma'aani ka be-karaaN samandar samete howe hai. subHaan Allah :D :!: . wallah mazaa aaagya.
dheeroN daad qabool kejeye. aayenda bhi intezaar raheyga. shukriya

MokhliS : Zia Baloch
moHtaramii Zia saaHib,

salaam...der aayad durust aayad...aapkaa bahot bahot shukria ki aapne waqt nikala kar is naa-cheez kii Hausalah_afzaaii kii. janaab aapkii zarra_navaazii hai varna ham kis kaam ke. aapkii taHreer subHo meN paRhii thii uske liye shukria post karne kaa. aapkii baqaayaa taHreer ka intezaar rahega. shukria.

faqat Khaak_saar,

Hashmat
Image
Ibn-e-siddique
-
-
Posts: 219
Joined: Thu Dec 16, 2004 4:12 am
Location: Doha Qatar
Contact:

Post by Ibn-e-siddique »

Hashmat bhai:

aaj aap ne is she'r ki yaad phir se taaza kar di :D :), acha lagaa dobaara paRh ker


she'r-e-iqbal per umda tabsira kia aap ne :)

Iqbal is she'r ke zariye her musalmaan ko ye dars de rahe haiN ke wo apni qaum-o-millat se apna rabt qaaim rakhe.

is baat ko doosre andaaz mein kehte hain ke:

Daali gayee jo fasl-e-khizaaN mein shajar se TooT
mumkin nahiN haree ho saHaab-e-bahaar se

hai laa.zavaal ahd-e-khizaaN us ke vaaste
kuch vaasta nahiN hai use barg-o-baar se

millat ke saath raabita-e-ustavaar rakh
paivasta reh shajar se umeed-e-bahaar rakh


kitna azeem paighaam hai, zara sochiye ke her fard-e-vaaHid jab apni millat ke saath apna raabita qaaim rakhe ga, to voh MILLAT kitni mazboot hogi. yehi mazbooti aur strength hameN mile gi, yakjaa hone se, itteHaad-o-ittefaaq se

Iqbal dar.asl ITTEHAAD BAIN UL MUSLIMEEN ke bahot baRe daa'ee bhi the.

ummat ko firqoN meiN baTaa hua dekh ker unka dil jaltaa tha.

apni maa'rika aaraa nazm JAVAAB-E-SHIKVA mein kehte haiN:

manfa'at aik hai is qaum ki, nuqsaan bhi aik
aik hi sab ka Nabee , deen bhi Eemaan bhi aik
Haram-e-pak bhi , Allah bhi, Qur'an bhi aik
kuch baRee baat thi hote jo musalmaan bhi aik


aik aur jagaa is Firqa vaariyyat per choT maarte haiN :

firqa bandi hai kahiiN, aur kahiN zaateN haiN
kia zamaane mein panapne ki yehi baateN haiN


bahar.Kaif, Allama Iqbal apne is she'r ke zariye her FARD (individual) ko paighaam dete haiN ke wo apni millat , khaas taur per Millat-e-Islamiya se apna rabita baHaal rakhe.

us ki jaReN apni qaum meiN hi paevast honi chaahiyeN, varna us ki Haalat us Daali jaisi ho jaaye gi, jo agar khizaaN meiN TooTe to bahaar meiN bhi haree nahin ho sake gi .
Mire ash'aar ae Iqbal kyuN pyaare na hoN mujhko
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
Post Reply