:: Jaane lafzoN maiN chhupe hoNge khazaane kitne !! ::

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

:: Jaane lafzoN maiN chhupe hoNge khazaane kitne !! ::

Post by Star Mind »

moHtaramaat-o-moHtarameen-e-meHfil, aadaab ! :)

Apni aek taazah ghazal jo "Sauti Mushaai'ra" maiN paRhee thee, le kar Haazir-e-khidmat howaa hoN , is umeed k saath k asaatiza-e-kiraam ki raaye se bahut kuch seekhne ko meleyga aur deegar sukhan-nawaaz aHbaab ki raaye , khaak nisheeN k HoSle mazeed baRhaa degee!! ;) . shukriya.

:: Urdu Version ::

Image

:: Roman Version ::

1.
Jaane lafzoN maiN chhupe hoNge khazaane kitne
Aek hi baat k bante haiN fasaane kitne !! :roll:

2.
Sunte sunte hi kaheN u'mr na hojaaye tamaam! :roll:
Aate aate tumheN aaye haiN bahaane kitne !! :evil:

3.
Chashm-e-qaatil ! mire raqSeeda tabassum maiN nihaaN
Nazar aaye the tujhe phool suhaane kitne ?? 8)

4.
Aye rawaaN waqt ! agar maiN tire hamraah chaloN
Miree aaNkhoN maiN samaayeNge zamaane kitne?? :roll:

5.
Mire qaaSid ! tu zaraa pooch k aa kalyoN se
Waaqe'ee unko sunaaye haiN Sabaa ne kitne ?? :roll:

6.
Aah aye gulshan-e-jaanaaN tumhe ma'loom nahiN :evil:
Gaaye haiN dil ne judaaii maiN taraane kitne !! :cry: :cry:

7.
Raat bhar mere sitamgar ne gine haiN taarey !! :roll:
Zakhm , dil aur jigar par haiN sajaane kitne !! 8)

8.
Jaate jaate mujhe itnaa to bataade jaanaaN !!
ChaaheyeN tujh ko bhulaane maiN zamaane kitne ?? :cry: :evil:

9.
Basm-e-chashm-o-dil-e-bismil ki kahoN kyaa pyaare ? :roll:
Jaane kab raNg bhare , gul maiN, hawaa ne kitne !! 8)

aur ab maqta' shareef ;)

10.
ChaaNd taare bhi :Zia: k haiN shanaasaa kab se !! 8)
Hai khabar sab ko, magar koi na jaane kitne! :smt102

mokhliS : Zia Baloch 8)
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Re: :: Jaane lafzoN maiN chhupe hoNge khazaane kitne !! ::

Post by Raji »

Star Mind wrote:

Bradaram Zia Baloch SaaHib:

Aadaab-o-tasleemat,

aap kee yeh ghazal "Sauti Mushaai'ra" meN sunni thee bohat pasand aaya thaa. Uss kee daad paishkarnaa baaqi thee so iss waqt qubool keejiye :)

Bilashubaa bohat khoob takhleeq hai aap kee. har she'r per meree zati aaraa paish-e-khidmat hai zaroori naheiN ke jo baat meN likh rahi hooN voh saahee bhi ho kam-ilmi meN yeh bhi baRa azaab hota hai ke aasaan see baat mushkil se samajh aati hai. shayed ke aap agar inn kee wazahat kar daiN tu mujhe aasaan maloom hooN, khair


1.
Jaane lafzoN maiN chhupe hoNge khazaane kitne
Aek hi baat k bante haiN fasaane kitne !! :roll:

yeh she'r kuch uljah howa laga hai mujhe. pehla misrah aur dosrah misrah do alag baateN maloom ho rahi heN (shayed ke meree kam aglee kee wajah se aisa :? ...)


2.
Sunte sunte hi kaheN u'mr na hojaaye tamaam! :roll:
Aate aate tumheN aaye haiN bahaane kitne !! :evil:
wah wah bohat khoob

3.
Chashm-e-qaatil ! mire raqSeeda tabassum maiN nihaaN
Nazar aaye the tujhe phool suhaane kitne ?? 8)
Nice

4.
Aye rawaaN waqt ! agar maiN tire hamraah chaloN
Miree aaNkhoN maiN samaayeNge zamaane kitne?? :roll:
Nehiyaat dilkash she'r hai yeh daad qubool keejiye. :)


5.
Mire qaaSid ! tu zaraa pooch k aa kalyoN se
Waaqe'ee unko sunaaye haiN Sabaa ne kitne ?? :roll:
acha hai


6.
Aah aye gulshan-e-jaanaaN tumhe ma'loom nahiN :evil:
Gaaye haiN dil ne judaaii maiN taraane kitne !! :cry: :cry:
wah nice

7.
Raat bhar mere sitamgar ne gine haiN taarey !! :roll:
Zakhm , dil aur jigar par haiN sajaane kitne !! 8)
khayal acha hai lekin zabaan mujhe saaf maloom naheiN ho rahi :?

8.
Jaate jaate mujhe itnaa to bataade jaanaaN !!
ChaaheyeN tujh ko bhulaane maiN zamaane kitne ?? :cry: :evil:
so nice

9.
Basm-e-chashm-o-dil-e-bismil ki kahoN kyaa pyaare ? :roll:
Jaane kab raNg bhare , gul maiN, hawaa ne kitne !! 8)
nice

aur ab maqta' shareef ;)

10.
ChaaNd taare bhi :Zia: k haiN shanaasaa kab se !! 8)
Hai khabar sab ko, magar koi na jaane kitne! :smt102
so good

ek kamiyaab kalam kee takhleeq per meree janib se dilee daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

Khair andesh

Zahida Raees :Raji:

Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
khurram_shaikh
-
-
Posts: 136
Joined: Sun Dec 12, 2004 5:21 am

Post by khurram_shaikh »

Assalaam alekum,





zia sahib bahooooot khoooob ek umdeh kawish likhnien per dheroon daad qabool karien bahooot hi umdeh likhaa hai aapnien shukriyaa share kernien kaa


Raat bhar mere sitamgar ne gine haiN taarey !!
Zakhm , dil aur jigar par haiN sajaane kitne !!
RISK IS MY BUSINESS
DANGER IS MY GAME
DONT PLAY WITH ME
BCOZ KHURRAM IS MY NAME
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

zia baloch sahib
aoa
apka ye kalam sautii mushaairah mein aap k tarannum mein bhii suun k mehzooz huey, aur yahan bhi parh k maza aya. :D
bohat khoob
daad wusool kijiyey

khush rahiyey
:)
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Re: :: Jaane lafzoN maiN chhupe hoNge khazaane kitne !! ::

Post by Shummu »

Salaam Starmind...kya haal hai? u know main tumhari ye ghazal paRh bhi rahi hoon aur saath sun bhi rahi hoon...wah kya khoob dard bhara tarannum hai..waise aapas ki baat hai mujhe tumhara tehet ul lafz meiN paRhna zyaada bhaaya...ghazal behad umda....dheron daad haazir hai!
Jaane lafzoN maiN chhupe hoNge khazaane kitne
Aek hi baat k bante haiN fasaane kitne !! :roll:

Sunte sunte hi kaheN u'mr na hojaaye tamaam! :roll:
Aate aate tumheN aaye haiN bahaane kitne !! :evil:

Aye rawaaN waqt ! agar maiN tire hamraah chaloN
Miree aaNkhoN maiN samaayeNge zamaane kitne?? :roll:

Raat bhar mere sitamgar ne gine haiN taarey !! :roll:
Zakhm , dil aur jigar par haiN sajaane kitne !! 8)

Jaate jaate mujhe itnaa to bataade jaanaaN !!
ChaaheyeN tujh ko bhulaane maiN zamaane kitne ?? :cry: :evil:
Wah bahut khoob!!Ye ash'aar bahut pasand aaye...!Zor-e-qalam aur ziyaada :)

Btw,what does "Basm-e-chashm-o-dil-e-bismil "means? sorry for my kam ilmi :oops:

Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
waqar_masood
-
-
Posts: 134
Joined: Mon Dec 13, 2004 5:52 am
Location: khanewal
Contact:

Post by waqar_masood »

mutaram zia sahib

MA SHA ALLAH buhut hi umda kalam irshad farmaya hay . daad kay leye meray pass alfaz nahi hein ...her sher aur her lafz nehat khubsoorat , moqa o mehel ke munasbat say perfect..bila shuba yeh takhleeq qabl e sataesh hay .. ALLAH KERAY ZOOR E QALAM AUR ZIADA

waqar masood
hello
Post Reply