ghazal har ghaRi ab hai bekali saheb

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
khozema husaini
-
-
Posts: 150
Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
Contact:

ghazal har ghaRi ab hai bekali saheb

Post by khozema husaini »

haazreen e mehfil
ghazal ke chand ashAar pesh e KHidmat hen umeed hai aap apni aara se nawaaz kar mamnoon farmayenge
shukriyah
Husaini
ghazal
har ghaRi ab hai bekali saheb
aankh se aankh ja laRi saheb

dil men thi aag si lagi saheb
aa gai aankh meN nami saheb

jaan per ab hai aa bani saheb
yeh hai inAam e aashiqi saheb

kya dawa aap ne yeh ki saheb
baRh gaii aur bekali saheb

khudkushi men hai kya jawaaN mardi
buzdili hai yeh buzdili saheb

har ghaRi jo bapa kare mehshar
naam uska hai zindagi saheb

Aajizi per miri woh shoKH mizaaj
dediya hukm e bandagi saheb

dastras men hai meri beHr e karam
phir bhi baaqi hai tashnagi saheb

baab e alTaaf band hum hii per
hum bhi kab se hen multaji saheb

roz marta hoon phir bhi zindah hoon
dekhiye meri be basi saheb

pas e pardah se pursish e aHwaal?
dosti hai keh dushmani saheb?

har KHaTa mujh se Aen mumkin hai
but KHaTa ka hai aadmi saheb

poochhte heN woh Haal e dil mera?
kar rahe heN woh dil lagi saheb

sab hi hote heN Gham se afsurdah
Gham se HaaSil karen KHushi saheb

Haal e dil un pe hogaya zaahir
ashk ne ki hai muKhbiri saheb

but tarashe woh apne hathoN se
hum pe ilzaam e gumrahi saheb

rahbari kijiye Husaini ki
seeKH par hai yeh shairi saheb
Attachments
61 har ghaRi ab hai be kali saheb.jpg
61 har ghaRi ab hai be kali saheb.jpg (89.13 KiB) Viewed 91 times
Last edited by khozema husaini on Sun May 07, 2006 4:56 pm, edited 5 times in total.
hum husaini duAa ki deN soGHaat
laakh chahay bura karay koee

husaini
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob, waah waah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami o Azeezi
FarHan SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal bahut pasand aayi, jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT:


har ghaRi ab hai bekali saheb
aankh se aankh ja laRi saheb


MaTlaA achchaa hei, waah waah.

dil men thi aag si lagi saheb
aa gai aankh meN nami saheb


Husn-e-maTlaA bhi achchaa hei. Bahut khoob.

jaan per ab hai aa bani saheb
yeh hai inAam e aashiqi saheb


Waah waah, bahut khoob.

kya dawa aap ne yeh ki saheb
baRh gaii aur bekali saheb


Bahut khoob.

khudkhushi men hai kya jawaaN mardi
buzdili hai yeh buzdili saheb


bahut khoob. Waah waah.

har ghaRi jo bapa kare mehshar
naam uska hai zindagi saheb


waah waah, kyaa kehne.

qalab pehloo men rakh ke shoKH mizaaj
dediya hukm e bandagi saheb


Qalb ko aap ne qalab likhdiyaa hei durust kerleejiye.
Pahle miSreA ko yooN karleN to behtar hei:
Aajizi per miri wo shoukh mizaaj

dastras men hai meri beHr e karam
phir bhi baaqi hai tashnagi saheb


Waah waah, kyaa kehne. Bahut achcha sheAr hei.

baab e alTaaf band hum hii per
hum bhi kab se hen multaji saheb


achcha sheAr hei, waah waah.

roz marta hoon phir bhi zindah hoon
dekhiye meri be basi saheb


Bahut khoob. Waah waah.

pas e pardah se purshish e aHwaal?
dosti hai keh dushmani saheb?


Achcha sheAr hei. "purshish" ko durust karke "pursish" likhiye.

har KHaTa mujh se Aen mumkin hai
but KHaTa ka hai aadmi saheb


Bahut khoob, waah waah.

poochhte heN woh Haal e dil mera?
kar rahe heN woh dil lagi saheb


waah waah.

sab hi hote heN Gham se afsurdah
Gham se HaaSil karen KHushi saheb


achcha sheAr hei.

Haal e dil un pe hogaya zaahir
ashk ne ki hai muKhbari saheb


Bahut achcha sheAr hei. Lafz "mukhbari" nahiN balkeh "mukhbiri" hei durust kerleejiyhe.

but tarashe woh apne hathoN se
hum pe ilzaam e gumrahi saheb?


Achcha sheAr hei lekin jumlah icbaat meiN likhkar Alaamat-e-sawaal se yeh izhaar karnaa ke sawaaliyah hei jaayiz Zaroor hei lekin gurez karnaa chaahiye.

rahbari kijiye Husaini ki
seeKHpar hai yeh shairi saheb


"seekhpar" se shayad aap kehnaa chaahte heiN "seekhne aur paRhne" lekin meri nazar se aisaa koii muHaavirah nahiN guzraa. Behtar hei aap doosre miSreA ko yooN kardeN:
[/u]jo keh shaayer hei mubtadi SaaHeb[/u]
is se iTabeeAat ki inkisaari kaa izhaar hougaa.
Achcha maqTaA hei waah waah.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Last edited by Abdullah Nazir on Sun May 07, 2006 5:21 pm, edited 1 time in total.
Image
User avatar
khozema husaini
-
-
Posts: 150
Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
Contact:

Post by khozema husaini »

mohtaram nazir saheb
aadaab o tasleemaat
men aap ki mehrabaniyon ke tah e dil se mamnoon hoon aap ka tabsarah mere liya mashAl e raah hai
farhang e Aamirah men seekh par aik lafz hai jis ke mAani parinde ka nanha bachcha diye huye hen men ne isi KHayaal se ise istAemaal kiya hai agar phir bhi is men kahiN koi ghalati kar raha hoon to baraye mehrabani bataiye ga men ise tabdeel kardoonga
mujhe umeed hai keh aap ki inayaat ka silsilah jari rahega
bohat bohat shukriya
Husaini
hum husaini duAa ki deN soGHaat
laakh chahay bura karay koee

husaini
Post Reply