aek maAmooli si taazah ghazal - -- - Abdullah Nazir

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

aek maAmooli si taazah ghazal - -- - Abdullah Nazir

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramaat o MuHtarameen
arbaab-e-MeHfil aur aHbaab-e-sukhan,

PurkhulooS Tasleemaat, :rose

Aek maAmooli si taazah ghazal lekar Haazir houaa hooN.

Ummeed ke is ke baAZ ashaar aapko pasand aayenge.

GHAZAL roman meiN:

Haseen chaand saa chehrah, khumaar aankhaoN meiN
KahaaN se aaye ho be-ikhtiyaar aankhaoN meiN

Nah wo chaman hei nah rang-e-bahaar aankhaoN meiN
Rahaa nah luTf-e-nazar ashkbaar aankhaoN meiN

Balaa se waAdah tujhe apnaa yaad hou ke nah hou
Umeed qalb meiN hei, intezaar aankhaoN meiN

Sazaay-e-waAdah khilaafi mili hei jo tujhko
MaiN paRhrahaa hooN tiri sharmsaar aankhaoN meiN

Kabhi tou mujhko bhi taAbeer unki samjhaa'o
Jou khwaab tum ne bune be-qaraar aankhaoN meiN

Cuboot-e-Hasrat-e-izhaar-e-Haal-e-dil keliye
Sajaaye baiThaa hooN taSveer-e-yaar aankhaoN meiN

BaRhe qadam tou ruke bus pahonch ke manzil per
hawaayeN phoonk rahi theeN ghubaar aankhaoN meiN

Ye kis ne touRdiyaa dil tumhaara ai Nazir
umaDte ashk heiN kiyuN baar baar aankhaoN meiN
=======


Aapka MukhliS,
Nazir,

Attachments
a_b_c_d.JPG
a_b_c_d.JPG (109.6 KiB) Viewed 655 times
Image
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

Balaa se waAdah tujhe apnaa yaad hou ke nah hou
Umeed qalb meiN hei, intezaar aankhaoN meiN

Kabhi tou mujhko bhi taAbeer unki samjhaa'o
Jou khwaab tum ne bune be-qaraar aankhaoN meiN
Mohtaram Abdullah Nazir saheb
Tasleemaat
aap ki taaza ghazal buhat pasand aayii
Darj karda asha'ar k liye khasosi daad qabool kijye
wasalaam
zmufti
Daanish
-
-
Posts: 448
Joined: Sun Feb 05, 2006 2:02 pm
Location: jahaan-e-kharaab
Contact:

Post by Daanish »

Mohtaram Nazir Saheb
aadaab-o-tasleemaat
waah!waah! kya kehne.
aap ki ghazal bohat pasand aayi.kya aahang hai--har shayr rawaaN hai!
meri jaanib se dili daad-o-mubarakbaad qubool farmaiye.
khaaksaar
Daanish
rau meiN hai raksh-e-umr kahaN dekhiye thhame
nay haath baag par hai na paa hai rikaab meiN--Ghalib
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

aap kee Ghazal.

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

mere moHtaram janab Abdullah Nazir SaHeb.
aadaab.

Aap kee tazah Ghazal radeef "aaNkhooN meN" dekhee. Huzoor kiya kehne.
yaqeen kijiye aap ne maZee ke tamaam bastah hae'e yaddasht khol diye.
aor itna meHv huwa ke aek aadh ghanTa to madhoshee ka guzra. aor jab khuch hoosh aya.to pata laga keh maiN ne bhee isee qafiya aor beHer maiN Ghazal keh dee hai..........gao keh us beHer meN to naheeN hai lekin qafia aor radeef wohee haiN. aap kee Ghazal par tabSarah karne se behtar yeh samajhta hooN keh Ghazal jo aap hee kee Ghazal kee ta'eed meN hoi hai.aap hee ke naam kar dooN. ummeed hai pasand farmaeeN ge....aor apnee raee se bhi agah kar deN ge. :-)

to Ghazal aap ke naam karta hooN. qubool kijiye.


tark kar dee hai mekashee lekin

reh geya hai khumaar aaNkhooN meN.


ho gae zakhm-e-dil hare jab se

saj geya lalah zaar aaNkhooN meN


meree ma'Soom chahatooN ka Sanam

jal raha hai diyar aaNkhooN meN.


goshware meN darj rehta hai

ya'nee Gham ka shumar aaNkhooN meN.


to bhi tanha hai bazm-e-hstee meN

jese meree pukaar aaNkhooN meN.


chupta jata hai chand naz^rooN se

uTh rahee hai dewaar aaNkhooN meN.


me se khuch eesa rabt^ hai mera me=sharab

uRh ke aae khumaar aaNkhooN meN.


aor sab khuch hai chash-e-a'ashiq meN

nah basee to bahaar aaNkhooN meN.


DhonDna hai agar khuda tune?

aage baRh kar pukaar aaNkhooN meN.


wohee zinda hai bazm-e-hastee meN

le ke utra jo peyaar aaNkhooN meN.


jab se kee aarzu-e-gul maiN ne

chubta rehta hai khaar aaNkhooN meN.


khushtah-e-chashm-e-naaz hooN lekin

DhonDta hooN qaraar aaNkhooN meN.


aor khuch sojhta naheeN mujh ko

jena marna hai yaar aaNkhooN meN.


dekh kar tang seenah-e-SeHra

kho gae Ghamgusaar aaNkhooN meN.


raz-e-dil hai a'yaaN nigahooN se

jhaank parwardigaar aaNkhooN meN.


aaee jab shaam-e-zindagee sar peh

so gae khaaksar aaNkhooN meN.


jan dene kee jab paRee Hajat

kho gae jaaN nisaar aaNkhooN meN


kitna gehra hai beHr-e-ashq-e-HazeeN

tu to utra hai yar aaNkhooN meN.


kis ne phoNkee haiN bastiyaaN meree phoNkna=jalana=aag lagana

sher haiN sogawaar aaNkhooN meN.


qafila koee dil se guzra hai

chha raha hai Ghubaar aaNkhooN meN.


nam aaya tha lab peh majnooN ka

bich geya reegzaar aaNkhooN meN. ( regzaar=regestan)


tazkare kijiye muzaffar ke

kho geya badh khuwaar aaNkhooN meN.


muzaffar aHmad muzaffar.
Last edited by Muzaffar Ahmad Muzaffar on Thu Apr 06, 2006 4:02 pm, edited 1 time in total.
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

shukriyah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Muzaffar Ahmed Muzaffar SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapke tabSireh ke liye beHad shukrguzaar hooN aur aapke ashAar ke liye bhi.

MaiN aapki ghazal per tabSirah karne waalaa hi thaa ke aamad shurooA hougayi aur filbadeeh ashAar houte gaye jo aapke ashAar ke saath yahaaN pesh karrahaa hooN.


to Ghazal aap ke naam karta hooN. qubool kijiye.

tark kar dee hai mekashee lekin
reh geya hai khumaar aaNkhooN meN.
dekhtaa kyaa hei yaar aankhaoN meiN
raat kaa hei khumaar aankhaoN meiN

ho gae zakhm-e-dil hare jab se
saj geya lalah zaar aaNkhooN meN
mujh se mat pooch meri tishnah labi
dekh le ashkbaar aankhaoN meiN

meree ma'Soom chahatooN ka Sanam
jal raha hai diyar aaNkhooN meN.
rouz gulgasht tere saath nahiN
phool heiN jaise khaar aankhaoN meiN

goshware meN darj rehta hai
ya'nee Gham ka shumar aaNkhooN meN.
neend aaye tou kis TaraH aaye
ranj heiN be-shumaar aankhaoN meiN

to bhi tanha hai bazm-e-hstee meN
jese meree pukaar aaNkhooN meN.
tuu ne kyaa gun chupaake rakhkhe heiN
pur-kashish pur-waqaar aankhaoN meiN

chupta jata hai chand naz^rooN se
uTh rahee hai dewaar aaNkhooN meN.
ab nahiN intezaar ki Taaqat
aao be-ikhtiyaar aankhaoN meiN

me se khuch eesa rabt^ hai mera
uRh ke aae khumaar aaNkhooN meN.
Lazzat-e-deed-e-yaar mat poocho
chaRhgayaa hei khumaar aankhaoN meiN

aor sab khuch hai chash-e-a'ashiq meN
nah basee to bahaar aaNkhooN meN.
Waqt-e-rukhSat jo tujhko dekh liyaa
Phir nah aayi bahaar aankhaN meiN

DhonDna hai agar khuda tune?
aage baRh kar pukaar aaNkhooN meN.
beet jaayenge tere aane tak
Kitne lail o nahaar aankhaoN meiN

wohee zinda hai bazm-e-hastee meN
le ke utra jo peyaar aaNkhooN meN.
dekhkar aashiyaanah jaltaa houaa
kiuN nah chamkeN sharaar aankhaoN meiN

jab se kee aarzu-e-gul maiN ne
chubta rehta hai khaar aaNkhooN meN.
fasl-e-gul kaa kahaaN Thikaanah hei
phool bhi ab heiN khaar aankahoN meiN

khushtah-e-chashm-e-naaz hooN lekin
DhonDta hooN qaraar aaNkhooN meN.
Ashk-e-khooN khud-bakhud umaD aaye
Aagayaa dil kaa baar aankhaoN meiN

aor khuch sojhta naheeN mujh ko
jena marna hai yaar aaNkhooN meN.
gardish-e-dasht-e-gham ne paidaa ki
Hasrat-e-deed-e-yaar aankhaoN meiN

dekh kar tang seenah-e-SeHra
kho gae Ghamgusaar aaNkhooN meN.
thii kisi se nah koii aas mujhe
Thay bahut ghamgusaar aankhaoN meiN

raz-e-dil hai a'yaaN nigahooN se
jhaank parwardigaar aaNkhooN meN.
iAtibaar-e-wafaa jo uTh jaaye
Noor houtaa hei naar aankaoN meiN

jan dene kee jab paRee Hajat
kho gae jaaN nisaar aaNkhooN meN
leke phirte heiN khoon-e-dil apnaa
kitne hi jaaN-nicaar aankhaoN meiN

kitna gehra hai beHr-e-ashq-e-HazeeN
tu to utra hai yar aaNkhooN meN.
yeh bhi kyaa shewa-e-muHabbat hei
dil meiN ghuSSah hei pyaar aankhaoN meiN

kis ne phoNkee haiN bastiyaaN meri
sher haiN sogawaar aaNkhooN meN.
kyaa mire ishq kaa janaazah hei
jaan-e-jaaN sougwaar aankhaoN meiN

qafila koee dil se guzra hai
chha raha hai Ghubaar aaNkhooN meN.
dasht gardi meiN kyaa milaa ham ko
gard sar per ghubaar aankhaoN meiN

nam aaya tha lab peh majnooN ka
bich geya reegzaar aaNkhooN meN.
saath kyaa tum ne meraa chouRdiaa
hei chaman, reigzaar aankhaoN meiN

tazkare kijiye muzaffar ke
kho geya badh khuwaar aaNkhooN meN.
Apne Nazir ko us ne DhoonD liyaa
Dekhkar maigusaar aankhaoN meiN


Filwaqt mere in filbadeeh ashAar ko aap meraa hadya-e-khulooS samajh leejiye.

Aapke ashAar per phir kabhi likhkhungaa.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
Zainab
nau-waarid
Posts: 3
Joined: Sat Mar 04, 2006 5:47 pm
Location: canada
Contact:

Post by Zainab »

mohtaram janab nazir saab;aadaab;

ghazal mujko pasand aayi dheron daad qubool farmaayeeye;


nayazmand,
zainab
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

mere moHtaram janab Abdullah Nazir SaHeb.

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

mere moHtaram Abdullah Nazir SaHeb.
tasleem a'rZ^ hai.

waah HuZ^oor kiya kehne aaj to muHabbat aor khulooS kee aek aesee micaakl qae'm ho gaee hai. keh kam az kam net kee duniya meN is kee
micaal talaash karna na Sirf sa'ee-e-laHaSil ho gee balkeh is kawish ko andhere meN sooee DhonDne se ta'beer kiya jae'e ga.

awwal aap kee Ghazal laRee par lagee faqeer dekhte hee be khud huwa...
aor chand fil badeeh ashaa'ar mujh se ho gae. azaaN ba'd aap ne faqeer kee Ghazal dekhee aor utne hee she'er filbadeeh aap se ho gae. ta'jjub to apnee jagah hai lekin ise ittefaaq bhee naheeN kaha ja sakta......ise koee nam to dena hee ho ga.....maiN to ise aap kee shafqat aor khulooS hee ka naam dooN ga.

aor agar yeh naheeN to phir aor kiya naam diya ja sakta hai. keh aap ne muHabbat ka badalah shafqat aor e'nayat kee Surat meN aesa yadgaar bana diya keh ab ise nah bhulaya ja sake ga. :-)

inshaAllah agar zindagee ne sath diya aor apna majmoa'h shae'a' karwa saka to is HaseeN aor Herat angeez waqea'h ka zike jalee Haroof se karooN ga. :-)

aor z^aheree t^aor par to ham juda haiN lekin aap kee takhleeq ne hameeN jesa keh Ghazal ke ashaa'ar se bhee z^ahir hai. baham akhaTTah kar diya hai. aor jis t^araH yeh Ghazal ke asha'ar apas meN sheer-o-sharar ho gae haiN. isee t^araH ham ruHaanee toar par bhi yak jaan do qalib ho jaeeN.

baqaol maolana Halee.

baRa ji khush huwa Halee se mil kar

abhee khush loog ashshe haiN jahaaN meN.


wassalam
aap ka khadim
muzaffar.
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

mukarramee Nazir SaaHeb: aadaab!

aap kee Ghazal dekh`ee. bohat hee Khoob hai. is radeef aur is zameen ko nibh`aanaa aasaan naheeN hai. yeh aap kaa hee HiSSah th`aa! meree dilee daad qubool keejiYe.

sunaa th`aa keh naSeeb-e-dushmanaaN aap kee t^abee,a't naasaaz th`ee. ummeed hai keh aap ab SeHatyaab ho chuke hoN ge. Allah aap ko SeHatmand aur baKhair rakh`e.

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut bahut shukriyah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Sarwar A. Raz :Sarwar: SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Aapke mukhtaSar lekin bahut hi mufeed tabSireh ke liye beHad shukrguzaar hooN.

Aap ne bajaa farmaaya ke is ghazal ki radeef "aankhaoN meiN' ke saath qaafiyaoN ko nibhaanaa aasaan nahiN. BaharHaal maiN ne aek Had tak koushish ki hei.

TabeeAt ke baare meiN kyaa Arz karuN. Diabates houne kii vajah se agar dawaa lene meiN bhool houjaaye tou mushkil pesh aati hei. Baharhaal Allah kaa shukr hei aur aapki duAaoN ki Haajat bhi. Khush rehiyhe.

[/color=brown]
Aapka MukhliS,
Nazir.

[/color]
Image
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Post by Mahtab Qadr »

Mohatramee Abdullah bhai
salaam e masnoon
Aapki Ghazal phir aapki ghazal hai, har sher murassa aur musajja hai , riwayati husn aapki ghazal ka khaas andaaz aur anokhe mazameen behad pasand aaye. hazb e sheroN par khusoosi daad pesh e khidmat hai
shukria

Haseen chaand saa chehrah, khumaar aankhaoN meiN
KahaaN se aaye ho be-ikhtiyaar aankhaoN meiN


Balaa se waAdah tujhe apnaa yaad hou ke nah hou
Umeed qalb meiN hei, intezaar aankhaoN meiN

Sazaay-e-waAdah khilaafi mili hei jo tujhko
MaiN paRhrahaa hooN tiri sharmsaar aankhaoN meiN

Kabhi tou mujhko bhi taAbeer unki samjhaa'o
Jou khwaab tum ne bune be-qaraar aankhaoN meiN



BaRhe qadam tou ruke bus pahonch ke manzil per
hawaayeN phoonk rahi theeN ghubaar aankhaoN meiN

Ye kis ne touRdiyaa dil tumhaara ai Nazir
umaDte ashk heiN kiyuN baar baar aankhaoN meiN

Mahtab Qadr
Post Reply