slaam
aik aazad nazm aap sabki baSaaratoN ki nazr.
wassalam
malgajee surmm'ee shaam dhalay
ufaq k uss paar
jab thakaa maaNdaa suraj
raat ki chilman giraata hai
jab pankh pakhairuu
din bher daanah dunkaa chug ker
apnee apnee manzil ko
meHv-e-kharaam hotay haiN
jab masjdoN se pr swz azaanen ubherti heN
tab ham sochtay haiN keh
es din meN ham ne
kayaa khoyaa kayaa paaya
Rabb ko kho ker duniya pa'ee yaa
dnia kho ker Rabb ko paaya
aur yeh bhee tua ikk Haqeeqat hai
keh zindagee ki HaseeN maala kaa
ikk aur motee jhaR gayaa hai
...........................................
Raat aur din dhaltay haiN
yuN mah-o-saal guzrtay haiN
aur mosam badaltay haiN
kabhee jaarOn ki raat hotee hai
aur kabhi germiyoN meN aaNgan meN
raat k pichlay pehr ki ThanDee shabnam
bistroN ko bhigotee hai
phir bahaaroN meN phool khiltay heN
saawan rut meN ghnay paiRauB peh
jhoolay Daltay heN
aisay meN yuN gumaan hotaa hai
keh jaise ham azal se thay
taa abadd rehaiN ge ham yuNhi
magar yeh bhee ikk Haqeeqat hai
her ikk shae aani jaani hai
saari duniaa seraa-e-faani hai
kehnay ko waqt guzer jaata hai
deraSal ham guzer rehay heN sabhee
deraSal ham guzer rehay heN sabhee
Haqeeqat
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
daad qubool keejiyhe
MuHtaramah
Tahira Masood Saahibah,
Tasleemaat,
Aapki yeh aazaad nazm pasand aayi jiske liye meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Khair andesh,
Nazir.
Tahira Masood Saahibah,
Tasleemaat,
Aapki yeh aazaad nazm pasand aayi jiske liye meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Khair andesh,
Nazir.