kisee bhi shakhS ke itnaa qareeb mat jaa dost !
keh phir a'laiHidagee naaguzeer ho jaa.ay
ik aik yaar meN pinhaaN a'doo nazar aa.ay
har aik rishtah-o-bandhan Haqeer ho jaa.ay
agarcheh rishtah-o-paiwand aTooT heN akcar
zaraa see dair meN lekin yeh TooT jaatay heN
firaaq chaahiye in ki nash-o-numaa ke liye
keh roz milne se bhi dost rooTh jaatay heN
Aapki nazm AlaaHidagi bahut pasand aayi, jis ke liye meri dilli daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye. Ummeed, aapkaa mazeed kalaam paRhne ko milegaa.

Aapka MukhliS,
Nazir.
muHtaramee Abdullah Nazir SaaHib!
assalamOalaikuM
aap kee HoSlah.afzaa.ee kaa beHad shukriyah-aap hameshah meree Haqeer see koshishoN ko saraahte heN,, is se dil baRaa ho jaataa hay
ma'loom yeh karnaa thaa keh lafz "nashw-o-numaa" ki jagah "nash-o-numaa" kaa isti'maal kesaa hay ??
kisee bhi shakhS ke itnaa qareeb mat jaa dost !
keh phir a'laiHidagee naaguzeer ho jaa.ay
ik aik yaar meN pinhaaN a'doo nazar aa.ay
har aik rishtah-o-bandhan Haqeer ho jaa.ay
agarcheh rishtah-o-paiwand aTooT heN akcar
zaraa see dair meN lekin yeh TooT jaatay heN
firaaq chaahiye in ki nash-o-numaa ke liye
keh roz milne se bhi dost rooTh jaatay heN
behn Sara J !
aap ki bhi mukhtaSar aur Haqeeqat se bharpoor daad bahut pasand aa.ee-