adna si kavish !

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Jibraan Khalil
nau-waarid
Posts: 13
Joined: Sun Dec 12, 2004 12:46 am
Contact:

adna si kavish !

Post by Jibraan Khalil »

Ghazal...........

vohi fasle' vohi raaste' vohi subh o shaam ke marhale
m'ree zindaghi se juRe huwe m;ree aarzoo'N ke silsile

yehi aarzu thi shab o sahar miley dil ko lazzate aarzoo
vohi jin pe karte thay naaz hum' vohi aaj GheroN se jaa mile

t'rey v'adah e shab e veesl kabharam aisa TooTa ke kiya kaheN
shab e Ghum ne humse jhapaT liye voh diloN ke saare hi valvale

mujhe har ghali laage ajnabi' m'ree rah rah hai be~nishaaN
rah e ishq meN yeh bataa mujhe' ke mile tou kaise nishaaN mile

m'rey Khasta haal ko dekhkar yehee baat sabke laboN pe
tujhe Khoob apni vafaoN ke rah e ishq meN siley mile

yeh na jaane kiski rafaaqtoN ka saroor tha jo kaT gaaye
na thay warna itne tou muKhtaser' m'ree zindaghani ke marHale

voh muhabbatoN ka payaambar' jise saari dunya se piyaar hai
oose denaa meraa salaam e Ghaum' kahiN tumko Saleh agar mile
Attachments
Wohi faasle.jpg
Wohi faasle.jpg (82.53 KiB) Viewed 282 times
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob, waah waah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami o Azeezi
Jibran Khalil SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki yeh ghazal bahut dilkash hei jiske liye meri daad aur mubaarakabaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT:

Aapke ashAar ki sharH-e-rumooz o maAani se qaTA-e-nazar maiN chand baataoN ki Taraf aapki tavajjuh dilaana chaahtaa hooN.

vohi fasle' vohi raaste' vohi subh o shaam ke marhale
m'ree zindaghi se juRe huwe m;ree aarzoo'N ke silsile


MaTlaA achchaa hei.

yehi aarzu thi shab o sahar miley dil ko lazzate aarzoo
vohi jin pe karte thay naaz hum' vohi aaj GheroN se jaa mile


yeh sheAr bhi khoobSoorat hei.

t'rey v'adah e shab e veesl kabharam aisa TooTa ke kiya kaheN
shab e Ghum ne humse jhapaT liye voh diloN ke saare hi valvale


yeh sheAr bhi khoob hei.

mujhe har ghali laage ajnabi' m'ree rah rah hai be~nishaaN
rah e ishq meN yeh bataa mujhe' ke mile tou kaise nishaaN mile


waah, bahut khoob.

m'rey Khasta haal ko dekhkar yehee baat sabke laboN pe
tujhe Khoob apni vafaoN ke rah e ishq meN siley mile


pahle miSreA ke aakhir meiN aap se lafz "hei" chooT gayaa hei. Doosre miSreA meiN "rah e ishq" ki bajaaye "rah e Aashiqi" kardeN tou MiSraA beHr meiN aajaayegaa.

yeh na jaane kiski rafaaqtoN ka saroor tha jo kaT gaaye
na thay warna itne tou muKhtaser' m'ree zindaghani ke marHale


Pahle miSreA meiN aap se lafz "keh" choot gayaa hei. Aapka miSraA yooN hounaa chaahiye:
(yeh na jaane kiski rafaaqtoN ka saroor tha keh jo kaT gaaye )

voh muhabbatoN ka payaambar' jise saari dunya se piyaar hai
oose denaa meraa salaam e Ghaum' kahiN tumko Saleh agar mile


MaqTaA achcha hei kiyuNkeh nayi teHreeraoN meiN "Hai" ko giraanaa jaayez samjhaa jaarahaa hei jaise is maqTeA meiN SaleH kaa Harf "Hai" saaqiT hourahaa hei.

Aakhir meiN, aapko dobaarah dili daad pesh kartaa hooN.


Nazir.

Image
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Wah Wah

Post by Mahtab Qadr »

Janab Jibran Khalil sahib
Salaam alaikum warahmatullah
Aapki is khoobsurat kavish kelye mashkoor hoN ke kafi arse baad aapki shayeri bhi parhne ko mili. aapka khoobsurat ehsaasat ko lafzoN ka pairahan ata karna aur jazboN ki farawani ko ehtiaat ke band se ghazal ka roop dena pasand aaya. choti moti batieN jin ki taraf Mohatram Abdullah Nazir sahib ne ishaara kia , us se qate nazar ghazal behad pasand aai. aap ka safarnama kab aaraha hai:) Haj ke taccurat ka intezar rahega.
shukria
Aapka
Mahtab Qadr
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Post by Raji »

Respected Dear JK uncle,
Aadaab-o-tasleemaat,
bohat taKheer se likh'ne ke liye ma'azrat Khwaa hooN.
aap kee Ghazal gokeh maiN pahle hee din dekh chukee thee lekin waqt kee kamii ke bai'ec likhne se qaSir rahii umeed kartee hooN keh aap meHsoos naheeN kareNge. :-)

Uncle aap kee Ghazal meN mashaAllah maZameen aur Khayalaat tu bohat hee Khoob heN.
aur is Ghazal meN bhi vohii rang numaYaaN hai jo aap ke diwan meN naZar aaYaa thaa.
meree janib se ek KhoobSoorat kawish pesh karne par dilee daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

aap kee maZeed taKhleeqaat ka bhi intizaar rahe gaa.

mamnoon-o-talib-e-dua
Zahida Raees :Raji:
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Post by sbashwar »

Mohtrami Janaab Jibran Khalil Sahib
ASAK
Vah vah bohat achi ghazal hai. Daad aur dili mubarakbaad qubool kjijye.
Salem Bashwar
سالم احمد باشوار
Post Reply