DostoN,
Sukhanwar ke maahaanah tarhee mushaire meN tarhee misraa diyaa gayaa thaa: ye kyaa jagah hai dostoN, ye kaun saa dayaar hai.
Mushaire meN jo ghazal maiN ne kahee thee, yahaaN bhi pesh kartaa huN:
ujaaRkar chaman miraa, wo jaa rahee bahaar hai
---------------------------------------------------------------
ujaaRkar chaman miraa, wo jaa rahee bahaar hai
nah gul kaheeN, nah booTa, bas ghubaar hee ghubaar hai
mujhe khabar to hai ke ab miraa jigar figaar hai
magar maiN dil ka kyaa karooN? ye tishna-e-khumaar hai
maiN ro chukaa huN baarhaa, ye chashm bhee haiN naatawaaN
kaheeN jo ashk baaqi hai, so taalib-e-qaraar hai
ye shehr-e-dil ko kyaa huaa, kahaaN hai wo sanamkadaa?
yahaaN jo dekhiye to bas, lutaa sa ik mazaar hai
khirad ke rang-e-khaam, aaj aaNsuwoN meN dhul gaye
junooN pukaartaa hai phir, muHaal ikhtiyaar hai
safar jahaaN huaa tamaam, shehr hai na dasht hai
"ye kyaa jagah hai dostoN? ye kaun saa dayaar hai?"
wohee mareez-e-gham, wohee Munawwar-e-figaar huN
wohee huN, aye qazaa, tujhe bhi jiska intezaar hai
-----------------------------------------------------------------------
Apne fikr-o-khayaal se nawaaznaa na bhooliyegaa!
Aapkaa mamnoon,
Munawwar
Tarhee ghazal: ujaaRkar chaman miraa
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
Tarhee ghazal: ujaaRkar chaman miraa
Bhaswar Dasgupta "Munawwar"
------------------------------------
Kabhii khursheed kii raunaq pe chhaayaa thaa nashaa yaaroN
Sunaa hai ke usii din ko "Munawwar" jee huyeN paidaa!
------------------------------------
Kabhii khursheed kii raunaq pe chhaayaa thaa nashaa yaaroN
Sunaa hai ke usii din ko "Munawwar" jee huyeN paidaa!
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob
MuHtarami o Azeezi
Munawwar SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki yeh ghazal nah jaane kis TaraH meri nazar se puchgayi. Bahut dilkash aahung meiN khoobSoorat mazaamen heiN. Is takheeq per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka MukhliS,
Nazir.