BayaaN jo Hashr meiN ham vajh-e-aarzoo karte. Abdullah Nazir

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

BayaaN jo Hashr meiN ham vajh-e-aarzoo karte. Abdullah Nazir

Post by Abdullah Nazir »

MuHtaramaat o MuHtarameen
Ahbaab-e-sukhan,

PurkhulooS Tasleemaat, :rose

Ustaad Qamar Jalaalawi ke mandarja-e-zeil miSreA per maiN ne TabA-aazmaayi karne ki koushish ki hei.

"BayaaN jo Hashr meiN ham vajh-e-aarzoo karte"

Apni ghazal pesh karte houe khushi meHsoos karrahaa hooN aur ummeed kartaa hooN ke apni giraaNqadr aaraa se mustafeed houne kaa mauqA denge.

GHAZAL roman meiN:

basouz-e-zakhm-e-jigar kaise haa o hoo karte
agar nah ishq meiN ham tark-e-aarzoo karte

tumhaari aankhaoN ne bahkaadiyaa hameN warnah
kabhi nah jushn-e-shab-e-baadah o suboo karte

Nah jaane kitni nigaahaoN se gir gaye houte
"bayaaN jo Hashr meiN ham vajh-e-aarzoo karte"

Ghuroor se nah uThaa apnaa sar wagarnah ham
Khud apne haath se qaTA-e-rag-e-guloo karte

Vujood houtaa nah ai kaash apnaa dunyaa meiN
Nah Sarf-e-sharH-e-MuHabbat kabhi luhoo karte

Nah uThtaa sar se agar saaya-e-bahaar to ham
Chaman ke phoolaoN se rangeen guftgoo karte

Houaa nah jin se kabhi meri chashm-e-ter kaa ilaaj
Wo mere chaak girebaaN ko kyaa rafoo karte

Ghubaar-e-ranj o alam her Taraf thaa ghurbat meiN
Talaash-e-yaar bhalaa kiyuN nah koo bakoo karte

Kisi ke saamne kiyuN zikr-e-ikhtilaaf-e-nazar
Jo baat karni thii be-laag roobaroo karte

Janaazah uThgayaa kiyuN iAtibaar-e-Nazir kaa
Jo doustaoN ne kiyaa kaash wo Adoo karte.
=======

Aapka MukhliS,
Nazir.

Attachments
a_na_0523.jpg
a_na_0523.jpg (129.17 KiB) Viewed 115 times
Image
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

Mohtaram Abdullah Nazir saheb
Tasleemaat
aap ki ghazal behad pasand aayyii
Sabhi asha'ar apni jagah khoob haiN
meri janib se daad qabool kijye
wasalaam
zmufti
Daanish
-
-
Posts: 448
Joined: Sun Feb 05, 2006 2:02 pm
Location: jahaan-e-kharaab
Contact:

Post by Daanish »

Mohtarami Nazir Saheb
aadaab
aap ki Ghazal nazar nawaaz hui. aur kya kahuN--har shayr lateef aur dilkash. waah!
is Khoobsoorat taKhleeq par meri jaanib se dili daad-o-mubarakbaad qubool farmaaiye.
Khaaksaar
Daanish
rau meiN hai raksh-e-umr kahaN dekhiye thhame
nay haath baag par hai na paa hai rikaab meiN--Ghalib
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

mukarramee Nazir SaaHeb:aadaab!

aap kee yeh Ghazal kayee din huwe dekh`ee th`ee lekin kuch` likh`ne kee himmat naheeN paRtee th`ee. aaj sochaa keh jahaaN is Ghazal ke Hawaaleh se aap kee qaadirul-kalaamee kee daad pesh karooN gaa waheeN apnee ta'leem kee Khaat^ir tashreeH kee bh`ee darKhwaast kar dooN gaa. ummeed hai keh meree ma'rooZ^aat ko isee tanaaz^ur meN dekh`eN ge.

sab se pehle to ek nihaayat dil-paZeer Ghazal par daad qubool keejiYe. alfaaz^-o-bayaan kee jo mahaarat is se z^aahir hai us se ham sab bohat kuch` seekh` sakte haiN.

mujh` ko ek she'r kee fehm meN th`oRee see diqqat huyee. shaayad yeh meree hee kotaahee hai. agar aap tashreeH kar deN to yeh Khalish dil se nikal jaaYe gee. yehee is Khat^ kaa maqSad bh`ee hai:
------------------------
nah jaane kitni nigaahaoN se gir gaye houte
"bayaaN jo Hashr meiN ham vajh-e-aarzoo karte"

sawaal yeh hai keh Hashr meN to nafsaa-nafsee kaa a'alam ho gaa. kisee ko kisee kee fikr nah ho gee. aap wajh-e-aarzoo agar kareN ge bh`ee (go is kaa Hashr meN kyaa maqaam? ab aarzoo kaa kyaa mauqa' hai?) to woh Allah se hee kareN ge! kisee aur kee nigaahoN se girne kaa koyee sawaal hee naheeN paidaa hotaa hai. is liYe pehle miSre' kee ma'naviyyat mashkook huyee.

az raah-e-karam she'r kaa mat^lab samjh`aa kar meree uljh`an ko door farmaaYeN. shukriyah!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut shukriyah

Post by Abdullah Nazir »

mukarramee Nazir SaaHeb:aadaab!

aap kee yeh Ghazal kayee din huwe dekh`ee th`ee lekin kuch` likh`ne kee himmat naheeN paRtee th`ee. aaj sochaa keh jahaaN is Ghazal ke Hawaaleh se aap kee qaadirul-kalaamee kee daad pesh karooN gaa waheeN apnee ta'leem kee Khaat^ir tashreeH kee bh`ee darKhwaast kar dooN gaa. ummeed hai keh meree ma'rooZ^aat ko isee tanaaz^ur meN dekh`eN ge.

MuHtarami
Sarwar A. Raz. :Sarwar: SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

MaiN aapkaa beHad shukrguzaar hooN ke aap ne apni be inthaa maSroofiyat ke bawujood meri ghazal kii na Sirf pazeerayi farmaayi balkeh us per raushni bhii Daali. Aap ne likhkhaa hei:

sab se pehle to ek nihaayat dil-paZeer Ghazal par daad qubool keejiYe. alfaaz^-o-bayaan kee jo mahaarat is se z^aahir hai us se ham sab bohat kuch` seekh` sakte haiN.

mujh` ko ek she'r kee fehm meN th`oRee see diqqat huyee. shaayad yeh meree hee kotaahee hai. agar aap tashreeH kar deN to yeh Khalish dil se nikal jaaYe gee. yehee is Khat^ kaa maqSad bh`ee hai:
------------------------
nah jaane kitni nigaahaoN se gir gaye houte
"bayaaN jo Hashr meiN ham vajh-e-aarzoo karte"

sawaal yeh hai keh Hashr meN to nafsaa-nafsee kaa a'alam ho gaa. kisee ko kisee kee fikr nah ho gee. aap wajh-e-aarzoo agar kareN ge bh`ee (go is kaa Hashr meN kyaa maqaam? ab aarzoo kaa kyaa mauqa' hai?) to woh Allah se hee kareN ge! kisee aur kee nigaahoN se girne kaa koyee sawaal hee naheeN paidaa hotaa hai. is liYe pehle miSre' kee ma'naviyyat mashkook huyee.

Hashr ke baare meiN aapki wahi maAloomaat heiN jo meri heiN. Mere sheAr meiN yeh kahaa gayaa hei:

is meiN bashar ki koii takhSeeS nahiN ki gayi hei jo nafsaa nafsi ke Aalam meiN rahenge. Kyaa ham Allah, unke rasool-e-ShaafiA aur farishtaoN ki nigaahaoN kaa taSavvur nahiN karsakt?

Mujhe apni maAloomat ke baare meiN teHqeeq karni paRegi keh kyaa bashariyyat ke Haal ki TaraH saari makhlooqaat ka Haal hougaa jin meiN farishte, jin aur aisi kaamyaab rooHeN houngi. Ab baat reh jaati hei ke agar maiN Hashr ki baat karrahaa hooN to doosraoN ki nigaahaoN meiN meri zaat kaise aayegi. Iskaa to javaab us waaqiAe se mil jaataa hei jis meiN jannat ke aek shakhS ki douzakh ke aek shakhS se guftgu houti hei.

BaHarHaal, Sarwar SaaHib aap befikr rehiye ke agar ye miSraA hi nahiN balkeh poori ghazal bhi ghalaT caabit houjaaye to mujhe aap se hi nahiN balkeh kisi se koii shikaayat nahiN hougi. MaiN to aek maAmooli saa Taalib-e-ilm hooN jo khud ko khaak-e-paay-e-ahl-e-sukhan samajhtaa hei. Shukriyah.

Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Re: Bahut shukriyah

Post by Sarwar A. Raz »

WEBMASTER wrote:mukarramee Nazir SaaHeb:aadaab!

aap kee yeh Ghazal kayee din huwe dekh`ee th`ee lekin kuch` likh`ne kee himmat naheeN paRtee th`ee. aaj sochaa keh jahaaN is Ghazal ke Hawaaleh se aap kee qaadirul-kalaamee kee daad pesh karooN gaa waheeN apnee ta'leem kee Khaat^ir tashreeH kee bh`ee darKhwaast kar dooN gaa. ummeed hai keh meree ma'rooZ^aat ko isee tanaaz^ur meN dekh`eN ge.

MuHtarami
Sarwar A. Raz. :Sarwar: SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

MaiN aapkaa beHad shukrguzaar hooN ke aap ne apni be inthaa maSroofiyat ke bawujood meri ghazal kii na Sirf pazeerayi farmaayi balkeh us per raushni bhii Daali. Aap ne likhkhaa hei:

sab se pehle to ek nihaayat dil-paZeer Ghazal par daad qubool keejiYe. alfaaz^-o-bayaan kee jo mahaarat is se z^aahir hai us se ham sab bohat kuch` seekh` sakte haiN.

mujh` ko ek she'r kee fehm meN th`oRee see diqqat huyee. shaayad yeh meree hee kotaahee hai. agar aap tashreeH kar deN to yeh Khalish dil se nikal jaaYe gee. yehee is Khat^ kaa maqSad bh`ee hai:
------------------------
nah jaane kitni nigaahaoN se gir gaye houte
"bayaaN jo Hashr meiN ham vajh-e-aarzoo karte"

sawaal yeh hai keh Hashr meN to nafsaa-nafsee kaa a'alam ho gaa. kisee ko kisee kee fikr nah ho gee. aap wajh-e-aarzoo agar kareN ge bh`ee (go is kaa Hashr meN kyaa maqaam? ab aarzoo kaa kyaa mauqa' hai?) to woh Allah se hee kareN ge! kisee aur kee nigaahoN se girne kaa koyee sawaal hee naheeN paidaa hotaa hai. is liYe pehle miSre' kee ma'naviyyat mashkook huyee.

mukarramee Nazir SaaHeb: aadaab!

jawaab ke liYe bohat mamnoon hooN. in meHfiloN meN tabSireh kaa maqSad Sirf tabaadilah-e-Khayaal hai. kisee kee Ghazal kee tanqeeS yaa us kee tardeed kaa kyaa sawaal hai? aap meree jaanib se to kam se kam aisee ummeed nah rakh`eN. Khair! aap ke jawaab ne ek aur sawaal paidaa kar diyaa hai. so pooch`e letaa hooN.

Hashr ke baare meiN aapki wahi maAloomaat heiN jo meri heiN. Mere sheAr meiN yeh kahaa gayaa hei:
nah jaane kitni nigaahaoN se gir gaye houte
is meiN bashar ki koii takhSeeS nahiN ki gayi hei jo nafsaa nafsi ke Aalam meiN rahenge. Kyaa ham Allah, unke rasool-e-ShaafiA aur farishtaoN ki nigaahaoN kaa taSavvur nahiN karsakt?

Mujhe apni maAloomat ke baare meiN teHqeeq karni paRegi keh kyaa bashariyyat ke Haal ki TaraH saari makhlooqaat ka Haal hougaa jin meiN farishte, jin aur aisi kaamyaab rooHeN houngi. Ab baat reh jaati hei ke agar maiN Hashr ki baat karrahaa hooN to doosraoN ki nigaahaoN meiN meri zaat kaise aayegi. Iskaa to javaab us waaqiAe se mil jaataa hei jis meiN jannat ke aek shakhS ki douzakh ke aek shakhS se guftgu houti hei.

meree naacheez samajh` ke mut^aabiq do baateN qaabil-e-Zikr haiN:

(1) Hashr ke din kisee aarzoo kaa iz^haar mo'tabar naheeN hai. ab to waqt guZar chukaa, ham zindagee se faariGh ho chuke. ab to sazaa-o-jazaa kaa lamHah hai! kaisee aarzoo aur kis kee aarzoo? dunyaa meN aarzoo kar sakte th`e lekin roz-e-Hashr yeh mumkin naheeN hai.

(2) ham Allah, us ke rasooloN aur farishtoN kee nigaahoN kaa taSawwur Z^aroor kar sakte haiN. albattah us din siwaaYe Allah ke kisee kee nigaah kee kyaa ahamiyyat hai? agar Allah kee nigaah se utar gaYe to ph`ir kisee aur kee nigaah meN utarne yaa chaRhne se koyee farq naheeN paRtaa hai! aur agar kisee kee nigaah se utar bh`ee gaYe to woh bh`ee to Allah kee marZ^ee se hee ho gaa keh rasool hoN yaa farishte sab hee us kee marZ^ee aur Hukm ke paaband haiN!

BaHarHaal, Sarwar SaaHib aap befikr rehiye ke agar ye miSraA hi nahiN balkeh poori ghazal bhi ghalaT caabit houjaaye to mujhe aap se hi nahiN balkeh kisi se koii shikaayat nahiN hougi. MaiN to aek maAmooli saa Taalib-e-ilm hooN jo khud ko khaak-e-paay-e-ahl-e-sukhan samajhtaa hei. Shukriyah.

Aapka MukhliS,
Nazir.[/i]
aap ke Khat^ kaa yeh HiSSah mujh` ko a'jeeb saa lagaa. bh`aayee! aap kee Ghazal ko kaun Ghalat^ caabit karne kee koshish kar rahaa hai? yeh to ek adabee nuktah hai jis kee SaraaHat ho jaaYe to behtar hai. Alla Allah Khair SalaaH!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut bahut shukriyah

Post by Abdullah Nazir »

MuHtarami Sarwar A. Raz :Sarwar: SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapke mukarrar TabSireh ke liye beHad shukrguzaar hooN. Agar guftgu ko aap ifhaam o tafheem ke liye ThunDe dil se jaari rakhnaa chaahte heiN to mujhe khushi hougi ke aap se mustafeed housakuN.
Aap ne likhkhaa hei:

meree naacheez samajh` ke mut^aabiq do baateN qaabil-e-Zikr haiN:

(1) Hashr ke din kisee aarzoo kaa iz^haar mo'tabar naheeN hai. ab to waqt guZar chukaa, ham zindagee se faariGh ho chuke. ab to sazaa-o-jazaa kaa lamHah hai! kaisee aarzoo aur kis kee aarzoo? dunyaa meN aarzoo kar sakte th`e lekin roz-e-Hashr yeh mumkin naheeN hai.

(2) ham Allah, us ke rasooloN aur farishtoN kee nigaahoN kaa taSawwur Z^aroor kar sakte haiN. albattah us din siwaaYe Allah ke kisee kee nigaah kee kyaa ahamiyyat hai? agar Allah kee nigaah se utar gaYe to ph`ir kisee aur kee nigaah meN utarne yaa chaRhne se koyee farq naheeN paRtaa hai! aur agar kisee kee nigaah se utar bh`ee gaYe to woh bh`ee to Allah kee marZ^ee se hee ho gaa keh rasool hoN yaa farishte sab hee us kee marZ^ee aur Hukm ke paaband haiN!

MaiN yahaN ustaad Qamar Jalaalawi ke sheAr likhtaa hooN jiske pahle miSreA ko TaraHi miSrA maan kar apni ghazal kahi hei:

BayaN jo Hashr meiN ham vaJh-e-aarzoo karte
wo kyaa heiN unke farishte bhi guftgoo karte

Meri nazar meiN pahlaa miSraA bilkul SaHeeH hei aur aapki nazar meiN ghalaT. Is ikhtilaaf-e-nazar per maiN aap se ifhaam o tafheem kaa silsilah is bunyaad per jaari rakh saktaa hooN ke aSl miSraA ustaad Qamar Jalaalawi kaa hei.

Aapke doosre nuqta-e-nazar ke baare meiN pahle hi likh chukaa thaa ke Hashr meiN kyaa kyaa hougaa uski teHqeeq karni paRegi.
Is silsile meiN aapko tafSeeli maAloomaat heiN to meri maAloomaat meiN iZaafah keejiye. Macalan kyaa jo afraad Hashr meiN houNge wo khud apnee guzri houi Khataa'oN per sharmindagi kaa izhaar nahiN kareNge. Kyaa muAafi Talab nahiN karengi. Yeh sab baateN apne dimaagh se nahiN kahi jaasakteeN. Housaktaa hei aapko ilm hou lekin maiN apni kam-ilmi kaa iAtiraaf kartaa hooN aur ahl-e-ilm se maAmoomaat HaaSil karne ki koushish karungaa.

Apni ghazal ke baare meiN jo maiN ne likhkhaa hei ke agar poori ghazal bhi qaabil-e-iAtiraaZ ho tou usko apne kalaam se miTaadene se koii farq nahiN paRtaa kiyuNkeh maiN khud ko aek Taalib-e-ilm samajhtaa hooN jis se akcar ghalatiyaaN housakti heiN aur houti heiN. In baataon per aapko barham dekhkar maiN yeh samajhne per majboor hougyaa hooN ke shayad mujhko urdu ki ibaarat bhi nahiN likhni aati. Aap yaqeen keejiye baAZ auqaat mujhe mubtadi shoAaraa aur shaayeraat se kuch aisi baataiN maAloom houti heiN jin ki raushni meiN apni ghalatiyaoN kaa iAtiraaf karnaa paRtaa hei. Meraa maqSad aapki tanqeeS yaa tauheen nahiN hei. Aapki aur meri baat cheet jo hourahi hei wo sheAr o adab ke baare meiN hei. Aapki yaa meri shakhSiyaat kisi qism ki shakhSi tanqeed aur tauheen se bilkul bari heiN.

BaharHaal maiN aapkaa shukrguzaar hooN aur teHqeeq ke ba'Ad hee Hashr ke Haalaat ke baare meiN tafSeeli guftgu karsakooNgaa.

Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
Post Reply