"insaaf ka ghar paida kar"tarhi ghazal peshe khidm

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

"insaaf ka ghar paida kar"tarhi ghazal peshe khidm

Post by haamidbaaqri »

salaamun alaikum
dosto

haal hi mei.n roznaamah salar bangalore ki jaanib se aik tarhi misra diya gaya tha.

misra hai"qatre qatre mei.n samandar hai nazar paida kar"

hamaari adna si kaavish haazir hai
gar qubool uftad zahe.....

arz kiya hai...

zulm ke shahar mei.n insaaf ka ghar paida kar
vaadi-e shak mei.n yaqee.n ka tu shajar paida kar

kya bigaade.nge tira khud bhi tau mohtaaj hai.n log
pyaar allaah se kar uska hi dar paida kar

tu hai mehmaan yahaa.n jaana hai ek din tujhko
manzile.n sakht hai.n kuch zaade safar paida kar

saamne waale ko too neech nigaaho.n se na dekh
"qatre qatre mei.n samandar hai nazar paida kar"

tujhko mohlat hai mili nekiyaa.n karle haamid
tujh pah naazaa.n ho jahaa.n aisa hunar paida kar

nateejaye fikr
haamidbaaqri
alhamdulillah
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Post by sbashwar »

Mohtaram Janab Hamidbaaqri Sahib
ASKA
Aapke ghazal ke sare ash'ar bohat khoob hain. Daad aur mubarak baad qubool kijiye.
Salem Bashwar
سالم احمد باشوار
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob

Post by Abdullah Nazir »

MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Aapki ghazal mujhe bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT

zulm ke shahar mei.n insaaf ka ghar paida kar
vaadi-e shak mei.n yaqee.n ka tu shajar paida kar

Bahut achchaa maTlaA hei. Zabaan ke liHaaz se jab zameer ke maAni bilkul vaaZeH houjaayeN tou uski Zaroorat pesh nahiN aati. Aapke doosre miSreA lafz "tuu" ke baghair maAni vaaZeH hourahe heiN aap jis ko mukhaaTib karrahe heiN wo "tuu" hei. Jaise aap jab kisi ko daAwat de rahe houN tou kahenge "tashreef laayiye" . Istisnaayi Soorat yeh houti hei ke aap zameer is liye isteAmaal karrahe houN taake takhSeeS paidaa karnaa chaahte houN jaise kayi doustaoN meiN se aek ko mukhaatib karke kehrahe houN "aap tashreef laayiye". Yaa apni baat per zour dene ke liye macalan aek hi ko aap mukhaaTib farmaarahe heiN lekin zour dene ke liye youN kahenge "aap zaroor tashreef laayiye".
Housaktaa hei ke aapke miSreA meiN bhi koii istisnaayi kaifiyat hou.

kya bigaade.nge tira khud bhi tau mohtaaj hai.n log
pyaar allaah se kar uska hi dar paida kar

Yeh sheAr bahut khoob hei. Waise fiTri Taur per tou khauf-e-khudaa paayaa jaataa hei jisko paidaa karne kii koii Zaroorat nahiN pesh aati lekiN aapke sheAr se yeh mneHsoos houtaa hei yeh un koagoN ke liye kahaa jaarahaa hei jinke dil dunyavi TaaqataoN se marAoob heiN.
Bahut khoob.

hai maihmaan yahaaN jaana hai ek din tujhko
manzile.n sakht hai.n kuch zaade safar paida kar

Bahut khoob waah waah. Doosre miSreA meiN "kanzileN" se muraad shaayad aap marhale le rahe heiN.

samne waale ko too neech nigaaho.n se na dekh
"qatre qatre mei.n samandar hai nazar paida kar"

Waah waah, bahut khoob. Go keh "neech nigaahaoN se" bamaAni "Hiqaarat kii nazar se" yaa "kamtar samajhkar" ziyaadah mustaAmal nahiN hei lekin ibaarat bilkul saHeeH hei.

tujhko mohlat hai mili nekiyaa.n karle haamid
tujh pah naazaa.n ho jahaa.n aisa hunar paida kar

MaqTaA bhi achchaa hei.

Dobaarah dili daad qubool farmaayiye.

Aapka mukhliS,
Nazir.

Image
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

shukriya

Post by haamidbaaqri »

sbashwar wrote:Mohtaram Janab Hamidbaaqri Sahib
ASKA
Aapke ghazal ke sare ash'ar bohat khoob hain. Daad aur mubarak baad qubool kijiye.
Salem Bashwar
salaamun alaikum
mohtaram sbashwar saahib

aapki pukhuloos daadke hum behad mamnoono mashkoor hai.n.

allah(sbhnwt)aapko salaamat rakkhe.aameen

khair andesh
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: Bahut khoob

Post by haamidbaaqri »

WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Aapki ghazal mujhe bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT

zulm ke shahar mei.n insaaf ka ghar paida kar
vaadi-e shak mei.n yaqee.n ka tu shajar paida kar

Bahut achchaa maTlaA hei. Zabaan ke liHaaz se jab zameer ke maAni bilkul vaaZeH houjaayeN tou uski Zaroorat pesh nahiN aati. Aapke doosre miSreA lafz "tuu" ke baghair maAni vaaZeH hourahe heiN aap jis ko mukhaaTib karrahe heiN wo "tuu" hei. Jaise aap jab kisi ko daAwat de rahe houN tou kahenge "tashreef laayiye" . Istisnaayi Soorat yeh houti hei ke aap zameer is liye isteAmaal karrahe houN taake takhSeeS paidaa karnaa chaahte houN jaise kayi doustaoN meiN se aek ko mukhaatib karke kehrahe houN "aap tashreef laayiye". Yaa apni baat per zour dene ke liye macalan aek hi ko aap mukhaaTib farmaarahe heiN lekin zour dene ke liye youN kahenge "aap zaroor tashreef laayiye".
Housaktaa hei ke aapke miSreA meiN bhi koii istisnaayi kaifiyat hou.

kya bigaade.nge tira khud bhi tau mohtaaj hai.n log
pyaar allaah se kar uska hi dar paida kar

Yeh sheAr bahut khoob hei. Waise fiTri Taur per tou khauf-e-khudaa paayaa jaataa hei jisko paidaa karne kii koii Zaroorat nahiN pesh aati lekiN aapke sheAr se yeh mneHsoos houtaa hei yeh un koagoN ke liye kahaa jaarahaa hei jinke dil dunyavi TaaqataoN se marAoob heiN.
Bahut khoob.

hai maihmaan yahaaN jaana hai ek din tujhko
manzile.n sakht hai.n kuch zaade safar paida kar

Bahut khoob waah waah. Doosre miSreA meiN "kanzileN" se muraad shaayad aap marhale le rahe heiN.

samne waale ko too neech nigaaho.n se na dekh
"qatre qatre mei.n samandar hai nazar paida kar"

Waah waah, bahut khoob. Go keh "neech nigaahaoN se" bamaAni "Hiqaarat kii nazar se" yaa "kamtar samajhkar" ziyaadah mustaAmal nahiN hei lekin ibaarat bilkul saHeeH hei.

tujhko mohlat hai mili nekiyaa.n karle haamid
tujh pah naazaa.n ho jahaa.n aisa hunar paida kar

MaqTaA bhi achchaa hei.

Dobaarah dili daad qubool farmaayiye.

Aapka mukhliS,
Nazir.

salaamun alaikum
mohtaram abdullah nazir saahib

aik baar phir aapne hamaari purkhuloos hauslah afzaayee ki hai aur apni ^aarifaanah daad se hame.n nawaaza hai jiske liye hum aapke behad shukrguzaar hai.n.harbaar aapse kuch na kuch seekhne ko milta hai hame.n.

allah(sbhnwt)aap per apni khaas nazre karam farmaaye .aameen

aapka mukhlis