RAUSHNEE wrote:tarraqee ki nayi rahein jo zer-e-asman niklein
mian masjid say niklay aur haram say bibiyan niklein
waah Raush, waah! bahot Khoob she'r raqam kiyaa hai...kiska hai? Akbar Allahabadi ka?
be_parda kal jo nazar aayiiN chand bibiyaaN
"Akbar" Ghairat-e-qaumii se zamiiN meN gaR gayaa
poochhaa jo un se aapkaa pardaa vo kia huaa
kahne lagiiN ki 'aql pe mardoN ke paR gayaa

jee jee ! Bilkul AA ka he hai aur mazay ki baat yeh k is k baad mere zehan mein wohi sher tha jo aap nay likha
yeh sunyee
Najanay kaisee batein hain hum aurto'on kay PaRday mein
kabhee Akbar Sher kehtay hain Kabhi Haali ji Ghabrat hain
Dor-e-Akbar laut ayaa iss TEEN Saal kay arsay mein
Pehlay hum Parda chornay say ab kernay say sharmatay hain
Teen saal refers to the intial three years of Our Dear Parvez Musharraf !