nafas nafas sar-ba-sar pareshaaN!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

nafas nafas sar-ba-sar pareshaaN!

Post by Sarwar A. Raz »

yaaraan-e-bazm: aadaab a'rZ^ hai!

ek Ghazal le kar HaaZ^ir ho rahaa hooN jo "Urdu Duniya" kee pehlee saalgirah ke mauqe' par kahee gayee hai. aaj kal jumlah maSroofiyaat she'r-goyee kee furSat kam hee detee haiN. ba-har-kaif jo bh`ee hai dekh` leejiYe. aap kee raaYe kaa muntaz^ir rahooN gaa. shukriyah!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

=============================
GHAZAL:

nafas nafas sar-ba-sar pareshaaN, naz^ar naz^ar iZ^t^iraab meN hai
magar woh taSweer-e-Husn-e-ma'nee niqaab meN th`ee, niqaab meN hai!

koyee bataaYe keh farq kaisaa yeh a'ashiqee ke niSaab meN hai
mire sawaaloN meN kab th`aa aaKhir woh sab jo un ke jawaab meN hai?

maza nah zuhd-o-cawaab meN hai, nah lut^f jaam-o-sharaab meN hai
"Gham-e-judaayee se jaan meree a'jab t^araH ke a'Zaab meN hai" (Jur,at)

nah muNh se bolo, nah sar se kh`elo, a'jeeb dastoor hai tumhaaraa
salaam lene kaa yeh t^areeqah tumheeN kaho kis kitaab meN hai?

miyaan-e-Khwaab-o-Khayaal-o-Hasrat talaash ke laakh` marHale th`e
rah-e-muHabbat meN kaamyaabee bataa,iYe kis Hisaab meN hai?

kashaa,ish-o-raNj-e-hijr, taubah! kise tamanna-e-waSl hai ab
zahe muHabbat, miraa taKhai,yyul! keh Khud-shanaasee ke baab meN hai!

tamaashah-e-bood-o-hast aSl-e-Hayaat hai to Hayaat kyaa hai?
jo baat ab tak Hijaab meN th`ee, woh baat ab bh`ee Hijaab meN hai!

saHar-gazeedah chiraaGh-e-shab th`aa, bh`aRak bh`aRak kar jo bujh` gayaa hai
wujood, maanind-e-dood, meraa t^awaaf-e-bazm-e-Kharaab meN hai

zamaanah bezaar tujh` se "Sarwar", too aap bezaar zindagee se
koyee Kharaabee to hai yaqeena" jo tujh` se Khaanah-Kharaab meN hai!

-----------------------------

sar-ba-sar = b.ilkul
taSweer-e-Husn-e-ma'nee = Khudaa kee jaanib ishaarah hai
niqaab = veil
niSaab = "course of study"
zuhd = i'baadat kaa shauq
cawaab = achh`aa nateejah
miyaan = darmiyaan meN
marHale = manzileN
kashaa,ish = zeHmat, diqqat
zahe muHabbat = muHabbat kaa bh`alaa ho
taKhai,yyul = Khayaal, imagination
Khud-shanaase = apne aap ko pehchaan,naa
baab = daur, chapter
bood = th`aa
hast = hai
tamaashah-e-bood-o-hast = duniyaa (jahaaN sab kaa :hone/nah hone: kaa kh`el chal rahaa hai)
saHar-gazeedah = subH kee kaaTaa yaa maaraa huyaa
dood = dh`u,waaN
t^awaaf = ird-gird gh`oomna
bazm-e-Kharaab = duniyaa kee jaanib ishaarah hai
Attachments
gg-nafasnafas.jpg
gg-nafasnafas.jpg (87.44 KiB) Viewed 384 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob, waah waah.

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Sarwar A. Raz. :Sarwar: SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

BeHr-e-mutaqaarib maqbooZ (aclam) meiN aapki ghazal ke kyaa kahne. Bahut hi rangeen kalaam hei. PaRhkar behad meHzooz houaa aur mustafeed bhi. WaaqaAi bahut hi dilkash andaaz-e-bayaan hei khoobSoorat izhaar-e-khayaal ke saath. Sehbaay-e-taghazzul bhi madhoush kiye deti hei. Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT:

nafas nafas sar-ba-sar pareshaaN, naz^ar naz^ar iZ^t^iraab meN hai
magar woh taSweer-e-Husn-e-ma'nee niqaab meN th`ee, niqaab meN hai!


Kyaa kehne Sarwar SaaHib, US meiN qiyaam ke bavajood mashriqi andaaz ke walwale aur joush jo meHboob ko niqaab meiN dekhkar paidaa hourahe heiN. Yeh aap jaise shaayer kaa kamaal-e-fun hei jo AariZi Haalaat se majrooH nahiN houaa.

koyee bataaYe keh farq kaisaa yeh a'ashiqee ke niSaab meN hai
mire sawaaloN meN kab th`aa aaKhir woh sab jo un ke jawaab meN hai?


yahaaN to muAamilah Shayer aur uske meHboob ke darmiyaan kaa hei. Koii doosraa in sawaalaat aur javaabaat ke asraar se kiyuN waaqif houne ki jur'at karegaa. Waah waah. Bahut khoob.

maza nah zuhd-o-cawaab meN hai, nah lut^f jaam-o-sharaab meN hai
"Gham-e-judaayee se jaan meree a'jab t^araH ke a'Zaab meN hai" (Jur,at)


Jur'at ke miSreA per aapki gireh kaa javaab nahiN. Ghaaliban isi Husn-e-maTlaA ki bunyaad per aapke taghazzul ki yeh numaayindah ghazal kahi gayi hei.
Bahut khoob. Jab gham-e-judaayi se jaan ajab TaraH ke Azaab meiN hou to nah zuhd o cawaab meiN dilchuspi paidaa housakti hei nah jaam o sharaab se badmasti.

nah muNh se bolo, nah sar se kh`elo, a'jeeb dastoor hai tumhaaraa
salaam lene kaa yeh t^areeqah tumheeN kaho kis kitaab meN hai?


Is sheAr meiN to kuch aisi kaifiyyat hei jisko samjhne meiN zamaane lag sakte heiN lekin yeh waaqaAi taghazzul kaa kamaal hei.

miyaan-e-Khwaab-o-Khayaal-o-Hasrat talaash ke laakh` marHale th`e
rah-e-muHabbat meN kaamyaabee bataa,iYe kis Hisaab meN hai?


Jee haaN khwaab o khayaal o Hasrat ke beech aise hi marHale aate heiN jo umr kii khwaab-fizaa manzil se bahut door jaane ke baAd bhi khatm nahiN houte. Jab rah-e-muHabbat mein raahrau ki aankh khulti hei to kaamyaabi kis Hisaab meiN rehjaati hei!. Wo to us muqaam per pahunch jaataa hei ke nah kaamyaabi ki khushi nah naakaami kaa gham. Kyaa kehne, aap ne kaise kaise mazaameen baandhe heiN jo zindagi ke tajribaoN ka nichouR heiN.

kashaa,ish-o-raNj-e-hijr, taubah! kise tamanna-e-waSl hai ab
zahe muHabbat, miraa taKhai,yyul! keh Khud-shanaasee ke baab meN hai!


Bahut khoob, kashaayish to Zaroori hei magar ranj-e-hijr aur tamannay-e-vaSl to jaise khwaab se hougaye heiN. Yehi to takhayyul-e-shaayer ko shaayer khud-shnaasayi ke baab meiN meHsoos karta hei. Balkeh yehi shaayer ke mustaghniy-e-havas houne ki daleel bhi hei.

tamaashah-e-bood-o-hast aSl-e-Hayaat hai to Hayaat kyaa hai?
jo baat ab tak Hijaab meN th`ee, woh baat ab bh`ee Hijaab meN hai!


Yeh aek falsafiyaanah sheAr hei jisko samajhnaa mere bus se baahar hei lekin bahut khoob hei.

saHar-gazeedah chiraaGh-e-shab th`aa, bh`aRak bh`aRak kar jo bujh` gayaa hai
wujood, maanind-e-dood, meraa t^awaaf-e-bazm-e-Kharaab meN hai


Waah waah, kyaa kehne Sarwar SaaHib. SaHar gazeedah charaagh-e-shab kaa bhaRak bhaRak kar bujh jaanaa, bahut hi laTeef andaaz hei.

zamaanah bezaar tujh` se "Sarwar", too aap bezaar zindagee se
koyee Kharaabee to hai yaqeena" jo tujh` se Khaanah-Kharaab meN hai!


Waah waah, yeh Sirf inkisaari hi nahiN balkeh insaan ki Azmat-e-fikr hei jo khud ko Sinf-e-aadami se alag nahiN samajhtaa. Kyaa kehne.

Aapki is ghazal se mujhe bahut kuch seekhne ko milaa jiske liye aap kaa shukriyah adaa kartaa hooN.


Aapka MukhliS,
Nazir,

Last edited by Abdullah Nazir on Tue May 16, 2006 12:49 pm, edited 2 times in total.
Image
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

mukarram-e-bandah Janaab Nazir SaaHeb: aadaab a'rZ^ hai!

aap ne jis tafSeel aur dard-mandee se naacheez kee Ghazal par a'alimaanah tabSirah farmaayaa hai woh aap kaa hee HiSSah hai, warnah maiN kyaa aur meree shaa,i'ree kyaa! she'r samajh`naa to shaayad she'r kehne se ziyaadah mushkil kaam hai kyoN.k is ke liYe qaaree ko shaa,i'r ke saath^ Zehnee safar karnaa hotaa hai aur yeh aasaan naheeN hai. maiN aap kee dilsozee ke liYe mamnoon hooN.

tum salaamat raho hazaar baras!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Post by Raji »

ustaad-e-moHtaram
Aadaab-o-tasleemaat,

ek darKhwaast hai keh aap mujhe kam az kam is waqt tu aap ko "Ustaad-e-moHtaram" kehne kee ijazat de deejiye. :-)

aap kee is Ghazal ko paRhaa aur phir baar baar paRhaa yaqeen keejiye keh yeh beher aur yeh zameen mujhe betahashaa pasand hai. do ek mashoor shauraa kee isee behr meN ghazleN milee theeN tab se iskee garveedah ho gayii hooN.
aap ne tu is ka kyaa Khoob hee Haq adaa kiyaa hai.

Ghazal ke tamaam hee ashaar bohat dil-kash heN shayed ke lafz daad bhi iske saamne choTaa paRhe lekin kyaa keejiye keh iske siwaYe apnee Khushii ke taacuraat bayaan karne ka koyii tareeqaa naheeN hai so dilee daad aur mobarakbaad pesh-e-Khidmat hai.

Allah(swt) aap ko lambii u'mr SeHat-o-tandrustee ke saath ataa farmaYe. taa keh ham aap kee SalaHiyatoN se hameshah youNhii istefadah HaaSil karte reheN.

mamnoon-o-taalib-e-dua

Zahida Raees :Raji:
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

a'zeezah Zahida: aadaab!

aap kee sab baateN sar-aaNkh`oN par lekin yeh :ustaad: keh kar kab tak mujh` Ghareeb ko sataatee raheN gee? :-) ab ch`oR deN yeh takalluf!

daad ke liYe mamnoon hooN. aur du,a'a-go bh`ee!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Post by tahira Masood »

nafas nafas sar-ba-sar pareshaaN, naz^ar naz^ar iZ^t^iraab meN hai
magar woh taSweer-e-Husn-e-ma'nee niqaab meN th`ee, niqaab meN hai!


Mashallah bohat khooooooooooob

koyee bataaYe keh farq kaisaa yeh a'ashiqee ke niSaab meN hai
mire sawaaloN meN kab th`aa aaKhir woh sab jo un ke jawaab meN hai?

achaa bohat achaa

maza nah zuhd-o-cawaab meN hai, nah lut^f jaam-o-sharaab meN hai
"Gham-e-judaayee se jaan meree a'jab t^araH ke a'Zaab meN hai" (Jur,at)

nah muNh se bolo, nah sar se kh`elo, a'jeeb dastoor hai tumhaaraa
salaam lene kaa yeh t^areeqah tumheeN kaho kis kitaab meN hai?

miyaan-e-Khwaab-o-Khayaal-o-Hasrat talaash ke laakh` marHale th`e
rah-e-muHabbat meN kaamyaabee bataa,iYe kis Hisaab meN hai?

kashaa,ish-o-raNj-e-hijr, taubah! kise tamanna-e-waSl hai ab
zahe muHabbat, miraa taKhai,yyul! keh Khud-shanaasee ke baab meN hai!

tamaashah-e-bood-o-hast aSl-e-Hayaat hai to Hayaat kyaa hai?
jo baat ab tak Hijaab meN th`ee, woh baat ab bh`ee Hijaab meN hai!

wah wah subHaan Allah !!! zabardast bohat hi A'alaa dilee daad Hazir hai

saHar-gazeedah chiraaGh-e-shab th`aa, bh`aRak bh`aRak kar jo bujh` gayaa hai
wujood, maanind-e-dood, meraa t^awaaf-e-bazm-e-Kharaab meN hai

zamaanah bezaar tujh` se "Sarwar", too aap bezaar zindagee se
koyee Kharaabee to hai yaqeena" jo tujh` se Khaanah-Kharaab meN hai!


yeh kaisaa shaer hai aisaa tau nahiN hai :(
ba her Haal manzoom khoob kiyaa hai aap ne

moHt'ram aap ki yeh ghazal her ai'atbaar se pasand aa'ee
alfaaz aur andaaz donoN hi dilpazeer haiN

bohat a'alaa klaam ATaa fermaay hai aap ne shuekriyah

aap ki kisee bhee ghazal per kuch kehnaa kaafee mushkil lagta hai bilkul usi teraH jis terah suraj ko charaagh dikhaa

baa her Haal mairee naa cheez raaey Haazir hai

wassalam
live and let live

Image
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

a'zeezah Tahira: aadaab!

bohat muddat ke ba'd aap se mulaaqaat ho rahee hai. maiN aap kaa mamnoon hooN keh aap ne meree Ghazal ko shauq se dekh`aa aur woh aap ko pasand bh`ee aayee. is bandah-nawaazee ke liYe saraapaa sipaas hooN.

ab Urdu kee meHfileN itnee bohat see ho gayee haiN keh yeh sochnaa paRtaa hai keh kahaaN kahaaN kee sair kee jaaYe! Urdu ke Haq meN yeh nek faal hai. ummeed hai keh Urdu ke liYe a'alamee sat^H par naYe imkaanaat raushan hoN ge. meHnat aur lagan shart^ haiN! so woh sab log kar hee rahe haiN.

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Post by Raji »

Sarwar Raz wrote:a'zeezah Zahida: aadaab!

aap kee sab baateN sar-aaNkh`oN par lekin yeh :ustaad: keh kar kab tak mujh` Ghareeb ko sataatee raheN gee? :-) ab ch`oR deN yeh takalluf!

daad ke liYe mamnoon hooN. aur du,a'a-go bh`ee!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

moHtaram janab-e-Sarwar A. Raz "Sarwar" SaaHeb:
Aadaab-o-tasleemaat,

Khat ke jawab ke liye bohat mamnoon hooN.
maiN aap ko takallufann ustaad-e-moHtaram naheeN kehtee, balkeh Khwahishtan kehtee hoN :-)

aap se ek baat kehnaa chahooNgii keh yeh aap ka Haq hai keh aap ke sar par ustaad-e-moHtaram ka taaj sajaYaa jaaYe aur hamaaraa farZ hai keh ham jin se seekhte heN unheN dil se ustaad maaneN aur jaaneN.

ab yeh aap ka baRakpan hai keh aap apne Haq se baKhushii dast-bardaar honaa chahate heN lekin agar ham ne apnaa farZ bhi choR diyaa tu yeh ham par qarZ rahe gaa ab kyaa yeh acha lage gaaa keh ham qarZ-daar hoN :twisted: .

Wassalam

Ek honehaar shagird :grin:
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Post by tahira Masood »

Ustaad-e-moHteram

slaam-e- khuloos

aik baar phir es ghazal per dilee daad qabuul fermeeiN

wassalam
live and let live

Image
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

a'zeezah Sara SaaHebah: aadaab!

aap imtiHaan se faariGh ho gayeeN? Khudaa aap ko kaamyaab kare. Ghazal kee pasandeedagee kaa shukriyah. jaisee bh`ee hai HaaZ^ir hai! Khush rahiYe.

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Post Reply