Aik ghazal pesh khidmet!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob, waah waah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
RaAna SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Waah waah kyaa kehne. Aap ne isqadar mushkil zameen meiN bahut achche ashAar nikaale heiN. Kamaal hei SaaHib.

Is kaamyaab ghazal per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka MukhliS,

Nazir.

Image
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Post by Raji »

RaAna Jamali SaaHeba:
Aadaab-o-tasleemaat,

aap kee joining date tu puranii hai lekin bazm meN aap kam kam naZar aatee heN.

aap kee ghazal dekhee aur be-intihaa pasand aayii. waqaii meN is mushkil zameen meN likhnaa bohat hee mushkil kaam hai (kam az kam mere liye tu hai :-) )
aap ne miSraH-e-taraH ka Haq baKhoobii adaa kiyaa hai.
meree janib se ek kaamyaab taKhleeq par dilee daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

wassalam

Zahida Raees :Raji:
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
Post Reply