aik ghazal kay saath hazir huwa hooN............ehbab kee araa ka muntazir rahoonga:::: khul ke qainchee chalayeay.............jo bura lagay nishandahee kijiay..................
aapka dost
sabeehuddin shoaiby
ye dil jo aaj bohat beqarar apna hay
naseeb aaj bhee phir intizaar apna hay
jo yaar khush hay tu phir burg o baar apna hay
wagarna ghur wohi burq o sharar apna hay
wafa guzeedoN meN jab se shumaar apna hay
her aik shakhs yahaN ghum gusaar apna hay
janab e mush ka ye kehna hay bush ke dauray per
wafa karay na karay phir bhee yaar apna hay
ye teray ishq ka faizan hay meray humdum
gali gali meN jo ye ishtahar apna hay
badan meN zehr jo utra wo ghair ka kab hay
jo aasteeN meN chupa hay wo maar apna hay
kisee ko yaad kareN kia, kisay bhulayeN hum
ke apne dil pe kahaN ikhtiyar apna hay
badal ke roop jhalakta hay apnay she’roN meN
gham e hayat, gham e rozgar apna hay
watan ka baal bhee baNka na ker sakay koee
ke is ke gird ye sangeeN hisaar apna hay
sabeeh khud meN bohat mohtaram heN hum ab bhee
waqar ab bhee kahiN burqarar apna hay
ghazal, misra e tarah:wafa kare na kare phirbhi yar apna hay
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
ghazal, misra e tarah:wafa kare na kare phirbhi yar apna hay
Last edited by sabeeh on Fri Mar 17, 2006 11:27 pm, edited 1 time in total.
Aadaab, Sabeeh SaaHeb:
miSrah-e-taraH peh aur meHfil-e-suKhan ke mushaire meN bohat se kauna-mashq-o-SaaHeb-e-ilm eHbaab ne bhi HiSSah liyaa thaa aur Khoob ghazleN pesh keeN so mere Khayal se is ghazal par tanqeedii jaahizah tu voh eHbaab hee d'aal sakte heN.
ham Sirf daad dene ke liye Haazir hoove heN so ek achii koshish par daad pesh-e-Khidmat hai.
weise yeh tu sach hai keh miSraH-e-taraH kee girah ne is she'r ko Ghazal ke rang se judaa kar diyaa hai lekin hai pur-lutf so is girah par meree jaanib se special daad qubool keejiye.
Khush rahiye
Khair andesh
Zahida Raees :Raji:

Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)