hazreen e bazm
assalaam alaikum
guza. # 14 ke tarhi miSre per apni adna si ghazal ke saath Haazir hoon aur ummeed karta hoon sabhi KHawaateen o Hazraat apni aara se nawaaz kar mujhe shukriyah ada karne ka mouqa faraham karenge
shukriyah
Husaini
Saturday, February 11, 2006
Ghazal
1 Soorat e kaif umr bhar nah hui
"do ghaRi chain se basar nah hui"
2 yeh miri daastaan e ruswaai
laakh chaaha pa muKHtasar nah hui
3 dil mira paash paash hai lekin
teri tasweer muntashar nah hui
4 chashmah o aabjoo kaha phir bhi
Haq hai tamceel e chashm e tar nah hui
5 jis ki furqat meN jaaN balab heN hum
Haal e dil ki use KHabar nah hui
6 raas ab aa gai shab e deejoor
Gham nah hoga agar saHar nah hui
7 sab tire dar se faizyaab huye
mujh pe hi kiyun tiri nazar nah hui ?
8 wusAt e qalb , teri hum payah
Shirkat e Arsh o beHr o bar nah hui
9 razm gaahoN ke kaamranoN se
jang e jazbaat sar magar nah hui
10 bhook se mar raha hai humsaaya
Kiya yeh touheen e aHl e zar nah hui ?
11 ae Husaini unheN bulane ki
Koi tadbeer kaargar nah hui
Husaini Khandwi
tarHi ghazal Soorat e kaif umr bhar nah hui
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- khozema husaini
- -
- Posts: 150
- Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
- Contact:
tarHi ghazal Soorat e kaif umr bhar nah hui
Last edited by khozema husaini on Thu Feb 16, 2006 2:45 pm, edited 4 times in total.
hum husaini duAa ki deN soGHaat
laakh chahay bura karay koee
husaini
laakh chahay bura karay koee
husaini
wah wah wah behad umda..lajawaab ghazal...ek ek sher khoob hai..meri dili daad pesh hai ...bas maqta ittefaaq se aap ka huu ba huu hamare maqte se Takraa gaya....maine ghazal doosre din hi post kar di thi..shayad aap ne dekhi nahi thi...ye raha link..
http://forum.urdubandhan.com/phpBB2/vie ... php?t=2842
aapka maqta..
ae Husaini unheN bhulane ki
Koi tadbeer kaargar nah hui
aur ab ye maqta dekhiye jo maine likha tha
bhoolne kii 'Shumaa'ilah' usko
koi tadbeer kaargar na hui
haina tavarrud
chalte chalte ek dafaa phir aapki is qadar behtareen ghazal pe dili daad pesh hai!!!
Shumaila
http://forum.urdubandhan.com/phpBB2/vie ... php?t=2842
aapka maqta..
ae Husaini unheN bhulane ki
Koi tadbeer kaargar nah hui
aur ab ye maqta dekhiye jo maine likha tha
bhoolne kii 'Shumaa'ilah' usko
koi tadbeer kaargar na hui
haina tavarrud
chalte chalte ek dafaa phir aapki is qadar behtareen ghazal pe dili daad pesh hai!!!
Shumaila
- khozema husaini
- -
- Posts: 150
- Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
- Contact:
- khozema husaini
- -
- Posts: 150
- Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
- Contact: