aslaam_u_alikam
yaad bhi unki hamsafar na hui
aur duaa koi baa acar na houi
esey uljhey terey jhameiloN main
zindagi tujh ko bhi khabar na huii
qissa-e-dard jaante the sab
be.khabar ! bas tujhe khabar na houi
umr bhar uljhanon ko suljhaaya
do ghari chein sey basar nah houi
khavaahishein to hazaar thiin lekin
aik bhi poori umr bhar na hui
her gharee deep hum jalaatey rahey
per khushi ki kabhi saHar na houi
yaad bhi unki hamsafar na hui
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
Fatima SaaHiba, aadaab
maashaa Allah bohut dilkash Ghazal hai ! mujhe Khaas tor pe ye shea'r
"qissa-e-dard.........................
bohut pasand aayaa ! DheroN daad qabool kejeye ! shukriya
Zia Baloch
maashaa Allah bohut dilkash Ghazal hai ! mujhe Khaas tor pe ye shea'r
"qissa-e-dard.........................
bohut pasand aayaa ! DheroN daad qabool kejeye ! shukriya
Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob
MuHtaramah
Fatimah SaaHibah,
PurkhulooS tasleemaat,
Aapki yeh TaraHi ghazal bahut achchi hei. Saar ashAar dilkash heiN. Is kaamyaab takhleeq per meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
[color\brown]
Aapka MukhliS,
Nazir.
[/color]
sara_j wrote:Dear fatima,
adaab,
aek arse baad apki tehreer se masroor houne ka mauqa mila.
bohat hi umda kavish hai....ghazal tamaam pasand aayi ,
khaas ye ashaar kuch ziyada pasand aaye:
yaad bhi unki hamsafar na hui
aur duaa koi baa acar na houi
qissa-e-dard jaante the sab
be.khabar ! bas tujhe khabar na houi
khavaahishein to hazaar thiin lekin
aik bhi poori umr bhar na hui
her gharee deep hum jalaatey rahey
per khushi ki kabhi saHar na houi
mubarakbaad qubool keejiye.
sara
aslaam_u_alikam
sara ji is qadr pazeraai key liye main aap ki mumnoon hun
shukriya
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
Re: yaad bhi unki hamsafar na hui
Fatima ji
aapki ghazal ka har sher acha hai, poori ghazal pasand aai. itni saada zaban o bayan ke sath itne achay mazameen bandhna aapki sheri salahiatoN ka mazhar hai.
shukria
Mahtab Qadr
aapki ghazal ka har sher acha hai, poori ghazal pasand aai. itni saada zaban o bayan ke sath itne achay mazameen bandhna aapki sheri salahiatoN ka mazhar hai.
shukria
Mahtab Qadr
fatimah wrote:aslaam_u_alikam
yaad bhi unki hamsafar na hui
aur duaa koi baa acar na houi
esey uljhey terey jhameiloN main
zindagi tujh ko bhi khabar na huii
qissa-e-dard jaante the sab
be.khabar ! bas tujhe khabar na houi
umr bhar uljhanon ko suljhaaya
do ghari chein sey basar nah houi
khavaahishein to hazaar thiin lekin
aik bhi poori umr bhar na hui
her gharee deep hum jalaatey rahey
per khushi ki kabhi saHar na houi
Re: yaad bhi unki hamsafar na hui
Bohat Khoob Fatimah!!! :rosefatimah wrote:aslaam_u_alikam
yaad bhi unki hamsafar na hui
aur duaa koi baa acar na houi
esey uljhey terey jhameiloN main
zindagi tujh ko bhi khabar na huii
qissa-e-dard jaante the sab
be.khabar ! bas tujhe khabar na houi
umr bhar uljhanon ko suljhaaya
do ghari chein sey basar nah houi
khavaahishein to hazaar thiin lekin
aik bhi poori umr bhar na hui
her gharee deep hum jalaatey rahey
per khushi ki kabhi saHar na houi