guz 16 by haamidbaaqri

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

guz 16 by haamidbaaqri

Post by haamidbaaqri »

salaamun alaikum
dosto

der se aane ki hum muazirat chaahte hai.n.

is khoobsoorat misre per hamaari adna kaavish haazir hai

gar qubool uftad zahe.....

arz kiya hai.....

^ilm se badhke jahaa.n mei.n koyee jaageer nahi.n
jahl jaisee tau yahaa.n koyee bhi zanjeer nahi.n.

aadmi daulate duniya tau chura sakta hai
^ilm choree kare aisee koyee tadbeer nahi.n

kharch daulat ho tau ghat tee hi chalee jaati hai
^ilm baanto tau ghate yeh kahi.n tahreer nahi.n

hai yaqee.n tujhko bachaayegee yeh daulat teri
khwaab aisa hai yeh jiski koyee t^aabeer nahi.n

^ilm se ^aql ka kehna hai yeh haamid har pal
"kya mire dil mei.n tire husn ki tasweer nahi.n

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob,waah waah

Post by Abdullah Nazir »

MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki TaraHi ghazal aap apne makhSooS andaaz meiN bahut hi achchi hie jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Aapke chauthe sheAr meiN kuch ibhaam reh gayaa hei:

hai yaqee.n tujhko bachaayegee yeh daulat teri
khwaab aisa hai yeh jiski koyee t^aabeer nahi.n

oslo macr tp uppM jpigo: (tujhko yaqeen hei ke yeh teri daulat bachaayegi. Yeh khwaab aisaa hei jiski koii taAbeer nahiN)

Pahle miSreA meiN lafz "yeh" se kyaa mauraad hei baat vaaZeH nahiN hourahi hei. Is liye agar aap agar pahle miSreA ko yooN karden to ibhaam door houjaayegaa:

Hei yaqeeN tujhko bachaayegaa tuu daulat apni

yaa aap jaisaa bhi munaasib samjheN.

Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

shukriya

Post by haamidbaaqri »

sara_j wrote:hamid bhai,

wah wah!! bohat ache khayalaat ka izhaar hei

aapki har ghazal ki tarah is ghazal ke ashaar

bhi bohat umda hain.

dili daad qubool keejiye.

sara
salaamun alaikum
azeez bahn sara

bahut bahut shukriya aapki hauslah afzaayee aur mukhlisaanah daad ka.

jawaab mei.n taakheer keliye hum muaafi chaahte hai.n.

salaamat rahe.n.

mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: Bahut khoob,waah waah

Post by haamidbaaqri »

WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki TaraHi ghazal aap apne makhSooS andaaz meiN bahut hi achchi hie jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Aapke chauthe sheAr meiN kuch ibhaam reh gayaa hei:

hai yaqee.n tujhko bachaayegee yeh daulat teri
khwaab aisa hai yeh jiski koyee t^aabeer nahi.n

oslo macr tp uppM jpigo: (tujhko yaqeen hei ke yeh teri daulat bachaayegi. Yeh khwaab aisaa hei jiski koii taAbeer nahiN)

Pahle miSreA meiN lafz "yeh" se kyaa mauraad hei baat vaaZeH nahiN hourahi hei. Is liye agar aap agar pahle miSreA ko yooN karden to ibhaam door houjaayegaa:

Hei yaqeeN tujhko bachaayegaa tuu daulat apni

yaa aap jaisaa bhi munaasib samjheN.

Aapka MukhliS,
Nazir.

mohtaram abdullah nazir saahib
salaamun alaikum

aapki purkhuloos daad aur mubarak baad ka bahut bahut shukriya.
jazakallah

hamaari muraad us misre mei.n aakhirat se hai keh bahut se insaan qiyaamat ke din ^azaabe ilaahi se bachne keliye apni daulat rishwat ke taur per dena chaahe.nge.per yeh daulat unhe.n wahaa.n bacha nahi.n sakti.

mohtaram agar koyee takneeki kharaabi ho tau bataaye.n hum usko durust karle.nge.insha allah

tifle maktab
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
ameen
nau-waarid
Posts: 3
Joined: Sun Apr 30, 2006 6:37 am

Post by ameen »

Naaqis kii Naaqis Raay mei...........

Hai YaqeeN tujh-ko kii jagah
Hai GUMAAn tujh-ko ..............bhi kaha jaa sakta hai.

Kyunke............. jab khwaab kii aur ta'abeer kii baat ho rahi hai tou...khwaab ke saath............GUMAAn...........BHARAM...........KHAYAAL Iss tarah ke alfaaz mutabiqat rakhte haiN. jab-ke YAQEEN ka rishta khwaab ke saath ek kamzor rishta hai...jo kabhi jud.ta hai... kabhi toot-ta hai.

Mujhe haq hai ke mai apni baat khulay dil se kahooN. aur aap bhi kuchh huqooq rakh-te haiN.

Shukriya

TIFLE MAKTAB No.2
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Post by Abdullah Nazir »

MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aap ne likhkhaa hei:

hamaari muraad us misre mei.n aakhirat se hai keh bahut se insaan qiyaamat ke din ^azaabe ilaahi se bachne keliye apni daulat rishwat ke taur per dena chaahe.nge.per yeh daulat unhe.n wahaa.n bacha nahi.n sakti.

Agar aap samajhte heiN aapka yeh mafhoom sheAr ko paRhne se qaari per zaahir houjaataa hei to bahut achchi baat hei.

aapkaa sheAr yooN hei:
hai yaqee.n tujhko bachaayegee yeh daulat teri
khwaab aisa hai yeh jiski koyee t^aabeer nahi.n

Is sheAr meiN mukhaaTab majhool hei aur lafz "yeh" is baat kaa cuboot derahaa hei ke aap us daulat kaa mushaahidar karte houe keh rahe heiN "yeh daulat". Phir is meiN aakhirat ke Azaab kaa bhi koii zikr nahiN.
In tamaam baataoN se ibhaam paidaa hourahaa hei lekin choonkeh aapke zehn meiN aek khaaS tasveer hei jiski vajah se aap samajh rahe heiN keh baat vaaZeH hougayi hei.

BaHarHaal aap agar muTma'in heiN to sab kuch Theek hei. Shaayer ko Haq houtaa hei wo apne sheAr ko jisTaraH chaahe kahe.
======

Ab maiN Ameen SaaHib ke tabSireh ki Taraf aataa hooN:

Naaqis kii Naaqis Raay mei...........

Hai YaqeeN tujh-ko kii jagah
Hai GUMAAn tujh-ko ..............bhi kaha jaa sakta hai.

Kyunke............. jab khwaab kii aur ta'abeer kii baat ho rahi hai tou...khwaab ke saath............GUMAAn...........BHARAM...........KHAYAAL Iss tarah ke alfaaz mutabiqat rakhte haiN. jab-ke YAQEEN ka rishta khwaab ke saath ek kamzor rishta hai...jo kabhi jud.ta hai... kabhi toot-ta hai.

Mujhe haq hai ke mai apni baat khulay dil se kahooN. aur aap bhi kuchh huqooq rakh-te haiN.

Shukriya

TIFLE MAKTAB No.2

Ameen SaaHib ko maAloom hounaa chaahiye ke alfaaz ki munaasibat mafhoom ke liHaaz se dekhi jaati hei nah ke aek lafz ki doosre lafz se munaasibat. Her Haal meiN aek lafz ki munaasibat doosre lafz ki Zid (antonym) se bhi housakti hei.

Aapke mafhoom ko nazar meiN rakhkheN to to pahle miSreA meiN yaqeeN kaa lafz apni jagah munaasib hei. Aap us shakhS se mukhaaTib heiN jo samjh rahaa hei ka daulat us ko aakhirat ke Azaab se bachaalegi.
Doosre miSreA meiN shaayer keh rahaa hei ke yeh aek aisaa khwaab hei jiski koii taAbeer nahiN (jo Haqeeqat meiN Sirf aek khayaali baat hei)

Meri nazar meiN, Ameen SaaHib bhi sheAr kaa mafhoom nahiN samajh sake is liye alfaaz ki munaasibat meiN ulajh gaye.

Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

salaamun alaikum

Post by haamidbaaqri »

ameen wrote:Naaqis kii Naaqis Raay mei...........

Hai YaqeeN tujh-ko kii jagah
Hai GUMAAn tujh-ko ..............bhi kaha jaa sakta hai.

Kyunke............. jab khwaab kii aur ta'abeer kii baat ho rahi hai tou...khwaab ke saath............GUMAAn...........BHARAM...........KHAYAAL Iss tarah ke alfaaz mutabiqat rakhte haiN. jab-ke YAQEEN ka rishta khwaab ke saath ek kamzor rishta hai...jo kabhi jud.ta hai... kabhi toot-ta hai.

Mujhe haq hai ke mai apni baat khulay dil se kahooN. aur aap bhi kuchh huqooq rakh-te haiN.

Shukriya

TIFLE MAKTAB No.2
mohtaram ameen saahib

khuley dil se baat kehne ka har aik ko haq hai janaab.

mohtaram abdullah nazir saahib ne aapke tabsare ke baare mei.n apna khayaal zaahir kardiya hai.is mozoo^ per mazeed kuch kehna hamaare liye munaasib nahi.n hai.

aapne hamaare is adna see takhleeq ko tabsare ke qaabil samjha is keliye hum aapka shukriya ada karte hai.n.

khush rahe.n

haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

bahut bahut shukriya

Post by haamidbaaqri »

WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aap ne likhkhaa hei:

hamaari muraad us misre mei.n aakhirat se hai keh bahut se insaan qiyaamat ke din ^azaabe ilaahi se bachne keliye apni daulat rishwat ke taur per dena chaahe.nge.per yeh daulat unhe.n wahaa.n bacha nahi.n sakti.

Agar aap samajhte heiN aapka yeh mafhoom sheAr ko paRhne se qaari per zaahir houjaataa hei to bahut achchi baat hei.

aapkaa sheAr yooN hei:
hai yaqee.n tujhko bachaayegee yeh daulat teri
khwaab aisa hai yeh jiski koyee t^aabeer nahi.n

Is sheAr meiN mukhaaTab majhool hei aur lafz "yeh" is baat kaa cuboot derahaa hei ke aap us daulat kaa mushaahidar karte houe keh rahe heiN "yeh daulat". Phir is meiN aakhirat ke Azaab kaa bhi koii zikr nahiN.
In tamaam baataoN se ibhaam paidaa hourahaa hei lekin choonkeh aapke zehn meiN aek khaaS tasveer hei jiski vajah se aap samajh rahe heiN keh baat vaaZeH hougayi hei.

BaHarHaal aap agar muTma'in heiN to sab kuch Theek hei. Shaayer ko Haq houtaa hei wo apne sheAr ko jisTaraH chaahe kahe.
======

Ab maiN Ameen SaaHib ke tabSireh ki Taraf aataa hooN:

Naaqis kii Naaqis Raay mei...........

Hai YaqeeN tujh-ko kii jagah
Hai GUMAAn tujh-ko ..............bhi kaha jaa sakta hai.

Kyunke............. jab khwaab kii aur ta'abeer kii baat ho rahi hai tou...khwaab ke saath............GUMAAn...........BHARAM...........KHAYAAL Iss tarah ke alfaaz mutabiqat rakhte haiN. jab-ke YAQEEN ka rishta khwaab ke saath ek kamzor rishta hai...jo kabhi jud.ta hai... kabhi toot-ta hai.

Mujhe haq hai ke mai apni baat khulay dil se kahooN. aur aap bhi kuchh huqooq rakh-te haiN.

Shukriya

TIFLE MAKTAB No.2

Ameen SaaHib ko maAloom hounaa chaahiye ke alfaaz ki munaasibat mafhoom ke liHaaz se dekhi jaati hei nah ke aek lafz ki doosre lafz se munaasibat. Her Haal meiN aek lafz ki munaasibat doosre lafz ki Zid (antonym) se bhi housakti hei.

hai yaqee.n tujhko bachaayegee yeh daulat teri
khwaab aisa hai yeh jiski koyee t^aabeer nahi.n

Aapke mafhoom ko nazar meiN rakhkheN to to pahle miSreA meiN yaqeeN kaa lafz apni jagah munaasib hei. Aap us shakhS se mukhaaTib heiN jo samjh rahaa hei ka daulat us ko aakhirat ke Azaab se bachaalegi.
Doosre miSreA meiN shaayer keh rahaa hei ke yeh aek aisaa khwaab hei jiski koii taAbeer nahiN (jo Haqeeqat meiN Sirf aek khayaali baat hei)

Meri nazar meiN, Ameen SaaHib bhi sheAr kaa mafhoom nahiN samajh sake is liye alfaaz ki munaasibat meiN ulajh gaye.

Aapka MukhliS,
Nazir.

salaamun alaikum
mohtaram abdullah nazir saahib

ibhaam zaroor paida horaha hai lekin thodi see fikr se qaari per shear waazeh ho jaata hai.

allah(sbhnwt)ka farmaan hai keh beshak fikr karne waale hi kaamiyaab hote hai.n.

aapne apna qeemti waqt hamaari is adna kaavish keliye diya jiskeliye hum aapke behad mamnoono mashkoor hai.n.

jazakallah

aapka mukhlis