Ahl-e-bazm
aadaab
apni adna si ghazal aap ki khidmat maiN pesh kar rahi hoN aap ki aaraa ka intizaar rahey ga
regards
zmufti
1. hina ka rang hathaili se to juda na houaa
Who meray saath raha per kabhi mirra na houaa
2. ghamoN ki qaid se mera yeh dil raha na houaa
“Tumhaare hijr meiN kyaa kuch na beeti kyaa nah houaa"
3. khizaaN naseeb rahey ham guloN ki rut maiN bhee
bahaar aayii per apna chaman hara na houaa
4. zamane bhar ki jafaaooN ke shikwey kar na sakey
tirri jafaa ka bhee ham se kabhi gila na houaa
5. hamieN yaqeeN thaa tumhaari tamam baatoN per
tumhara aik bhee waada magar wafa nah houaa
6. maiN jee hi leti tiri yaadaoN ke sahaare per
tirre baghair bhee jeenay ka hosla na houaa
7. nadamtoN ka to har aan meeNh barasta raha
shajar wafa ka jo sookha to phir hara na houaa
tarahi ghazal guz#15
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
tarahi ghazal guz#15
Last edited by zmufti on Sat Apr 01, 2006 3:34 pm, edited 2 times in total.
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob
MuHtaramah
Zmufti SaaHibah,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki TaraHi ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Mandarja-e-zeil sheAr be-beHr hougayaa hei:
6. main jee hi laiti tirri yaadoN ka sahara lekar
tirre baghair bhee jeenay ka hosla na houaa
Pahle miSreA ko yooN kardeejiye tou sheAr vazn eieiN aajaayegaa:
(maiN jee hi leti tiri yaadaoN ke sahaare per)
Aapka MukhliS,
Nazir.