aaiye, aaiye Amjad Saahib [Ibn-e-Siddiqui]...Khush-aamded!

Ham Istaqbal karte haiN aap apna taarruf karwaiN:)
Post Reply
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

aaiye, aaiye Amjad Saahib [Ibn-e-Siddiqui]...Khush-aamded!

Post by Hashmat Usmani »

janaab-e-Amjad saaHib,

assaalaam_o_'alaikum,


[h2][rainbow]Khush-aamded/Welcome/Shubh-aagaman[/h2][/rainbow]

ham aapke az_Had shukr_guzaar haiN ki aap is meHfil meN tashreef le aaye. yaqeen jaaniye aapko yahaN dekh kar be-Had masarrat huii hai. aapke aane se yaqeenan is maHfil meN ek adab kii fazaa qaa'im huii hai aur aapne is qadar raunaq baKhshii hai is maHfil ko.

ummeed hai ki aapkaa qeemtii waqt is maHfil meN achchha guzregaa aur hameN aapse kuchh seekhne ka mauq'a milega. ummeed hai ki aap jald se beshtar apne 'ilm o hunar ka jadoo jagaayeNge. ham pahle se hii masHoor baiTheN haiN is ummeed par.

tashreef aavorii ka ek baar phir teh-e-dil se shukria.
Image
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

arey wah at last AMJAD jee bhi tashreef le aaye...WaAllah baDi khushi hui aap ko yahan dekh kar....meri janaib se bahut bahut WELCOME....aate rahiyega! :) :)


Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

Assalam-o-a'laikum,

Zahe naSeeb , zahe naSeeb :D

is baar meHfil maiN aayaa to ik nayee khushgawaari ka iHsaas howa, rang-e-meHfil ko badla badla saa dekh kar pehle to maiN dadre Hairaan howa k aalkhir is tabdeeli ki wajaa kyaa hai, laekn jesey hi nazar aap k baa-barakat naam par paRee to wajah bhi samajh gayaa :D

Amjad bhai Bahut bahut khush aamadeed :D

umeed hai k aap ka waqt yahaaN khoob guzreyga :D


mokhliS : Zia Baloch
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

Assalam-o-a'laikum,

Zahe naSeeb , zahe naSeeb :D

is baar meHfil maiN aayaa to ik nayee khushgawaari ka iHsaas howa, rang-e-meHfil ko badla badla saa dekh kar pehle to maiN dadre Hairaan howa k aalkhir is tabdeeli ki wajaa kyaa hai, laekn jesey hi nazar aap k baa-barakat naam par paRee to wajah bhi samajh gayaa :D

Amjad bhai Bahut bahut khush aamadeed :D

umeed hai k aap ka waqt yahaaN khoob guzreyga :D


mokhliS : Zia Baloch
riaz ahmed saraa
-
-
Posts: 46
Joined: Thu Dec 16, 2004 8:13 am
Location: Lahore
Contact:

Post by riaz ahmed saraa »

Bismilah

Amjad bhai

aadaab

Asslalaam-O-AlaikuM aap sooch rahe honge k meiN ne aaj post ke shuru meiN Bismilah kiuN likha kiuNki ye meiN bhi kisi post meiN pehli baar likh rahaa huN woh is li'ae k is forum par ye meiN pehli post likh rahaa huN aur is kaa aagaaz aap hi se kar rahaa huN to meiN ne aagaaz meiN Bismilah likh dia abb inshaaAlhaah barkat rahe gi :D

haaN to jab meiN ne member ship le kar memberlist ko daikha to mujh se just uper aap the aur taareekH bhi wahi thi jis taareeH ko meiN register hu'a thaa to is forum meiN ham aik hi din warid hu'ae :D

yaqeen jaan'ae aap ko daikh ker itni khushi hu'ee k lafzooN meiN bayaan karna mushkil hai go k meiN aap ke ba'd aaya huN laikan phir bhi jee chaah rahaa hai k aap ko khush aamdeed meiN hi keh looN so aap ko dil ki gahraaioooN se kHush Aamdeed kehta huN

yaqeenan aap se raabita rahe gaa

hamaisha khush rahaiN

riaz
Ibn-e-siddique
-
-
Posts: 219
Joined: Thu Dec 16, 2004 4:12 am
Location: Doha Qatar
Contact:

Post by Ibn-e-siddique »

Hashmat saHib, aur deegar membraan-e-bazm:

maiN dil ki gehraaioN se aap sab ka mamnoon-o-mutashakkir hooN ke aap ne is taraH mera khair.maqdam kiya, aur mujh khush.aamdeed kahaa :)

aap sab ka bahot bahot shukria

inshallah ye bazm meiN zabaan-e-urdu ki khidmat karne meiN aham kirdaar adaa kare gi

Riaz bhai! aap ne aaghaaz-e-sukhan hameN khush.aamdeed kehne se kiya, is ke liye aap ka khusoosi shukria :D


umeed hai aap sab se yahaaN mulaaqaat hoti rahe gi :)

amjad
Mire ash'aar ae Iqbal kyuN pyaare na hoN mujhko
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

HAM SAB AMJAD SAAHIB KA ISTIQBAL KARTE HEIN

Post by Abdullah Nazir »

--------------------[h2][rainbow]Khush-aamded/Welcome/AMJAD SAAHIB[/h2][/rainbow]--------------------


Hamari khush naseebi hei ke bahut hi her-dil-azeez shayer aur purkhulos aur milansaar urdu adab se muhabbat karne fankaar is mehfil meiN tashreef laaye.

Amjad bhayi Saahib kaa maiN tah-e-dil se istiqbaal kartaa hooN aur ummeed kartaa hooN ke woh apni dilkash shaayeri, khoobsoorat nigaarishaat, aur aaraa giraaNqadr se is site kii raunaq baRhaane meiN hissah lenge.


Aapka Mukhlis,

Nazir.

khurram_shaikh
-
-
Posts: 136
Joined: Sun Dec 12, 2004 5:21 am

Post by khurram_shaikh »

Image

Amjad bhai Image
Post Reply