Shikeb Jalali ki aek ghazal

UstadaoN aur MuntaKhib ShoAraa ki shaayeri

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Shikeb Jalali ki aek ghazal

Post by Abdullah Nazir »


Azeez dousto,

MarHoom Shikeb Jalaalavi ki aek ghazal pesh-e-khidmat hei.


Aapka MukhliS,

Nazir.

Attachments
shikeb_2_f.JPG
shikeb_2_f.JPG (80.44 KiB) Viewed 431 times
Last edited by Abdullah Nazir on Thu Apr 20, 2006 11:41 am, edited 2 times in total.
Image
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

Mohtaram Abdullah Nazir saheb
aap ka intikhaab acha laga
aik typo hai shayer ka naam Shakaib Jalali hai
regards
zmufti
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

GhalaTi aap se houi hei

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramah
Zmufti SaaHibah,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapke tabsireh ke liye beHad shukrguzaar hooN jis meiN aap ne likhkhaa hei:

aap ka intikhaab acha laga
aik typo hai shayer ka naam Shakaib Jalali hai
regards
zmufti


Aap ko ghalaTfehmi houi hei. ASl lafz "SHIKEB" hei jisko boul chaal meiN bahut se loag ghalaTi se shakeb kehte heiN. Naam bhi Shikeb hi SaHeeH hei. Apni taSHeeH farmaaleejiye.
Dekhiye FARHANG-E-ASAFIYAH jild ssuvam SafHah 185 aur Feroz-ul-lughaat SafHah 768.
[color-brown]

Aapka MukhliS,

Nazir.

[/color]
Image
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

Mohtaram Abdullah Nazir saheb
Tasleemaat
Shikeb ke sahi hije roman maiN batane ka shukria magar naam ka doosra hissa "Jalali" hai "Jalalvi" nahiN kam az kam meraey paas jo mazkoora shayer ka majmooa-e-kalam moujood hai "روشنی اے روشنی" is per yahi likha hai "شکیب جلالی"
umeed hai aap bura nahiN manayieN ge
wasalam
zmufti
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

jee meri ghalaTi thii

Post by Abdullah Nazir »

[sise=18]
MuHtaramah
Zmufti SaaHibah

PurkhulooS Tasleemaat,

Aap ne Sirf yeh kahaa thaa ke "Shikeb" ghalaT heiaur "shakeb" SaHeeH. Is liye maiN ne utnaa hi javaab diyaa.

BaharHaal lafz "Jalaali" ke baare meiN aap Haq per heiN. Mere paas unkaa jo deewaan thaa wo ArSah-e-daraaz pahle kisi ne maang liyaa thaa lekin waapus nahiN kiyaa. Inkaa naam likhte waqt maiN ne mandarja-e-zeil naam se madad li jiski vajah se ghalaTi hougayi.

Qamar Jalalwi

Naql naweesi Aql nah baashad. Shukriyah.
Image
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

jee meri ghalaTi thii

Post by Abdullah Nazir »

[sise=18]
MuHtaramah
Zmufti SaaHibah

PurkhulooS Tasleemaat,

Aap ne Sirf yeh kahaa thaa ke "Shikeb" ghalaT hei aur "shakeb" SaHeeH. Is liye maiN ne utnaa hi javaab diyaa warnah aapko pahli baar hi tashaffi bakhsh javaab mil jaataa.

BaharHaal lafz "Jalaali" ke baare meiN aap Haq per heiN. Mere paas unkaa jo deewaan thaa wo ArSah-e-daraaz pahle kisi ne maang liyaa thaa lekin waapus nahiN kiyaa. Inkaa naam likhte waqt maiN ne mandarja-e-zeil naam se madad li jiski vajah se ghalaTi hougayi.

Qamar Jalalwi

Naql naweesi Aql nah baashad. Shukriyah.


Aapka MukhliS,
Nazir.

[/size]
Image
Post Reply