sunaa hai arbaab-e-a'ql-o-daanish!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

sunaa hai arbaab-e-a'ql-o-daanish!

Post by Sarwar A. Raz »

yaaraan-e-meHfil: aadaab-o-tasleemaat!

aaj dauraan-e-qiyaam-e-Hindustan kee kahee gayee doosree :sufferee: Ghazal pesh kar rahaa hooN. yeh ek t^araHee Ghazal hai. ummeed hai keh apnee raaYe se mujh` ko surKhroo farmaaYeN ge. shukriyah!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

========================
GHAZAL

sunaa hai arbaab-e-a'ql-o-daanish hameN yooN daad-e-kamaal deN ge
"junooN ke daaman se ph`ool chun kar Khirad ke daaman meN Daal deN ge!"

Zaraa bataaYeN keh aap kab tak fareb-e-Husn-o-jamaal deN ge
sukooN ke badleh meN tuHfah-e-Gham, qaraar le ke malaal deN ge?

ham apne dil se Khayaal-e-dair-o-Haram ko aise nikaal deN ge
tamaam ajzaa-e-kufr-o-eemaaN bas ek sajdeh meN Dh`aal deN ge!

jinheN tameez-e-wafaa naheeN hai, jinheN sha,o'or-e-junooN naheeN hai
bh`alaa woh kis t^araH raah-e-Gham meN Hisaab-e-hijr-o-wiSaal deN ge?

zabaaN kee raNgeeN-nawaa,iyoN se, bayaaN kee jalwah-t^araaziyoN se
nigaar-e-Urdu ko har gh`aRee ham Khiraaj-e-fikr-o-Khayaal deN ge!

tumheN hai kyoN ashk-e-Gham peh Hairat, yehee to hotaa hai a'ashiqee meN
sawaal agar dil-figaar ho gaa, jawaab bh`ee Hasb-e-Haal deN ge!

Khumaar-e-baadah, Khiraam-e-aahoo, nigaah-e-nargis, nawaa-e-bulbul
kisee ne in kaa patah jo pooch`aa to ham tumhaaree micaal deN ge!

woh ek lamHah dam-e-judaayee jo zeest kaa e'tibaar Th`ehraa
us ek lamHeh ne jo diyaa hai kahaaN yeh sab maah-o-saal deN ge?

nah in kee baatoN meN aanaa "Sarwar"! yeh ahl-e-dunyaa haiN fitnah-parwar
hazaar baateN banaa banaa kar tumheN yeh dam bh`ar meN Taal deN ge!
------------------------------
Sarwar A. Raz "Sarwar"
Attachments
gg-sunaahaiarbaab.gif
gg-sunaahaiarbaab.gif (20.28 KiB) Viewed 193 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

kyaa kehne,

Post by Abdullah Nazir »

MuHtarami
Sarwar A. Raz. :Sarwar: SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki mandarja-e-zeil ghazal paRhkar bahut khushi houi. Saare ashAar bahut hi dilkash heiN. Khaaksaar ki dili daad aur mubaarakbaa qubool farmaayiye aur yuN hi seekhne kaa mauqaA faraham karte rehiye.

sunaa hai arbaab-e-a'ql-o-daanish hameN yooN daad-e-kamaal deN ge
"junooN ke daaman se ph`ool chun kar Khirad ke daaman meN Daal deN ge!"

Zaraa bataaYeN keh aap kab tak fareb-e-Husn-o-jamaal deN ge
sukooN ke badleh meN tuHfah-e-Gham, qaraar le ke malaal deN ge?

ham apne dil se Khayaal-e-dair-o-Haram ko aise nikaal deN ge
tamaam ajzaa-e-kufr-o-eemaaN bas ek sajdeh meN Dh`aal deN ge!

jinheN tameez-e-wafaa naheeN hai, jinheN sha,o'or-e-junooN naheeN hai
bh`alaa woh kis t^araH raah-e-Gham meN Hisaab-e-hijr-o-wiSaal deN ge?

zabaaN kee raNgeeN-nawaa,iyoN se, bayaaN kee jalwah-t^araaziyoN se
nigaar-e-Urdu ko har gh`aRee ham Khiraaj-e-fikr-o-Khayaal deN ge!

tumheN hai kyoN ashk-e-Gham peh Hairat, yehee to hotaa hai a'ashiqee meN
sawaal agar dil-figaar ho gaa, jawaab bh`ee Hasb-e-Haal deN ge!

Khumaar-e-baadah, Khiraam-e-aahoo, nigaah-e-nargis, nawaa-e-bulbul
kisee ne in kaa patah jo pooch`aa to ham tumhaaree micaal deN ge!

woh ek lamHah dam-e-judaayee jo zeest kaa e'tibaar Th`ehraa
us ek lamHeh ne jo diyaa hai kahaaN yeh sab maah-o-saal deN ge?

nah in kee baatoN meN aanaa "Sarwar"! yeh ahl-e-dunyaa haiN fitnah-parwar
hazaar baateN banaa banaa kar tumheN yeh dam bh`ar meN Taal deN ge!

Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Post by yasir shah »

yaaraan-e-meHfil: aadaab-o-tasleemaat!

aaj dauraan-e-qiyaam-e-Hindustan kee kahee gayee doosree :sufferee: Ghazal pesh kar rahaa hooN. yeh ek t^araHee Ghazal hai. ummeed hai keh apnee raaYe se mujh` ko surKhroo farmaaYeN ge. shukriyah!

muHtaram janaab
Sarwar SaaHib

assalamOlaikuM !

aik 'aam qaaree ki Haiciyat se meN ne aap ki Ghazal paRh kar jo meHsoos kiyaa woh yahaaN darj kartaa hooN--

sunaa hai arbaab-e-a'ql-o-daanish hameN yooN daad-e-kamaal deN ge
"junooN ke daaman se ph`ool chun kar Khirad ke daaman meN Daal deN ge!"

bahut khoob ! tanqeednigaar bhi is she'r ki zad meN heN-

Zaraa bataaYeN keh aap kab tak fareb-e-Husn-o-jamaal deN ge
sukooN ke badleh meN tuHfah-e-Gham, qaraar le ke malaal deN ge?

doosre miSre' meN tasalsul TooTtaa diKhaa.ee detaa hay ,,

ham apne dil se Khayaal-e-dair-o-Haram ko aise nikaal deN ge
tamaam ajzaa-e-kufr-o-eemaaN bas ek sajdeh meN Dh`aal deN ge!

jinheN tameez-e-wafaa naheeN hai, jinheN sha,o'or-e-junooN naheeN hai
bh`alaa woh kis t^araH raah-e-Gham meN Hisaab-e-hijr-o-wiSaal deN ge?

waah kyaa khoob kahaa hay ,,

zabaaN kee raNgeeN-nawaa,iyoN se, bayaaN kee jalwah-t^araaziyoN se
nigaar-e-Urdu ko har gh`aRee ham Khiraaj-e-fikr-o-Khayaal deN ge!

balaa kaa taGhazzul hay is she'r meN ,,bahut khoob

tumheN hai kyoN ashk-e-Gham peh Hairat, yehee to hotaa hai a'ashiqee meN
sawaal agar dil-figaar ho gaa, jawaab bh`ee Hasb-e-Haal deN ge!

dilkash

Khumaar-e-baadah, Khiraam-e-aahoo, nigaah-e-nargis, nawaa-e-bulbul
kisee ne in kaa patah jo pooch`aa to ham tumhaaree micaal deN ge!

yahaaN bhi alfaaz ki Sannaaee bahut u'mdah hay--laiken patah pooChne par micaal denaa jach naheeN rahaa ,, agar koi pyaasaa daryaa kaa patah pooChe to kyaa saraab ki micaal dee jaa saktee hay ? -

woh ek lamHah dam-e-judaayee jo zeest kaa e'tibaar Th`ehraa
us ek lamHeh ne jo diyaa hai kahaaN yeh sab maah-o-saal deN ge?

waah! bahut khoob !

nah in kee baatoN meN aanaa "Sarwar"! yeh ahl-e-dunyaa haiN fitnah-parwar
hazaar baateN banaa banaa kar tumheN yeh dam bh`ar meN Taal deN ge!

bahut u'mdah

muHtaram !
itnee taweel baHr meN is khoobSoortee se dilkash alfaaz kaa isti'maal yaqeenan bahut kaThin hay jo keh aap kaa khaaSah hay -

khush rahye,

aap kaa naafarmaan
shaagird
yasir
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

Sarwar A. Raz wrote:
sunaa hai arbaab-e-a'ql-o-daanish hameN yooN daad-e-kamaal deN ge
"junooN ke daaman se ph`ool chun kar Khirad ke daaman meN Daal deN ge!"
WAH WAH WAHHHHHHH kya zabardast giraah lagayi hai..bahut haseen matla hai..mazaa aa gaya paRhke :)

zabaaN kee raNgeeN-nawaa,iyoN se, bayaaN kee jalwah-t^araaziyoN se
nigaar-e-Urdu ko har gh`aRee ham Khiraaj-e-fikr-o-Khayaal deN ge!
bahut khoob aur aap waqaii ye hi to karte aa rahe hain :D
tumheN hai kyoN ashk-e-Gham peh Hairat, yehee to hotaa hai a'ashiqee meN
sawaal agar dil-figaar ho gaa, jawaab bh`ee Hasb-e-Haal deN ge!
wah waaaaaaaaaah kya sawaal hai aur kya jawaab hai..bahut khoob..hasb-e-haal ki kya baat hai.... 8)
Khumaar-e-baadah, Khiraam-e-aahoo, nigaah-e-nargis, nawaa-e-bulbul
kisee ne in kaa patah jo pooch`aa to ham tumhaaree micaal deN ge!
bahut khoooooooooooooooooob :)
woh ek lamHah dam-e-judaayee jo zeest kaa e'tibaar Th`ehraa
us ek lamHeh ne jo diyaa hai kahaaN yeh sab maah-o-saal deN ge?
ljawaab!
nah in kee baatoN meN aanaa "Sarwar"! yeh ahl-e-dunyaa haiN fitnah-parwar
hazaar baateN banaa banaa kar tumheN yeh dam bh`ar meN Taal deN ge!
maqta bhi khoob hai..!

bade din baad is qadar khoobsurat kalaam paRhne ko mila hai..dil khush ho gaya...meri jaanib se dheron dili daad pesh hai Mohtaram Sarwar raz sahab :)

Shumaila
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

mukarramee Nazir SaaHeb: tasleemaat!

Ghazal dekh`ne aur itne achh`e alfaaz se yaad karne ke liYe maiN shukr-guZaar to hooN lekin yeh ek lafz^ :shukriyah: kuch` is qadar gh`is-piT gayaa hai keh naYe alfaaz^ kee Z^aroorat meHsoos hotee hai! Khair, filHaal :shukriyah: hee qubool keejiYe.

aap se ek guzaarish hai keh naYe likh`ne waaloN ko ta'meeree tanqeed aur mashwareh kee saKht Z^aroorat hai aur har meHfil meN hai. agar aap kuch` waqt nikaal kar yeh kaam yahaaN kareN to waqt kee ek aham Z^aoorat pooree ho jaaYe gee. net par tajribehkaar aSHaab kee bohat kamee hai. is liYe yeh kaam bohat kam ho rahaa hai. ummeed hai keh aap is par socheN ge. shukriyah!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

muHibbee Yasir SaaHeb: aadaab!

Khat aur daad ke liYe mamnoon hooN. aap kee raaYe kee mere dil meN bohat qadr hai. ummeed hai keh isee t^araH nawaazte raheN ga.

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

a'zeezah Shumaila: salaam!

itnee achh`ee t^araH yaad karne aur daad-o-sitaayish ke liYe maiN mamnoon bh`ee hooN aur du,a'ago bh`ee! inshaa-Allah aap se niyaaz HaaSil hotaa rahe gaa.