ghazal banti nahin hai bigRi hui baat kiya kareN

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
khozema husaini
-
-
Posts: 150
Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
Contact:

ghazal banti nahin hai bigRi hui baat kiya kareN

Post by khozema husaini »

haazreen e mehfil
assalam alaikum
aap ki KHidmat meN ghazal ke chand ashAar pesh hen aur aap ki aara ka intezaar rahega
Husaini
Ghazal

banti nahiN hai bigRi huii baat kya kareN
hum behr e saazgaari e Haalaat kya kareN

dekha hai jab se aap ka baarish men bheegna
tan man jala rahi hai yeh barsaat kya kareN

sharm o Hayaa ki aap jo toReN nah beRiyaaN
phir hum bhi justajoo e mulaaqaat kya kareN

aaNkhoN meN ashk qalb se uThhta hua dhuwaaN
yeh sab heN tere ishq ki souGHaat kya kareN

madhosh kar gaya woh tira irteAash e lab
taSweer ban gaye heN bata baat kya kareN

aaye heN kya woh karne HaseeN saaAton ka KHoon
le baiThhe hen hazaaroN shikaayaat kya kareN

hum izteraab e qalb ka kaise kareN Ilaaj
taRpaayeN jab bhi tere KHayaalaat kya kareN

pathra gayeeN jo aaNkhen to poocho ho Haal e dil
baAd e qazaa tumhari Inaayaat kya kareN

shams o qamar kahaN hameN jugnu nahiN naSeeb
aur rahguzar pe Taari heN zulumaat kya kareN

hum tashnah gaan e deed heN deedaar dijiye
yeh maal o taKHt o taaj ki KHairaat kya kareN

ae kaash yaad rakhte Husaini Hisaab e gor
ab soojhte nahiN hen jawaabaat kya kareN
hum husaini duAa ki deN soGHaat
laakh chahay bura karay koee

husaini
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Re: ghazal banti nahin hai bigRi hui baat kiya kareN

Post by Sarwar A. Raz »

khozema husaini wrote:haazreen e mehfil

mukarramee Husaini SaaHeb:aadaab!

aap kee Ghazal dekh`ee. agar yeh kahooN keh aap meN she'ree SalaaHiyat bohat hai to SaHeeH ho gaa. aur saath` hee yeh kehnaa bh`ee Ghalat^ naheeN ho gaa keh aap kee yeh SalaaHiyat bisyaar-goyee se majrooH ho rahee hai. meraa u'moomee ta,accur yeh hai (aur yeh Ghalat^ ho saktaa hai) keh aap jald jald Ghazal kehnaa Z^arooree samajh`te haiN. aisee Soorat meN Ghazal meN fikr-o-fan ke ma'yaar kee kamzoree mutawaqqe' hai. zer-e-naz^ar Ghazal ke doosre aur teesre ash,a'ar ko dekh`iYe to aap par meree baat Khud hee waaZ^eH ho jaaYe gee. aise a'amiyaanah maZ^aameen to har ek baaNdh` letaa hai. ph`ir Khozema Husaini kee shaa,i'ree meN kyaa KhaaS baat huyee?

aap ko meree baat shaayad buree ma'loom ho gee. lekin aap Ghaur kareN ge to is kee Sadaaqt aap par z^aahir ho jaaYe gee. pooree Ghazal hee saamne ke maZ^aameen kaa baazeechah hai. yaqeena" aap is se kaheeN behtar keh sakte haiN. yeh Z^aroor hai keh us Soorat meN aap ek maah meN shaayad chaar ch`e GhazaleN naheeN keh sakeN ge. so is meN kyaa buraayee hai?

koyee baat naa-gawaar guZre to chasm-poshee iKhtiyaar keejiYe. shukriyah!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
khozema husaini
-
-
Posts: 150
Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
Contact:

Post by khozema husaini »

mohtaram sarwar saheb
aadaab o tasleemaat
ghazla ke bare men aap ki raye dekhi is men bura lagane wali koi baat mujhe nahi mehsoos hui woh men isliye keh raha hoon ke is bazm men aik roz men kai ghazlen post hoti hen lekin har jagah sarwar saheb ka tabsara nazar nahi aata kam az kam aap ne mujhe is laaiq to samjha keh mre klaam ke nuqs mujh per wazeh kar diye men apni taraf se poori koshish karoonga keh apne kalaam ko aap ki tabiAt ke mutabiq rang dene ki koshish karooN
mujhe ummeed hai aap aaindah bhi apni raye ka izhaar zaroor karenge
bohat bohat shukriyah
Husaini
hum husaini duAa ki deN soGHaat
laakh chahay bura karay koee

husaini
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

khozema husaini wrote:mohtaram sarwar saheb
aadaab o tasleemaat
ghazla ke bare men aap ki raye dekhi is men bura lagane wali koi baat mujhe nahi mehsoos hui woh men isliye keh raha hoon ke is bazm men aik roz men kai ghazlen post hoti hen lekin har jagah sarwar saheb ka tabsara nazar nahi aata kam az kam aap ne mujhe is laaiq to samjha keh mre klaam ke nuqs mujh per wazeh kar diye men apni taraf se poori koshish karoonga keh apne kalaam ko aap ki tabiAt ke mutabiq rang dene ki koshish karooN
mujhe ummeed hai aap aaindah bhi apni raye ka izhaar zaroor karenge
bohat bohat shukriyah
Husaini
muHibbee Husaini SaaHeb: aadaab!

aap kee faraaKh-dilee baa,ic-e-masarrat huyee. shukriyah. Sirf ek baat ma'rooZ^ee hai.

aap ne likh`aa hai keh:

"men apni taraf se poori koshish karoonga keh apne kalaam ko aap ki tabiAt ke mutabiq rang dene ki koshish karooN"!!!

bandah-parwar! maiN yeh kyoN chaahooN gaa keh (aur aap aisaa kyoN kareN?) aap kee shaa,i'ree meree tabee,a't ke mut^aabiq ho? shaa,i'ree aap kar rahe haiN aur raNg bh`ee aap kaa hee honaa Z^arooree hai. nah aap mere raN meN keh sakte haiN aur nah maiN aap ke. aur ham donoN kaa aisee koshish karnaa bh`ee naa-qaabil-e-qubool hai! maiN ne to Sirf yeh kahaa hai keh aap apnaa ma'yaar aasaanee se baland kar sakte haiN kyoN.k maashaa-Allah aap meN shaa,i'raanah SalaaHiyat bohat hai. so ma'yaar kee balandee aur cheez huyee aur kisss kaa maKhSooS raNg aur. agar maiN aap se kehtaa keh aap meree tabee,a't ke mut^aabiq she'r kaheN to Ghalat^ kartaa.

ummeed hai keh baat ab waaZ^eH ho gayee ho gee.

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Post Reply