salaamun alaikum
dosto
aik aur tarhi ghazal aapke hawaale kar rahe hai.n.
gar qubool uftad zahe....
arz kiya hai..........
nayki ki raah per chalo,yeh raah purbahaar hai
zaahir mei.n khaardaar hai,baatin mei.n khushgawaar hai
too bandagi khuda ki kar,darna hai gar khuda se dar
logo.n se too kabhie nah dar,gar haq se tujhko pyaar hai
islaam raahe amn hai,dahshat ki raah yeh nahi.n
dahshat ki raah jo chaley,usper khuda ki maar hai
^aqle saleem hai jahaa.n,karte nahi.n woh lab bayaa.n
"yeh kya jagah hai dosto,yeh kaunsa dayaar hai"
aa bandagi sikhaawoo.n mai.n, bandah tujhe banaawoo.n mai.n
haamid jahaa.n mei.n chaar soo,ahmed(s.a.w.)ki yeh pukaar hai
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah[/b]
"yeh raah khushgawaar hai"tarhi ghazal
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
"yeh raah khushgawaar hai"tarhi ghazal
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
Re: "yeh raah khushgawaar hai"tarhi ghazal
salaamun alaikumsara_j wrote:wah hamid bhai! bohat khoob! aapke apne makhsoos
rang mien bohat hi khoobsurat takhleeq per daad aur
mubarakbaad qubool keejiye
haamidbaaqri wrote:salaamun alaikum
dosto
aik aur tarhi ghazal aapke hawaale kar rahe hai.n.
gar qubool uftad zahe....
arz kiya hai..........
nayki ki raah per chalo,yeh raah purbahaar hai
zaahir mei.n khaardaar hai,baatin mei.n khushgawaar hai
too bandagi khuda ki kar,darna hai gar khuda se dar
logo.n se too kabhie nah dar,gar haq se tujhko pyaar hai
islaam raahe amn hai,dahshat ki raah yeh nahi.n
dahshat ki raah jo chaley,usper khuda ki maar hai
^aqle saleem hai jahaa.n,karte nahi.n woh lab bayaa.n
"yeh kya jagah hai dosto,yeh kaunsa dayaar hai"
aa bandagi sikhaawoo.n mai.n, bandah tujhe banaawoo.n mai.n
haamid jahaa.n mei.n chaar soo,ahmed(s.a.w.)ki yeh pukaar hai
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah[/b]
azeez behen sara
aapki mukhlisaanah daad aur mubaarakbaad ke hum behad mamnoono mashkoor hai.n.
jazakallah
iltemaase dua
aapka apna bhai
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHNib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki ye TaraHi ghazal pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye. Ummeed ke isi TaraH se aayind bhee apne kalaam se navaazte rahenge.
Aapka MukhliS,
Nazir.
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
Re: Bahut khoob
salaamun alaikumWEBMASTER wrote:
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHNib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki ye TaraHi ghazal pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye. Ummeed ke isi TaraH se aayind bhee apne kalaam se navaazte rahenge.
Aapka MukhliS,
Nazir.
mohtaram abdullah nazir saahib
ghazal ki pasandeedgee,aapki mukhlisaanah daad aur mubaarakbaad ke hum behad mamnoono mashkoor hai.n.
allah(sbhnwt)aap per apni khaas nazre karam farmaaye.aameen
aapka mukhlis