sabki khidmat meN salaam
aik taazah tereen ghazal pesh-e-khidmat hai
apnee qeemti aara se zaroor nawaaziye gaa
wassalam
1- nok-e-mizhgaaN peh jo ubheray heN giraa dau inko
es baghaawat ki kaRee aik sazaa dau inko
2- khoon-e-dil per yeh umaDte hi chalay aatay heN
ko'ee t'Azeer anokhee si sunaa dau inko
3- inkaa izhaar bheee ik t'anah kahiN bann jaaey
haath ki pusht se yak lakht miTaa dau inko
4-Zabt gar ho nah saky bar sar-e-meHfil jo kabhee
tum tabassum ki rdaaoN meN chupaa dau inko
5- qadr inkee nahiN es duniya k eewaanoN meN
ho sake tau kabhee sajdoN meN sajaa dau inko
6-seer -HaaSil jo baSeerat ki talab ho tumko
Khaak-e-taibah k zarroN peh lutaa dau inko
7- inkee qeemat nahiN kuch duniya k baazaroN meN
aik taajar hai khareedaar bataa dau inko
8- ashk woh aab keh jo aab-e-shifaa eSyaaN ko
daagh dhone ko gunaahoN k behaa dau inko
nok-e-mizhgaaaN peh......
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 338
- Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm
nok-e-mizhgaaaN peh......
Last edited by tahira Masood on Tue Jun 06, 2006 2:43 pm, edited 1 time in total.
live and let live
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob
MuHtaramah
Tahirah Masood SaaHibah,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki is ghazal se meri nazar kaise chook gayi patah nahiN. Aaj hi nazar paRi to mukhtaSar se tabSireh ke saath HaaZir hougayaa hooN.
1- Ghazal ke saare ashAar beHr meiN heiN.
2- Lafz "inko" jo aansuwaoN ki Taraf ishaarah karrahaa hei usko baAz ashAar meiN ghazal ke doosre ashAar ke tanaazur meiN smajhne ki Zaroorat pesh aarahi hei.
3- TafSeeli TabSireh ki Zaroorat hei jisko maiN doosre aHbaab per chouRtaa hooN.
Ghazal laayiq-e-daad o teHseen hei. Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka MukhliS,
Nazir.
-
- -
- Posts: 338
- Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm
Re: Bahut khoob
WEBMASTER wrote:

moHteram mukarram Abdullah Naazir Saheb
assalamo alaikum w.w
aap kaa yeh mukhtaSir tabsirah dekhaa yaqeen kereN keh beHad khushee huee
aap ne jis teraH meri HuSlah afza'ee fermaa'ee hai woh qaabil-e-sad teHseen hai. shyekriyah mehrbaani
maire paas alfaaz nahiN keh men shukleriyah adaa ker sakoN
dil se mamnoon hoN
Jazkomullaho Khairaa
Khush raheN
wassalam
live and let live
-
- -
- Posts: 338
- Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm