salaam dosto,
aapkii Khidmat meN maiN apna yeh kalaam le kar Haazir huaa huuN. ummeed hai ki shaayad aapko pasand aaye. aapkii aaraa ka intezaar rahegaa. shukria.
1.
na maiN ranj huuN na malaal huuN, na huuN soz-e-'ishq-e-'azaab meN
na mira jamaal hai dil_shikan, jo hai tere vasf-e-Khitaab meN
2.
kabhii huuN maiN qatra-e-aarzoo, kabii huuN maiN bai'Hr-e-sahaab-e-hoo
kabhii huuN maiN bar sar-e-neh_falak, kabhii tashna zer-e-toraab meN
3.
kabhii rai'HmatoN ka nuzool huuN. kabhii zulmatoN ka zuhoor huuN
nahiiN kuchh Khabar ki huuN maiN kahaaN tire kaar_saaz-e-Hisaab meN
4.
kabhii Husn meN tire saaz hai, kabhii 'ishq meN tire naaz hai
kabhii lazzatoN kii hai dil_bariitire mast daab-e-Hobaab meN
5.
kabhii dil meN teraa makaan hai, kabhii 'arsh pe tirii shaan hai
yeh kise Khabar ki hai raaz kia jo chhupaa hai tere Hijaab meN
6.
tujhe chhoR kar tirii shaan par merii arzoo hai khiNchii to kia
merii hastii, go! sanam_aashnaa, sar-e-Kham khaRii hai janaab meN
7.
teh-e-Khaak tujhko dabaa diyaa hai Khumaar-e-zohd_o_Ghuroor ne
kise, "Sai'hbaa_Jii!", yeh pataa chalaa ki hai kaun mast-e-sharaab meN
na maiN ranj huN na malal huN na huN soz-e-ishq-e-azaab meN
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact:
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
bahut khoob
MuHtaram
HASHMAT USMANI Saahib
Purkhuloos Tasleemaat, :)
Aapki ghazal paRhkar bahut khushi houi. Gahre mazaameen kaa AHaaTa karne kii koushish bahut khoob hei.
Tafseeli tabsirah karne meiN bahut ziyaada waqt kii zaroorat paish aati hei. Lekin itnaa zaroor kahungaa keh bahut achchi koushish kii hei aap ne jiske liye maiN aapko daad aur mubaarkbaad paish kartaa hooN.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
-
- -
- Posts: 98
- Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am
Hashmat Sb, aadaab!
yaad nahiiN ki is se qabl aap kii koii taKhleeq nazar se guzrii hai yaa nahiiN. baharhaal, aap kii Ghazal pasand aayii. daad qubuul keejiye!
baar-e-Khaatir na guzre to arz hai ki alfaaz aur taraakeeb kii ne.rangiyoN ke baavujuud mujhe asar.pazeerii aur Khush.bayaanii kii kamii mahsuus huii. kayii ash.aar kaa mafhuum un kii daqeeq bunat meN ulajh kar rah gayaa hai. merii naacheez raae hai ki aap is jaanib tavajjuh farmaayeN.
ek baat aur! ALUP aur eBazm par ek Aslam Saihbaa Sb aayaa karte the jo ek muddat se nazar nahiiN aaye. kahiiN aap vuhii Saihbaa Sb to nahiiN?
niyaazmand,
Irfan :Abid:

Assalam-o-a'laikum,
moHtarami Hashmat Usmaani SaaHib,
mashaa Allah , nazar na lage , aap ne to kamaal kardiyaa Huzoor !
baht hi dil-kash ghazal i'nayat farmaaii aapne !! , maiN to dil thaam thaam k ghazal paRhtaa raha . kyaa andaaz-e-bayaaN hai !! waah ! wallah lutf aagaya !! :D . mazaamen nihaayat khoob baaNdhe haiN aap ne !! mujhe tamaam asha'aar hi bahut pasand aaye janaab!!
DheroN daad qabool farmaaye :) . shukriya
mokhliS : Zia Baloch

Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch

- Posts: 338
- Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm
Re: na maiN ranj huN na malal huN na huN soz-e-ishq-e-azaab
na maiN ranj huuN na malaal huuN, na huuN soz-e-'ishq-e-'azaab meN
na mira jamaal hai dil_shikan, jo hai tere vasf-e-Khitaab meN
2.
kabhii huuN maiN qatra-e-aarzoo, kabii huuN maiN bai'Hr-e-sahaab-e-hoo
kabhii huuN maiN bar sar-e-neh_falak, kabhii tashna zer-e-toraab meN
3.
kabhii rai'HmatoN ka nuzool huuN. kabhii zulmatoN ka zuhoor huuN
nahiiN kuchh Khabar ki huuN maiN kahaaN tire kaar_saaz-e-Hisaab meN
4.
kabhii Husn meN tire saaz hai, kabhii 'ishq meN tire naaz hai
kabhii lazzatoN kii hai dil_bariitire mast daab-e-Hobaab meN
5.
kabhii dil meN teraa makaan hai, kabhii 'arsh pe tirii shaan hai
yeh kise Khabar ki hai raaz kia jo chhupaa hai tere Hijaab meN
6.
tujhe chhoR kar tirii shaan par merii arzoo hai khiNchii to kia
merii hastii, go! sanam_aashnaa, sar-e-Kham khaRii hai janaab meN
7.
teh-e-Khaak tujhko dabaa diyaa hai Khumaar-e-zohd_o_Ghuroor ne
kise, "Sai'hbaa_Jii!", yeh pataa chalaa ki hai kaun mast-e-sharaab meN
waise to ghazal bahut achchi lagi..han kahin kahin smajhne mein mushkil pesh aayi..kya hi achcha ho itne mushkil alfaaz istimaal karte waqt..uske maayne bhi darj kar diya karein
Daad haazir hai! 8)
Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai