guz#17 by haamidbaaqri

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

guz#17 by haamidbaaqri

Post by haamidbaaqri »

salaamun alaikum
mohtaram abdullah nazir saahib

aapke diye hue misre per hamaari adna kaavish qubool farmaaye.n.

arz kiya hai.........

yahaa.n ghareeb ka kisko khayaal hota hai
ghareeb shakhs ka haq paayemaal hota hai

ghareeb logo.n ka haq hai hamaari daulat mei.n
hamaara apna kahaa.n saara maal hota hai

sabhi hai.n jamm^aa kiye baithe poonjiyaa.n apni
unhe.n gumaa.n hai keh sab kuch halaal hota hai

^azaab se wohi bach paayega qayaamat mei.n
jise huqooqe bashar ka khayaal hota hai

anaaniyat ka dhuaa.n chaar soo hai dunyaa mei.n
"ab aik saans bhi lena muhaal hota hai"

jo khudgharaz hai.n ameero.n mei.n unka aye haamid
firaun ka jo hua unka haal hota hai

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

MaiN aapka beHad mamnoon hoon ke aap ne Guz.17 ke miSreA per apni TaraHi ghazal se mustafeed houne kaa mauqaA diyaa.

Ghazal ke saare ashAar hi aapke rang meiN Doobe houe heiN aur bahut hi achche heiN, jinke liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Aap ne apne maqTeA meiN "FirAun" ko "firaun" ke vazn per isteAmaal kiyaa hei jo bilkul SaHeeH hei kiyunkeh urdu shaayeri mein Harf-e-Ain ko "alif" ke vazn per isteAmaal karnaa jaayiz qaraar diyaa gayaa hei.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: Bahut khoob

Post by haamidbaaqri »

WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

MaiN aapka beHad mamnoon hoon ke aap ne Guz.17 ke miSreA per apni TaraHi ghazal se mustafeed houne kaa mauqaA diyaa.

Ghazal ke saare ashAar hi aapke rang meiN Doobe houe heiN aur bahut hi achche heiN, jinke liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Aap ne apne maqTeA meiN "FirAun" ko "firaun" ke vazn per isteAmaal kiyaa hei jo bilkul SaHeeH hei kiyunkeh urdu shaayeri mein Harf-e-Ain ko "alif" ke vazn per isteAmaal karnaa jaayiz qaraar diyaa gayaa hei.


Aapka MukhliS,
Nazir.

salaamun alaikum
mohtaram abdullah nazir saahib

aapne hamaari adna kaavish ko padha aur dil se saraaha bhi.hame.n aapka shukriya ada karna chaahiye keh aap hamesha hamaari hauslah afzaayee karte aaye.n hai.n.

hum umeed karte hai.n keh aap aaindah bhi apne zarreen mashwero.n se hame.n nawaaze.nge.

aapki mukhlisaanah daad aur mubarakbaad ke hum behad shukrguzaar hai.n.

allah(sbhnwt)aap per apni rehmato.n ki baarish kare.aameen

aapka mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Post Reply