Ahmed :Jamal: Sadiq SaaHib ki aek ghazal
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Ahmed :Jamal: Sadiq SaaHib ki aek ghazal
MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-Sukhan
PurkhulooS Tasleemaat,
Mere aek qadeem muHtaram doust shaayer Janab Ahmed :Jamal: Sadiq SaaHib ki aek ghazal pesh karte houe khushi mehsoos karrahaa hooN. Aapki giraaNqadr aaraa ka intizaar rahega.
GHAZAL roman meiN:
joushish-e-khush Aqeedagi vehm-e-giriftigaaN ki mai
maikada-e-yaqeeN ki mai, Halqa-e-AarifaaN ki mai
deejiye aur kyaa javaab pursish-e-laajavaab kaa
pee ke Haram se aaye heiN kheenchi houi mughaN ki mai
apni namaaz-e-ijz kyaa kaAba-e-dil ke saamne
sar ko jhukaake maangna sheesha-e-kun fakaaN ki mai
lazzat-e-shaghl-e-maikashi bazm-e-saman-vashaN meiN hei
Hujla-e-iHtiyaaT meiN kaisa nasha kahaN ki mai
Maikada-e-jamaal meiN kaifiyyat-e-micaal meiN
Peete heiN jaam-e-qadr-e-mai makhzan-e-lamakaan ki mai
Sosan-e-chashm-e-rangbez raat jo nagahaaN khuli
Dil meiN utargayi tamaam saaghar-e-arghuaan ki mai
Garm se garm tar houi raat bisaaT-e-maikadah
Tund se tundtar houi kaasa-e-sheeshah-jaaN ki mai
Nikhrega aur pai ba-pai shauq ki is dhanak ka rang
Saaqi pilaaye jaa mujhe Sadqa-e-gul-rukhaaN ki mai
kiyuN nah hou ishq kaa bayaaN fikr fiza nasha acar
saaghar-e-nuTq meiN bhari joushish-e-taak-e-jaaN ki mai
sheAr-e-:Jamal: meiN acar kitnaa hei yeh nah dekhiye
urdu ke gul piaalaoN se peejiye aSfahaaN ki mai.
=======
Aapka MukhliS,
Nazir.
- Attachments
-
- jamal_sadiq.JPG (94.37 KiB) Viewed 95 times