Taaza tarahi Ghazal...

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Taaza tarahi Ghazal...

Post by Shummu »

Salaam ahl-e-bazm!

Kaafi din baad ek nayi ghazal likhi hai ek forum pe diye gaye tarahi misre pe....dekhiye kaisi hai :)


sa'ate-e-vasl jagaane lagi armaaN kyaa kyaa
khwaab sajne lage yakdam sar-e-mizzghaaN kyaa kyaa

dekh kar teri wafaayeiN wo sar-e-bazm-e-aduu
dil ne phir yaad kiye waada-o-paimaaN kyaa kyaa

mujh ko buzdil na samajhnaa ke abhii dekhna tum
rang laayegii mirii quwwat-e-pinhaaN kyaa kyaa

dekheiN is baar du'aaoN meiN asar hai kitnaa
dekheiN barsaati hai woh raHmat-e-yazdaaN kyaa kyaa

mere naale,miri aaheiN ye bataa dengi tuMhe...
'gul khilaati hai naseem-e-Gham-e-pinhaaN kyaa kyaa'

raah-e-ulfat meiN faqat tuu hi khasaare meiN nahin
aa kabhii dekh sahe maine hain nuqsaaN kyaa kyaa

ye nazaare,ye manaazir kareiN shikwah mujh se
DhooNdte hain ye tire deeda-e-HairaaN kyaa kyaa??

dekhnaa tum miri bastii se guzar ke jaanaaN!
meri shoreeda saree ko mile unwaaN kyaa kyaa

zehn khaamosh,zubaaN chup,dil-e-khaanaa sunsaaN
Haaye! Jaate hue woh kar gaya veeraaN kyaa kyaa

roz-o-shab, shaam-o-seHar taj diye tere dar par
zindagii tujh pe karooN aur maiN qurbaaN kyaa kyaa?


Adaab,
Shumaila
Last edited by Shummu on Tue Mar 21, 2006 9:45 pm, edited 2 times in total.
Daanish
-
-
Posts: 448
Joined: Sun Feb 05, 2006 2:02 pm
Location: jahaan-e-kharaab
Contact:

Post by Daanish »

Shumaila Saheba

aadaab-o-tasleemaat
ghazab ki tarahi ghazal pesh ki aap ne! waah! har shayr baliigh aur khoobsurat. bharpoor daad aur dili mubarakbaad qubool kijiye. bohat khoob!

khair andesh
Daanish
rau meiN hai raksh-e-umr kahaN dekhiye thhame
nay haath baag par hai na paa hai rikaab meiN--Ghalib
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

Daanish wrote:Shumaila Saheba

aadaab-o-tasleemaat
ghazab ki tarahi ghazal pesh ki aap ne! waah! har shayr baliigh aur khoobsurat. bharpoor daad aur dili mubarakbaad qubool kijiye. bohat khoob!

khair andesh
Daanish

Bahut bahut nawaazish Daanish sahab..aap jaise kohna mashq shayar jab hausla afzaayi farmaa dein to aur kya chaahiye.... :grin:

Thank u from the bottom of my heart :-)

Shumaila
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

a'zeezah Shumaila: aadaab!

aap kee yeh Ghazal kayee meHfiloN meN dekh`ee. ma'loom naheeN kyoN kisee ne is par naaqidaanah nigaah naheeN Daalee. maiN har she'r par mufaSSil tabSirah to naheeN karooN gaa. albattah do ek baateN a'rZ^ karne kee ijaazat chaahataa hooN. baaqee aap Khud hee kar leN gee.

aap kee koshish qaabil-e-sitaayish hai. sab se baRee baat yeh hai keh waqt ke saath` aap kee she'ree kaawisheN behtar hotee jaa rahee haiN. Urdu kee in meHfiloN kaa ek baRaa maqSad yeh bh`ee hai keh ham apnee shaa,i'ree ko behtar banaaYeN. aur yeh tab hee ho saktaa hai jab hamaare dost hameN apnee raaYe se aagaah kareN. yeh Z^arooree naheeN hai keh meree yaa kisee aur kee raaYe hameshah durust ho. albattah yeh Z^aroor hai keh is qism ke tabaadilah-e-Khayaal se soch kee nayee raaheN kh`ultee haiN.

aap ke kayee ash,a'ar achh`e haiN. majmoo,e'e t^aur se Ghazal achh`ee hai. do ek jagah jh`ol reh gayaa hai jo mazeed tawajjuh aur meHnat se door ho jaaYe gaa. chand baateN likh` rahaa hooN. baaqee ash,a'ar mere tabSireh kee raushanee meN aap Khud hee dekh` leN gee.
----------------------------------------
sa'ate-e-vasl jagaane lagi armaaN kyaa kyaa
khwaab sajne lage yakdam sar-e-mizzghaaN kyaa kyaa

bohat achh`aa mat^la' hai. daad HaaZ^ir hai!
----------------------------------
dekh kar teri wafaayeiN sar-e-bazm-e-aduu
dil ne phir yaad kiyaa waada-o-paimaaN kyaa kyaa

pehlaa miSra' wazn meN naaqiS hai. :a'doo: ko :yaaraaN: se badal deN to yeh durust ho jaaYe gaa. doosree baat yeh hai keh :wa'dah: aur :paimaan: do alag alag baateN haiN. chunaan.ch doosre miSre' meN :kiyaa: ko :kiYe: se badalnaa Z^arooree hai.
----------------------------
mujh ko buzdil na samajhnaa ke abhii dekhna tum
rang laayegii mirii quwwat-e-pinhaaN kyaa kyaa

aur to Ghaneemat hai lekin :quwwat-e-pinhaaN: ko ph`ir dekh` leN keh yahaaN kh`ap naheeN rahaa hai.
--------------------------------
dekheiN is baar du'aaoN meiN asar hai kitnaa
dekheiN barsaati hai woh raHmat-e-yazdaaN kyaa kyaa

:dua'a,oN: ke saath` :barsaatee hai: kee bajaaYe :barsaatee haiN: honaa chaahiYe. she'r waise bh`ee naz^ar-e-caanee kaa t^aalib hai.
-----------------------------------
mere naale,miri aaheiN ye bataa dengi tuMhe...
'gul khilaati hai naseem-e-Gham-e-pinhaaN kyaa kyaa'

raah-e-ulfat meiN faqat tuu hi khasaare meiN nahin
aa kabhii dekh sahe maine hain nuqsaaN kyaa kyaa
-----------------------------------
ye nazaare,ye manaazir kareiN shikwah mujh se
DhooNdte hain ye tire deeda-e-HairaaN kyaa kyaa??

:naz^aare: aur :manaaz^ir: meN aap ke Zehn meN kyaa farq hai? kyaa yeh ham-ma'nee naheeN haiN? she'r waise bh`ee kamzor hai. ph`ir socheN to harj naheeN hai.
-----------------------------------
dekhnaa tum miri bastii se guzar ke jaanaaN!
meri shoreeda saree ko mile unwaaN kyaa kyaa

doosraa miSra' bohat achh`aa hai. pehle par ph`ir meHnat kar leN to behtar ho gaa.
-----------------------------------
zehn khaamosh,zubaaN chup,dil-e-khaanaa sunsaaN
Haaye! Jaate hue woh kar gaya veeraaN kyaa kyaa

:dil-e-Khaanah: naheeN bal.k :Khaanah-e-dil: honaa chaahiYe! yooN keh sakte haiN:

Zehn Khaamosh hai, dil chup hai, zabaaN hai saakit
haaYe!------------------
-----------------------
ho jawaani ya buRhaapaa ke tujhe sauNp diyaa!
zindagii tujh pe karooN aur maiN qurbaaN kyaa kyaa?

she'r nihyaayat kamzor hai. pehlaa miSra' yaqeena" badalne kee Z^aroorat hai. ek Soorat yeh mumkin hai:

roz-o-shab, shaam-o-seHar taj diYe tere dar par
zindagee-------------------------
=====================
ummeed hai keh jo baateN maiN ne ch`oR dee haiN woh aap Khud hee samajh` leN gee. yeh bh`ee mumkin hai keh koyee aur dost apne tabSirah meN in kaa iHaat^ah kar le. ek achh`ee koshish par meree mubaarakbaad!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

Sarwar A. Raz wrote:a'zeezah Shumaila: aadaab!

aap kee yeh Ghazal kayee meHfiloN meN dekh`ee. ma'loom naheeN kyoN kisee ne is par naaqidaanah nigaah naheeN Daalee. maiN har she'r par mufaSSil tabSirah to naheeN karooN gaa. albattah do ek baateN a'rZ^ karne kee ijaazat chaahataa hooN. baaqee aap Khud hee kar leN gee.

Adaab Mohtaram Sarwar Raz sahab... aap ko mehfil mein wapis dekh kar bahut achcha lag raha hai :) aaapki kami mehsoos ho rahi thi...baDe arse baad aapne mere kisi kalaam pe tabsira kiya hai ye dekhkar aur bhi achcha laga....jee aisi baat nahi...doosri mehfilon mein ek do logon ne mere kamzor misron ki bhi nishaandehi ki hai :)
aap kee koshish qaabil-e-sitaayish hai. sab se baRee baat yeh hai keh waqt ke saath` aap kee she'ree kaawisheN behtar hotee jaa rahee haiN. Urdu kee in meHfiloN kaa ek baRaa maqSad yeh bh`ee hai keh ham apnee shaa,i'ree ko behtar banaaYeN. aur yeh tab hee ho saktaa hai jab hamaare dost hameN apnee raaYe se aagaah kareN. yeh Z^arooree naheeN hai keh meree yaa kisee aur kee raaYe hameshah durust ho. albattah yeh Z^aroor hai keh is qism ke tabaadilah-e-Khayaal se soch kee nayee raaheN kh`ultee haiN.

shukriya ke aap ko meri koshish qaabil-e-sitaayish lagi.....aur bilkul bajaa farmaaya aapne...sach to ye hai ke maine aaj tak jo kuch bhi seekha hai woh aap ko hi paRh ke seekha hai....aur aap ki har baat ko main baDe ghaur se paRhti thi aur use agli baar apni kaavishon mein istimaal karne ki koshish karti thi...so jo kuch bhi aap ko mere kalaam mein behtari nazar aayi hai woh sab aap hi ki wajah se hai :D Aapne shuru mein bahut meir rehnumaayi farmaayi thi aur baDi pate pate ki baateiN batayi thin ..unhi ko madd-e-nazar rakhte hue maine behtar se behtar likhne ki koshish ki hai aur aaj is qaabil hui hoon..go ke kalaam mein aaj bhi bahut behtari ki gunjaaish rehti hai :D

aap ke kayee ash,a'ar achh`e haiN. majmoo,e'e t^aur se Ghazal achh`ee hai. do ek jagah jh`ol reh gayaa hai jo mazeed tawajjuh aur meHnat se door ho jaaYe gaa. chand baateN likh` rahaa hooN. baaqee ash,a'ar mere tabSireh kee raushanee meN aap Khud hee dekh` leN gee.
Bahut khushi hui jaankar ke aap ko mere kayee ashaar achche lage..ye baDi baat haii mere liye :)
----------------------------------------
sa'ate-e-vasl jagaane lagi armaaN kyaa kyaa
khwaab sajne lage yakdam sar-e-mizzghaaN kyaa kyaa

bohat achh`aa mat^la' hai. daad HaaZ^ir hai!
Shukriya nawaazish...is matle ko aapne pass kar diya to waqaii sher mein koi baat zaroor hogi.....waise doosri bazmon mein bhi sabhi ko matla sab se zyaada pasand aaya hai :)
----------------------------------
dekh kar teri wafaayeiN sar-e-bazm-e-aduu
dil ne phir yaad kiyaa waada-o-paimaaN kyaa kyaa

pehlaa miSra' wazn meN naaqiS hai. :a'doo: ko :yaaraaN: se badal deN to yeh durust ho jaaYe gaa. doosree baat yeh hai keh :wa'dah: aur :paimaan: do alag alag baateN haiN. chunaan.ch doosre miSre' meN :kiyaa: ko :kiYe: se badalnaa Z^arooree hai.
oh no woh na typing mistake hai :cry:

asl misra kuch yuN tha 'dekh kar teri wafaayeiN wo sar-e-bazm-e-a'duu '

yahan jaan boojh ke aduu ka istimaal kiya hai...

achcha main 'kiya' ko 'kiye' se badal deti hoon..shukriya nishaandehi farmaane ka :)
----------------------------
mujh ko buzdil na samajhnaa ke abhii dekhna tum
rang laayegii mirii quwwat-e-pinhaaN kyaa kyaa

aur to Ghaneemat hai lekin :quwwat-e-pinhaaN: ko ph`ir dekh` leN keh yahaaN kh`ap naheeN rahaa hai.
arey woh kaise? :?

yahan 'quwwat-e-pinhaaN' se muraad chuphi hui taaqat hai..aur mere khayaal se dono misron mein rabt bhi hai :shock:
--------------------------------
dekheiN is baar du'aaoN meiN asar hai kitnaa
dekheiN barsaati hai woh raHmat-e-yazdaaN kyaa kyaa

:dua'a,oN: ke saath` :barsaatee hai: kee bajaaYe :barsaatee haiN: honaa chaahiYe. she'r waise bh`ee naz^ar-e-caanee kaa t^aalib hai.
yahan 'barsaati' ko aap 'raHmat-e-yazdaaN' ke saath dekheiN...'du'aaoN' ke saath.
-----------------------------------
mere naale,miri aaheiN ye bataa dengi tuMhe...
'gul khilaati hai naseem-e-Gham-e-pinhaaN kyaa kyaa'

raah-e-ulfat meiN faqat tuu hi khasaare meiN nahin
aa kabhii dekh sahe maine hain nuqsaaN kyaa kyaa
-----------------------------------
NO COMMENTS? :oops:
ye nazaare,ye manaazir kareiN shikwah mujh se
DhooNdte hain ye tire deeda-e-HairaaN kyaa kyaa??

:naz^aare: aur :manaaz^ir: meN aap ke Zehn meN kyaa farq hai? kyaa yeh ham-ma'nee naheeN haiN? she'r waise bh`ee kamzor hai. ph`ir socheN to harj naheeN hai.
-----------------------------------
maine jaanboojh ke hum ma'nee alfaaz ka istimaal kiya hai sher pe mazeed zor Daalne ke liye.. aur mujhe sher to sahi lag raha hai :oops:
dekhnaa tum miri bastii se guzar ke jaanaaN!
meri shoreeda saree ko mile unwaaN kyaa kyaa

doosraa miSra' bohat achh`aa hai. pehle par ph`ir meHnat kar leN to behtar ho gaa.
-----------------------------------
hmm jee theek hai is misre pe mazeed ghaur karungi inshaAllah....koi tajweez ho to zaroor dijiyega :)
zehn khaamosh,zubaaN chup,dil-e-khaanaa sunsaaN
Haaye! Jaate hue woh kar gaya veeraaN kyaa kyaa

:dil-e-Khaanah: naheeN bal.k :Khaanah-e-dil: honaa chaahiYe! yooN keh sakte haiN:

Zehn Khaamosh hai, dil chup hai, zabaaN hai saakit
haaYe!------------------
-----------------------
jee pehle main bhi kuch aisa hi likh rahi thi magar baat ban nahi paa rahi thi ..asl mein main dil ke sunsaaN hone ka zikr karna chahti hoon....khair aap ke misre aur apne misre ko saath dekh ke mazeed behtar karne ki koshish karungi :)
ho jawaani ya buRhaapaa ke tujhe sauNp diyaa!
zindagii tujh pe karooN aur maiN qurbaaN kyaa kyaa?

she'r nihyaayat kamzor hai. pehlaa miSra' yaqeena" badalne kee Z^aroorat hai. ek Soorat yeh mumkin hai:

roz-o-shab, shaam-o-seHar taj diYe tere dar par
zindagee-------------------------
=====================
wah aap ka misra apni jagah behad khoobsurat hai go ke mera khayaal Thora sa tabdeel ho raha hai lekin mumkin hai main aapki tajweez ko apnaa loon kyonki waqaii behad khoobsurat misra hai..shukriya! :)

ummeed hai keh jo baateN maiN ne ch`oR dee haiN woh aap Khud hee samajh` leN gee. yeh bh`ee mumkin hai keh koyee aur dost apne tabSirah meN in kaa iHaat^ah kar le. ek achh`ee koshish par meree mubaarakbaad!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
bahut bahut nawaazish Sarwar sahab aapne bahut waqt nikaal kar bahut achche se mere sheron ko dekha aur tabsira farmaaya hai....main inshaAllah in ki raushnee mein sher ko mazeed behtar banaane ki koshish karungi..shukriya tah-e-dil se :)

Du'aaoN mein yaad rakhiyega,
Shumaila
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Re: Taaza tarahi Ghazal...

Post by Shummu »

sara_j wrote:
wah wah! shummu,

is baar tou aapne ghazab kerdiya.......alfaaz ka bohat hi
umda chunaav aur dilchasp khayalat ka izhaar.......

sab hi ashaar bohat khoob hain .

daad qubool keejiye :rose aur zor e qalam aur ziyada.

sara

shukriya dear Sara jee..aap ko meri koshish pasand aayi jaankar bahut bahut khushi hui..aap to mashaAllah khud nihaayat hi umda likhne lagi haiN... :grin:

Thank u.....! :rose

Shumaila
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

a'zeezah Shumaila: aadaab!

Khat^ kaa shukriyah. aap ek baar ph`ir ThanDe dil se meree teHreer paRh`iYe! meraa Khayaal hai keh aap ke saare taraddud door ho jaaYeN ge. micaal ke t^aur par:

[mujh ko buzdil na samajhnaa ke abhii dekhna tum
rang laayegii mirii quwwat-e-pinhaaN kyaa kyaa

aur to Ghaneemat hai lekin :quwwat-e-pinhaaN: ko ph`ir dekh` leN keh yahaaN kh`ap naheeN rahaa hai.

arey woh kaise? yahan 'quwwat-e-pinhaaN' se muraad chuphi hui taaqat hai..aur mere khayaal se dono misron mein rabt bhi hai]
:quwwat-e-pinhaaN: kaa to mat^lab hee :ch`upee huyee t^aaqat: hai! so aap ne koyee nayee baat to naheeN kahee. mas,alah yeh hai keh is taaqat kee shinaaKht majhool hai. agar kaheeN is ko Saaf bayaan kar deteeN to baat mu,accar ho saktee th`ee. maujoodah Soorat meN Sirf miSro'N kaa rabt^ ma'nee-aafreenee ke liYe kaafee naheeN hai. yooN aap maalkiah haiN! :-)
==================
[dekhen is baar du'aaoN meiN asar hai kitnaa
dekheiN barsaati hai woh raHmat-e-yazdaaN kyaa kyaa

:dua'a,oN: ke saath` :barsaatee hai: kee bajaaYe :barsaatee haiN: honaa chaahiYe. she'r waise bh`ee naz^ar-e-caanee kaa t^aalib hai.

yahan 'barsaati' ko aap 'raHmat-e-yazdaaN' ke saath dekheiN...'du'aaoN' ke saath.]

aap ke miSre' kee bunat (construct) aisee hai keh jo mat^lab maiN ne liyaa hai wohee is se nikal saktaa hai. aap kee taujeeH durust naheeN hai. Ghaur kar leN.

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

Sarwar Raz wrote:a'zeezah Shumaila: aadaab!

Khat^ kaa shukriyah. aap ek baar ph`ir ThanDe dil se meree teHreer paRh`iYe! meraa Khayaal hai keh aap ke saare taraddud door ho jaaYeN ge. micaal ke t^aur par:

[mujh ko buzdil na samajhnaa ke abhii dekhna tum
rang laayegii mirii quwwat-e-pinhaaN kyaa kyaa

aur to Ghaneemat hai lekin :quwwat-e-pinhaaN: ko ph`ir dekh` leN keh yahaaN kh`ap naheeN rahaa hai.

arey woh kaise? yahan 'quwwat-e-pinhaaN' se muraad chuphi hui taaqat hai..aur mere khayaal se dono misron mein rabt bhi hai]
:quwwat-e-pinhaaN: kaa to mat^lab hee :ch`upee huyee t^aaqat: hai! so aap ne koyee nayee baat to naheeN kahee. mas,alah yeh hai keh is taaqat kee shinaaKht majhool hai. agar kaheeN is ko Saaf bayaan kar deteeN to baat mu,accar ho saktee th`ee. maujoodah Soorat meN Sirf miSro'N kaa rabt^ ma'nee-aafreenee ke liYe kaafee naheeN hai. yooN aap maalkiah haiN! :-)
==================
[dekhen is baar du'aaoN meiN asar hai kitnaa
dekheiN barsaati hai woh raHmat-e-yazdaaN kyaa kyaa

:dua'a,oN: ke saath` :barsaatee hai: kee bajaaYe :barsaatee haiN: honaa chaahiYe. she'r waise bh`ee naz^ar-e-caanee kaa t^aalib hai.

yahan 'barsaati' ko aap 'raHmat-e-yazdaaN' ke saath dekheiN...'du'aaoN' ke saath.]

aap ke miSre' kee bunat (construct) aisee hai keh jo mat^lab maiN ne liyaa hai wohee is se nikal saktaa hai. aap kee taujeeH durust naheeN hai. Ghaur kar leN.

Sarwar A. Raz "Sarwar"
Mohtaram Sarwar sahab..Aap ke jawaab ka ek dafaa phir shukriya....chaliye main mazeed ghaur karti hoon misron pe....duaa kijiye koi behtar soorat nikal aaye :)

mamnoon,
shumaila
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Post by munir-armaan-nasimi »

Dear Shummu,

Behad pyari ghazal hai...bilkul aap ki tarah. Sarwar saheb ki islaah bhi bahut khoob hai... ghazal aur sanwar gayi hai. Khuda kare aap hamein aur bhi achchi achchi ghazal se nawazti rahein. Aamen!

Dher saari nek khwahisat ke saath,

Armaan
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

munir-armaan-nasimi wrote:Dear Shummu,

Behad pyari ghazal hai...bilkul aap ki tarah. Sarwar saheb ki islaah bhi bahut khoob hai... ghazal aur sanwar gayi hai. Khuda kare aap hamein aur bhi achchi achchi ghazal se nawazti rahein. Aamen!

Dher saari nek khwahisat ke saath,

Armaan


nawaazish Armaan jee.... aapne to kuch zyaada hi taareef kar di :oops: ummeed hai aayenda bhi hausla afzaayi farmate rahenge mujh naacheez ki :-)

duaoon mein yaad rakhiyega,
shumaila
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob

Post by Abdullah Nazir »



Azeezah SHUMMU

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal paRhkar bahut khushi houi ke din badin aapke kalaam meiN taraqqi hourahi hei. Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye aur fikr-e-sukhan ko isi TaraH se jaari rakhiye.

Is ghazal per maiN apnaa tafSeeli tabSirah tayyar karke bhejne waalaa hi thaa ke MuHtarami Sarwar SaaHib wahaaN mujh se bhi ziyaadah tafSeel se apni qeemati aaraa kaa izhaar karchuke thay.

Ab yehi kuch rehgayaa hei ke maiN aapki kaavishaoN kii qadr karte houe is baat kaa yaqeen dilaauN ke aapki meHnat raayigaaN nah jaayegi.


Aapkaa MukhliS,
Nazir.

Image
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Post by Mahtab Qadr »

Shummu sahiba salaam e masnoon
Aapki ye khoobsurat ghazal parhi , aur daad o tahseen ke phool peshkarta hoN , asaatiza ke raye ke baad mai koi aur mazeed tabsire ki zaroorat nahi samjhta islye , bahut mubarak.ghazal bahut achi hai
Mahtab Qadr
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Re: Bahut khoob

Post by Shummu »

WEBMASTER wrote:

Azeezah SHUMMU

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal paRhkar bahut khushi houi ke din badin aapke kalaam meiN taraqqi hourahi hei. Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye aur fikr-e-sukhan ko isi TaraH se jaari rakhiye.

Is ghazal per maiN apnaa tafSeeli tabSirah tayyar karke bhejne waalaa hi thaa ke MuHtarami Sarwar SaaHib wahaaN mujh se bhi ziyaadah tafSeel se apni qeemati aaraa kaa izhaar karchuke thay.

Ab yehi kuch rehgayaa hei ke maiN aapki kaavishaoN kii qadr karte houe is baat kaa yaqeen dilaauN ke aapki meHnat raayigaaN nah jaayegi.


Aapkaa MukhliS,
Nazir.

Adaab Mohtaram Abdullah nazir sahab!

Yaqeen maanein apni kaavishon pe baDi besabri se aap ke comments ka intizaar rehta hai kyonki aap jaise asaatiza jab do line bhi likh jaate hain to bahut bahut khushi hoti hai aur bahut himmat afzaayi hoti hai aur mazeed behtar se behtar likhne ka hausla milta hai.... aap ne jis tarah shafqat se daad di hai dekhkar bahut bahut achcha laga..shukriya tah-e-dil se ...aap logon ka saath aise hi bana raha to inshaAllah main bhi behtar se behtar likh paaongi.... :-)

talib-e-dua,
shumaila
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

Mahtab Qadr wrote:Shummu sahiba salaam e masnoon
Aapki ye khoobsurat ghazal parhi , aur daad o tahseen ke phool peshkarta hoN , asaatiza ke raye ke baad mai koi aur mazeed tabsire ki zaroorat nahi samjhta islye , bahut mubarak.ghazal bahut achi hai
Mahtab Qadr
Wss Mahtab sahab...der aayad durust aayad warna hum to samjhe the ke shayad aap ko ghazal pasand nahi aayi... bahut shukriya behad masroofiyat ke bawaajood aane ka aur daad se nawaazne ka :grin:

ummeed hai aayenda bhi yuhin nazar-e-karam farmaate rahenge..!

shukriya!

shumaila
Post Reply