Makhdoom--intekhaab

UstadaoN aur MuntaKhib ShoAraa ki shaayeri

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Daanish
-
-
Posts: 448
Joined: Sun Feb 05, 2006 2:02 pm
Location: jahaan-e-kharaab
Contact:

Makhdoom--intekhaab

Post by Daanish »

intekhaab-e-kalaam-e-Makhdoom Mohiuddin




usi chaman meiN chaleN jashn-e-yaad-e-yaar kareN
diloN ko chaak, garebaaN to taar taar kareN

shameem-e-pairahan-e-yaar kya nisaar kareN
tujhi ko dil se lagaleN tujhi ko pyaar kareN

sunati phirti haiN aankheN kahaaniyaaN kya kya
ab aur kya kaheN kis kis ko saugwaar kareN

uTho ke fursat-e-deewangi ghaneemat hai
qafas ko le ke uDeN gul ko hum_kinaar kareN

kamaan-e-abru-e-khoobaaN ka baaNkpan hai ghazal
tamaam raat ghazal gaayeN deed-e-yaar kareN
*************************************************************


zindagi motiyoN ki Dhalakti laRhi, zindagi rang-e-gul ka bayaaN dosto
gaah rauti hui, gaah haNsti hui, meri aankheN haiN afsaana_khwaaN dosto

hai usi ke jamal-e-nazar ka asar, zindagi zindagi hai, safar hai safar
saaya-e-shaakh-e-gul, shaakh-e-gul ban gaya, ban gaya abr, abr-e-rawaaN dosto

ik mehakti behakti hui raat hai, laRhkhaDaati nigaahoN ki saughaat hai
phaNkDi ki zabaaN, phool ki daastaaN, uske hoNtoN ki parchhaiyaaN dosto

kaise tai hogi yeh manzil-e-shaaam-e-gham, kis tarah se ho dil ki kahani raqam
ik hatheli meiN dil, ik hatheli meiN jaaN, ab kahaaN ka yeh sood-o-ziyaaN dosto

dosto eik do jaam ki baat hai, dosto eik do gaam ki baat hai
haaN usi ke dar-o-baam ki baat hai, baRH na jaayeN kahiN dooriyaN dosto

sun raha huN hawadis ki aawaaz ko, paa raha huN zamaane ke har raaz ko
dosto uThh raha hai diloN se DhuaaN, aankh lene lagi hichkiyaaN dosto
*************************************************************

baRH gaya baada-e-gulguuN ka maza aakhir-e-shab
aur bhi surkh hai rukhsaar-e-haya aakhir-e-shab

manzileN ishq ki aasaaN huiiN chalte chalte
aur chamka tira naqsh-e-kaf-e-paa aakhir-e-shab

khatakta jaata hai zanjeer-e-dar-e-maikhaana
koi deewaana koi aabla_paa aakhir-e-shab

saaNs rukti hai chhalakte hu'e paimaanoN ki
koi leta thha tira naam-e-wafaa aakhir-e-shab

gul hai qandeel-e-haram, gul haiN kaleesa ke chiraagh
su-e-paimanaa baRHe dast-e-dua aakhir-e-shab

ha'ye kis dhhoom se nikla hai shaheedoN ka juloos
jurm chup sar ba_garebaaN hai jafaa aakhir-e-shab

usi andaaz se phir subah ka aanchal Dhhalke
usi andaaz se chal baad-e-saba aakhir-e-shab

*************************************************************

aap ki yaad aati rahi raat bhar
chashm-e-nam muskuraati rahi raat bhar

raat bhar dard ki shama jalti rahi
gham ki lau thar_tharaati rahi raat bhar

baaNsuri ki sureeli suhaani sadaa
yaad ban ban ke aati rahi raat bhar

yaad ke chaand dil meiN utarte rahe
chaandni jagmaati rahi raat bhar

koi deewaana galiyoN meiN phirta raha
koi aawaaz aati rahi raat bhar-- Makhdoom Mohiuddin
*************************************************************


"Makhdoom ki yaad meiN"--Faiz Ahmed Faiz

"aap ki yaad aati rahi raat bhar"
chaandni dil dukhaati rahi raat bhar

gaah jalti hui, gaah bujhti hui
shama-e-gham jhilmilaati rahi raat bhar

koi khushboo badalti rahi pairahan
koi tasveer gaati rahi raat bhar

phir sabaa saaya-e-shaakh-e-gul ke talay
koi qissa sunaati rahi raat bhar

jo na aaya use koi zanjeer-e-dar
har sadaa par bulaati rahi raat bhar

eik ummeed se dil behalta raha
ik tamanna sataati rahi raat bhar

(Faiz--Sept 1978, Moscow)

*************************************************************

"usi andaaz se chal baad-e-sabaa aakhir-e-shab"

yaad ka phir koi darwaaza khula aakhir-e-shab
dil meiN bikhri koi khushboo-e-qabaa aakhir-e-shab

subah phooti tau woh pehlu se uThaa aakhir-e-shab
woh jo ik umr se aaya na gaya aakhir-e-shab

chaand se maand sitaaroN ne kahaa aakhir-e-shab
kaun karta hai wafaa, ehad-e-wafaa aakhir-e-shab

lams-e-jaanana liye, masti-e-paimaana liye
hamd-e-baari ko uThay dast-e-dua aakhir-e-shab

ghar jo veeraN thha sar-e-shaam woh kaise kaise
furqat-e-yaar ne aabaad kiya aakhir-e-shab

jis adaa se koi aaya thha kabhi awwal-e-subah
"usi andaaz se chal baad-e-sabaa akhir-e-shab"

rau meiN hai raksh-e-umr kahaN dekhiye thhame
nay haath baag par hai na paa hai rikaab meiN--Ghalib
Post Reply