"beewi"aik nazm peshe khidmat hai

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

"beewi"aik nazm peshe khidmat hai

Post by haamidbaaqri »

salaamun alaikum
dosto

aik nazm peshe khidmat hai.umeed hai pasand farmaaye.nge.

arz kiya hai......

"beewi"


shouhar agar hai.n aap to aisa nah keejiye
qiblah samajh ke beewi ko sajdah nah keejiye

beewi ke maal peh kabhie qabzah na keejiye
dushwaar apni beewi ka jeena nah keejiye

yeh hamsafar hai aapki sunleejiye janaab
beewi ko apni khaadimah samjha nah keejiye

jo aapse milega wohi degee aapko
allah ka shukr keejiye shikwah nah keejiye

kehta hai apne bando.n se yeh rabbe zuljalaal
"khuddaariye hayaat ka sauda nah keejiye"

jo hamsafar hai aapki haamid bahut hai nek
is n^emate khuda ko rulaaya nah keejiye

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah

mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: "beewi"aik nazm peshe khidmat hai

Post by haamidbaaqri »

sara_j wrote:
haamidbaaqri wrote: "beewi"


shouhar agar hai.n aap to aisa nah keejiye
qiblah samajh ke beewi ko sajdah nah keejiye

:lol: bohat ache!

beewi ke maal peh kabhie qabzah na keejiye
dushwaar apni beewi ka jeena nah keejiye

:shock: OMG!

yeh hamsafar hai aapki sunleejiye janaab
beewi ko apni khaadimah samjha nah keejiye

mukarrar mukarrar!!

jo aapse milega wohi degee aapko
allah ka shukr keejiye shikwah nah keejiye

bohat khoobsurat shair....!

kehta hai apne bando.n se yeh rabbe zuljalaal
"khuddaariye hayaat ka sauda nah keejiye"

khoob girah lagayi hai!

jo hamsafar hai aapki haamid bahut hai nek
is n^emate khuda ko rulaaya nah keejiye

Allah...kya aap rulaate hain :shock:

:lol: :lol: :lol: hamid sahib bohat bohat daad qubool keejiye.

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah

hamid sahib aapki nazm kitni pasand aayi bata nahi sakti.........
maan gaye aapko bhi kya khoob likhte hain.

bohat hi kamyaab aur haseen takhleeq per daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

sara
salaamun alaikum
mohtaramah sara saahebah

aapki hauslah afzaayee, purkhloos tabsera aur daad ke hum behad mamnoono mashkoor hai.n.

allah(sbhnwt)aapki zindagi ko khushiyo.n se bhar de.aameen

mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Azeezi Haamid SaHab
ASAK

Shukr hai aapki Nazm numa ghazal meri shareek-e hayaat ki nazar se nahiN guzree warnah shayad mere liye kuch mushkileN paida ho jateeN.

Bhaayee Allah jaanta hai aap bohat saadgee aur Khuloos se kahte haiN aur booraaiyoN ke is daur men aap ki achchee bateN ek n'emat-e kamyaab haiN.

Khoosh raheN!

Jawaid
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

shukriya

Post by haamidbaaqri »

jawaid badauni wrote:Azeezi Haamid SaHab
ASAK

Shukr hai aapki Nazm numa ghazal meri shareek-e hayaat ki nazar se nahiN guzree warnah shayad mere liye kuch mushkileN paida ho jateeN.

Bhaayee Allah jaanta hai aap bohat saadgee aur Khuloos se kahte haiN aur booraaiyoN ke is daur men aap ki achchee bateN ek n'emat-e kamyaab haiN.

Khoosh raheN!

Jawaid
salaamun alaikum
baradaram jawaid saahib

hame.n yaqeen hai keh aap jaisa hassaas shayer apni izdiwaaji zimmhedaario.n ko bakhoobi nibhaata hoga.allah(sbhnwt)aapki izdiwaaji zindagi mei.n bahut saari khushiyaa.n bharde.aameen yeh hamaari dilee dua hai.

aapki hauslah afzaayee hamaare liye aik azeem nemat se kum nahi.n hai.hum tahe dilse aapka shukriya ada karte hai.n.

salaamat rhe.n.
aapka apna
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Post Reply