DostoN,
Kuchh roz pehle ek aadmee ke baare meiN paRhaa thaa maiN ne, jo kisee zamaane meN pahalwaan huaa kartaa thaa, aur ab 100 saal ki umr meN apne gaye dinoN ko yaad karke rotaa hai. Uske beTe, pote sab mar chuke haiN, ek woh zindah rah gayaa hai.
Usee ke dimaagh meN daakhil hokar, apnee zehnee umr ko kucch 77 saal baRhaakar, us shakhS ke baare meiN yeh tarHee ghazal pesh karne kee ijaazat chaahtaa huN.
Ek mareez-e-umr-e-daraaz kee ghazall
yeh meyre aks ka mujhse sawaal hotaa hai
ke is qadar bhi koii paaimaal hotaa hai?
mareez-e-ishq sambhaltaa hai umr Dhalte hee
mareez-e-umr magar khastah Haal hotaa hai
khudaa ne umr bhi dee yuN ke huN qayaamat tak
banaa huN Khizr kaheeN, aHtamaal hotaa hai
kabhee yeh sar bhi ghuroor-e-shabaab hotaa thaa,
abhee to zaanoN pe dharte malaal hotaa hai.
jab aek aah bhi toofaan see nikaltee thee
"ab aek saaNs bhi lenaa muHaal hotaa hai"
tab apne dast meN duniyaa ko bhee uThaate the
ab uThte haiN to a'saa kaa khayaal hotaa hai.
kabhee to jism meN sakhtee-e-sang hotee thee
par aaj kal to gumaan-e-sufaal hotaa hai
kabhee jo shauq talabgaar-e-Husn-o-zeenat thaa,
abhee wo taalib-e-dard-e-zawaal hotaa hai
kisee ko umr-e-daraaz aap deke tum, uskaa
shabaab chheen lo! achhaa kamaal hotaa hai!
hameeN se marg taghaaful kare hai yaaN warnah
woh aaftaab bhi nazr-e-zawaal hotaa hai
abhee jawaaN ho,Munawwar, khayaal rakhnaa kal,
sunaa hai lamha bhi peeree ka, saal hotaa hai
------------------------------------------------------------------------------------
Kitnee dukh kee baat hai ke jo apnee zindagee pe naaz kartaa thaa, ab marg kaa rastaa dekhtaa hai. Zindagee khoobsoorat hai, par tanhaai meN kaTtee zindagee kisee maraz se kam naheeN. Fitrat bhee kamaal kartaa hai. JawaaN log zidagee dekhe binaa hi chal baste haiN, aur jo marg khwaah hote haiN, maayoos rah jaate haiN.
Khair, ghazal kaisee lagee ye bataayeN. Mujhe aapke khayaalaat kaa intezaar rahegaa.
Khair andesh,
Munawwar
Tarahee ghazal - Guzaarish # 17
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
Tarahee ghazal - Guzaarish # 17
Bhaswar Dasgupta "Munawwar"
------------------------------------
Kabhii khursheed kii raunaq pe chhaayaa thaa nashaa yaaroN
Sunaa hai ke usii din ko "Munawwar" jee huyeN paidaa!
------------------------------------
Kabhii khursheed kii raunaq pe chhaayaa thaa nashaa yaaroN
Sunaa hai ke usii din ko "Munawwar" jee huyeN paidaa!
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob
MuHtarami o Azeezi
Munawwar SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki TaraHi ghazal pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
MajmooAi Taur per ghazal achchi hei. Waqt ki kami kii vajah se tafSeeli tabSirah karne ki gunjaayish nahiN hei jiske liye maAzirat chaahtaa hooN.
Aapkaa mukhliS,
Nazir.
Sara ji,
Aapkee daad kaa shukriyah. Al jabr meN aap ne zaraa see ghaltee kar dee, aur meree umr meN das saal kaa izaafah kar diyaa! :)
100 - 77 = ? (Waise yahaaN kaa aalam yooN hai ke ek ek din bhi sau saal hi hote haiN.)