Saara ji
Anmol sahiba ki anmol ghazal pesh ki bahut shukria,
wah wah bahut khoobsurat ghazal post ki aapne , bahut lutfaaaya.
mohabbat ke anokhe the sabhi andaaz kya karte
rahe hum bhi gurezaan aap bhi naraaz kya karte
wah wah
sanam tujh se mohabbat ka bhala aghaaz kya karte
labon per baat aayi per na thi awaaz kya karte
khoob
mere ahbaab kya karte mere damsaaz kya karte
mujhe jab dard hi tha raaz chaara saaz kya karte
acha sher hai , magar raaz raaz hi hai yaa raas hai. mujhe to raas ziada munasib lag raha hai. baharhaal
hujoome shehar hum kho gaye kuch chain paane ko
akele mein sataati thi teri awaaz kya karte
dil e nazuk humara usne pal mein tor daala tha
use bhaati thi toote kaanch ki awaaz kya karte
wah waah waah waah bahut k hoob
hum uske saamne chup saadh ker baiTha kiye phir bhi
jafakaari se pesh aayea voh heela saaz kya karte
bahut umdaa sher hai
saja ker sau tabasum aek gham tumse chupaati thi
magar anmol ke tum jaanker voh raaz kya karte
Muhabbat ke anokhe the sabhi andaaz kya karte!!
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact: