TARAHI GHAZAL - -- - (GUZ.15) by: ABDULLAH NAZIR.

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

TARAHI GHAZAL - -- - (GUZ.15) by: ABDULLAH NAZIR.

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-MeHfil o aHbaab-e-sukhan

PurkhulooS tasleemaat, :rose

Guzarish 15 ke miSreA per apni TaraHi ghazal pesh karrahaa hooN is ummeed se keh shaayad aapko is meiN se kuch ashAar pasand aayenge. Aapki giraaNqadr aaraa ka intezaar rahegaa:

GHAZAL roman meiN:

agarcheh Aahd-e-mulaaqaat ko zamaanah houaa
tumhaare hijr meiN kyaa kuch nah beeti kyaa na houaa

dil-e-HazeeN meiN kasak rehgayi muHabbat kii
yeh aur baat ke izhaar-e-mudduAa nah houaa

taras gayaa maiN tiri aek junbish-e-lab ko
qaraar dene koii lafz bhi adaa nah houaa

Othaa sakaa nah koii zindagi kaa boujh magar
Sanbhaalne ko ose Sirf meraa shaanah houaa

Mazaaq ban gayiN pesheen-goiyaaN teri
Jo hounaa thaa wo houaa lekin tiraa kahaa nah houaa
Note: Mandaarja-e-baalaa sheAr ke doosre miSreA mein lafz "wo" ziyaadah type hougayaa thaa jiski nishandehi MuHtarami o Azeezi Jawaid Badaauni SaaHib ne farmaayi. Asl miSraA yooN hei:
Jo hounaa thaa houaa lekin tiraa kahaa nah houaa



Her aek khaufzadh thaa magar taAajjub hei
Halaak-e-barq o sharar mera aashiyaanah houaa

Isi ko HaaSil-e-umr-e-ravaaN samajhtaa hooN
Miri jabeen houi teraa aastaanah houaa

bhaNvar se bach ke chali aayi naao SaaHil per
Azaab-e-qahr-e-talaaTum tou ik bahaanah houaa

Hazaar dard o alam thay magar ghaneemat hei
Keh meraa dil kabhi afsurda-e-duAaa nah houaa

Nah pooch khaanah badoushaoN ki bood o baash kabhi
jahaaN thaher gaye onkaa vaheeN Thikaanah houaa

rafeeq-e-raah banaataa maiN aur kis kis ko
tire siwaaye koii jabkeh doosraa nah houaa

khadang-e-naaz tira kab nahiN chubhaa dil meiN
nigaah-e-yaar ! khaTaa kab tiraa nishaanah houaa

mileN wo mujh se tou shayad nah onko pehchaanooN
houaa jo onse taAaruf tou ghaayhibaanah houaa

wafaa shiAari peh kehti hei bewafaa mujhko
yeh kis balaa se khudaa jaane doustaanah houaa

MaiN jisqadar houaa aamaadah luTf per Nazir
Sulook aur bhi kuch uskaa jaariHaanah houaa
=======


Aapka MukhliS,
Nazir.

Attachments
a_na_15ub_f.JPG
a_na_15ub_f.JPG (169.6 KiB) Viewed 566 times
Last edited by Abdullah Nazir on Fri Mar 17, 2006 2:42 am, edited 2 times in total.
Image
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »


Mohtarmee Abdullah Nazir SaHab
Aadaab qubool farmaaiye

Aapki tarahee Gazal nazar nawaaz hoii. Aap ne is qadar mukammal.o.moorassah Gazal kahi hai keh paRhkar dil Khoosh
ho gaya aur bohat kuch seekhne ka mauqa mila. Tamaam ashAAr laajawab haiN aur KhaliS Gazal ke rung meN haiN. Mukammal Gazal
se aap ki kohna mashqee zahir hai. Meri janib se daad.o.tahseen qubool farmaaiyega.

Mundarjazel miSray meN roman meN shayad "wo" lafz ziyadah type hogaya hai jo miSray ko bewazn banaa rahaa hai, isey "edit" se thik kar deejiyega.

Jo hounaa thaa wo houaa lekin tiraa khaa nah houaa

Khiar Andesh,

Jawaid Badauni
Muscat - Oman
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

aadaab

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

mukarram-o-moHtaram Janab Abdullah Nazir SaHeb.

aadaab a'rZ^ hai. :-)

aaj hi aap kee Ghazal bare'e mushae'rah 15 nigah se guzree.beHad pasand aai. ji khushee se jhoom geya. kiya kehne.

jigar muradaabadee kee sukhan shanasee ke barah meN mashhoor hai.
jesa keh mekash akbar aabadee bhi jigar SaHeb ke barah meN farmate haiN.keh aek bar kisi ne jigar SaHeb ko koi Ghazal sunaee. jo kisi rasale ke tazah shumare meN she'a' hoi thi.aor pucha keh bateiye keh Ghazal kis kee hai.jigar SaHeb ne kaha mukarrar sunao.jigar us waqt makhmoor they. unhooN ne Ghazal be tojihee se sunee thee.Ghazal dobarah sunane par jigar SaHeb ne aek minT taammal kiya aor kaha."WeHshat kalkatwee ki ho saktee hai"
mekash SaHeb likhte haiN keh wo Ghazal WeHshat hee kee thee.mekash SaHeb ke bayaan ke mut^abiq jigar SaHeb kaha karte the keh "koee she'er neya naheeN hai.maiN da'wa karta hooN. keh aap koee sa she'er sunaeeN. maiN us maZmoon ke she'er aap ko sunaooN ga."

ab agar aap kee tazah Ghazal ko jigar SaHeb ke da'we ki raoshnee meN dekha jae'e to jigar SaHeb ka da'wa khaam lagta hai.

jigar SaHeb ke da'wa ke bar a'ks aap kee Ghazal ka qareeb qareeb har she'er naee shooch aor fikr kee aamaaj gah lagta hai.aap ke haaN Hasrat aor dard ka jo mila jola imtazaaj hai.wo qaaree ko aap ke asha'aar se nah Sirf manoos karta hai.balkeh qaree meHsoos karta hai.keh yeh usee ke dil kee aawaaz hai.aor gah bah gah yeh gumaan bhee karne lagta hai. keh shayad wo khud hee in asha'aar ka khaliq bhee hai.aesa gumaan agarchah paRhne wale kee dakhlee sooch aor taGhiyur ka aae'nah dar bhee hai.aor us ke andar barpa hone wale zeer-o-bam ka bae'c bhee.
aor mere nazdeek har fit^ree shae'er jo apne kaam-o-hunar ke aa'tabaar se yad-e-t^ula rakhta ho.inhee aoSaaf ka malik ho ga.keh us ke she'er ko dekh kar yeh gumaan ho keh yeh to mere hi dil ki pukaar hai. ya maiN bhi to yahee kehna chahata tha.Ghalib ne issee maZmoon ko yooN bayaan kiya hai." dekhna taqreer kee lazzat keh jo us ne kaha..maiN ne yeh samjhah keh goya yeh bhi mere dil maiN hai."pas jis lazzat ka zikr Ghalib farmarahe haiN.ussee lazzat aor dilkashee ki janib mere isharah hai.... :-)

jesa keh rawayat rahee hai.keh shae'eree ke bunyadee moHarrikaat meN aek moHarrik aHsaas-e-meHrumee bhi hai.shae'er apne aHsaas-e-meHromee ko hi apni namuradee aor nakamee ka zimmah daar Tehrata hai.aap ke haaN bhee yahee rujhaan kaarfarma hai.macala" aap kehte haiN.dil-e-HazeeeN meiN kasak reh gayi muHabbat kii..yeh aur baat ke izhaar-e-mudduAa nah houaa.

maiN ne aap ka zeyadah kalaam naheeN dekha. lekin jo chand aek GhazleeN dekheeN haiN. un kee madad se aap ke kalam ke barah meN ya
aap kee shakhSiyat ke barah meN koi Hatmee rae'e dena abhee mere waste graaN hai.maiN aap ko yaqeeN dilata hooN keh maiN aap ke kalaam ko dekh rahaa hooN. aor inshAllah jald hi kisee natejah par pohonch kar aap ke kalaam par zeyadah a'rZ^ kar sakooN ga.


jahaaN tak is Ghazal kee dilkashee aor acar pazeree ka ta'luq hai.bilah shubah nihayat jandaar Ghazal hai yeh kahe baGhaer naheeN raha jasakta keh yeh Ghazal qaaree ke dil-o-dimaaGh meN nah Sirf halchal macha dene ka mojab hai.
balkeh maiN zatee t^aor par isse aapke yaganah-e-ruzgaar hone par ba waqt-e-Z^arurat shahadat ke t^aor par pesh kar sakta hooN.


ijazat dijiye.
aap ka khadim
muzaffar
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut bahut shukriyah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Muzaffar Ahmed Muzaffar SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat, :lol:

Aap ne meri ghazal paRhi aur pasand farmaayl jiske liye maiN aapkaa beHad shukrguzaar hooN.

Aapke tafSeeli tabSire se mustafeed houne kaa mauqaA milaa.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut Bahut shukriyah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramah
Saara SaaHibah,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapko meri ghazal pasand aayi aur aap ne karmfarmaayi kii ke tfSeeli tabSirah farmaayaa. MaiN aapkaa tah-e-dil se shukrguzaar hooN.

Ummeed hei ke aayindah bhi isi TaraH se meri HauSlah afzaayi farmati rahengi.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
Post Reply