salaamun alaikum
mohtaram abdullah nazir saahib
hum bhi is nayk kaam mei.n shaimil hona chaahte hai.n.
leejiye salaam haazir hai.
arz kiya hai..........
har inquilaab ki hai ibteda hussain hussain
har aik daur ka hai mudda^aa hussain hussain
woh tayz dhoop woh jalti zameen karbal ki
woh tera sajdaye shukre khuda hussain hussain
lahoo gira tira jis sarzameen per shabbeer
woh khaak bangayee khaake shifa hussain hussain
khuda ke deen peh jo jaan dayte hai.n unkay
"sada mazaar se aaye sada hussain hussain'
bhateeje bhaanje bete hue shaheed magar
zubaa.n peh shukre khuda marhaba hussain hussain
hussainiyo.n se larazta hai yeh jahaa.n haamid
keh un ka wird hai karbobala hussain hussain
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
"sada mazaar se "tarhi salaam peshe khidmat hai
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
"sada mazaar se "tarhi salaam peshe khidmat hai
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob, waah waah
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,
PurkhulooS tasleemaat,
Aapka TaraHi salaam paRhkar bahut muta'ccir houaa. Bahut khoob, aap ne apne dili ehsaasat ko qalamband kardiyaa hei aur hameN in se sabaq lene kii Zaroorat hei.
Aapka MukhliS,
Nazir.
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
Re: Bahut khoob, waah waah
salaamun alaikumWEBMASTER wrote:
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,
PurkhulooS tasleemaat,
Aapka TaraHi salaam paRhkar bahut muta'ccir houaa. Bahut khoob, aap ne apne dili ehsaasat ko qalamband kardiyaa hei aur hameN in se sabaq lene kii Zaroorat hei.
Aapka MukhliS,
Nazir.
mohtaram abdullah nazir saahib
bahut bahut shukriya aapka.aapne hamaari hauslah afzaayee dilkhol kar kee hai.
allah(sbhnwt)aapko salaamat rakkhe.aameen
aapka mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa