aek taazah tareen saadah si ghazal. Abdullah Nazir.

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

aek taazah tareen saadah si ghazal. Abdullah Nazir.

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-sukhan,

PurkhulooS Tasleemaat, :rose

Apni aek taazah-tareen saadah si ghazal pesh karrahaa hooN aur ummeed kartaa hooN ke aap apni giraaNqadr aaraa se mustafeed houne kaa mauqaA denge.

GHAZAL roman meiN:

shab-e-gham aa idhar ai dilrubaa gul
nah houjaaye kahiN shamA-e-wafaa gul

agar chashm-e-karam houjaaye teri
to ham SeHraa meiN bhi dekheN sadaa gul

wahaaN per khaar-e-bedaad o sitam heiN
jahaaN houte thay apne zer-e-paa gul

mujhe kyaa chaahiye jab us ne poochaa
to maiN ne muskuraakar kehdiyaa gul

khabar kyaa ham ko ghurbat meiN kisi kii
chaman maiN kaise heiN baad-e-Sabaa gul

nah dildaari nah Tarz-e-dildehi hei
miri qismat meiN hei kyaa kaj adaa gul

bajuz tere bhalaa maiN kis ko choomooN
nahiN hei koii tujh saa aashnaa gul

bahaaro jaate jaate yaad rakhna
mujhe looTaa miraa dil le gayaa gul

samajhtaa hei jo apni baat Nazir
vohi apne liye hei be-bahaa gul
=======


Aapka MukhliS,
Nazir.

Attachments
a_na_gul_f.JPG
a_na_gul_f.JPG (110.19 KiB) Viewed 129 times
Image
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Re: aek taazah tareen saadah si ghazal. Abdullah Nazir.

Post by Raji »

WEBMASTER wrote:

GHAZAL roman meiN:

shab-e-gham aa idhar ai dilrubaa gul
nah houjaaye kahiN shamA-e-wafaa gul

khabar kyaa ham ko ghurbat meiN kisi kii
chaman maiN kaise heiN baad-e-Sabaa gul

nah dildaari nah Tarz-e-dildehi hei
miri qismat meiN hei kyaa kaj adaa gul

bajuz tere bhalaa maiN kis ko choomooN
nahiN hei koii tujh saa aashnaa gul

bahaaro jaate jaate yaad rakhna
mujhe looTaa miraa dil le gayaa gul

samajhtaa hei jo apni baat Nazir
vohi apne liye hei be-bahaa gul
=======


[/color]


MuHtaram janab-e-Abdullah Nazir SaaHeb:

Aadaab-o-tasleemaat,

aap kee Ghazal bohat munfarid radeef ke saath hai aur aapkii Ghazal ko baghair paRhne ke ba'ad is baat ka baKhoobii eHsaas hoovaa hai keh is radeef ke saath qaafiyoN kaa istemaal isaan naheeN hai :-) lekin mashaAllah aap ne bohat Khoobii se mazameen nikaale heN aur ache qaafiye istemaal kiyaa heN.

youN tu poorii Ghazal hee achii hai lekin quoted ashaare ziyadah pasand aaYe. meree jaanib se dilee daad aur mubarakbaad aapkii Khidmat meN HaaZir hai.


wassalaam

Zahida Raees :Raji:
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
Post Reply