Yaaran-e-meHfil, aadaab arz hai
Hasb-e-ma'mool aek t^aveel waqfe k baa'd Haaz^ir-e-Khidmat hoN aek nayee kaavish k saath
ab aap se kis moNh se kahooN k reply kejeyga k aap to jaante haiN k eeN Hazrat ka silsal-e-Ghiyaab kis qadar moHktaSar hai ! phir bhi ummed par dunyaa qaai'm hai , so lejeye Ghazal Haazir hai:
10 asha'aar haiN
mat^la' a'rZ^ hai k
1.
woh din bahaar k jab yaad aane lagte haiN
to dil k daaGh a'jab jagmagaane lagte haiN
2.
sharaab Khaane pe jab abr chhaane lagte haiN
tumhaari yaad se ham faiZ^ paane lagte haiN
3.
ham ahl-e-dasht-e-junooN jab bhi gaane lagte haiN
saHar k qaafle gulshan se aane lagte haiN
4.
bahaar aati hai to ham wafaa k pholoN se
shab-e-firaaq k gaisoo sajaane lagte haiN
5.
tiraa Khayaal rag-o-pay maiN youN utartaa hai
k zihn-o-dil k diye TimTimaane lagte haiN
6.
chaman maiN aate haiN naaz-o-niyaaz key mausam
to tere hijr maiN aaNsoo bahaane lagte haiN
7.
mataa'-e-shauq luTaatee hai aaNkh saaqee ki
to ham bhi dil k Khazaane luTaane lagte haiN
8.
tamaam u'mr guzaaree ye soch kar ham ne
tumheN bhulaane maiN kitne zamaane lagte haiN
9.
chaman se jab bhi guzartee hai gungunaa k Sabaa
t^iyoor-e-kunj-e-qafas phaRphaRaane lagte haiN
10.
uThoo Zia k gulistaaN ki yaad taaza kareN !
saHar k waqt chaman waale gaane lagte haiN !
..............................................................................................................
shukriya
Zia Baloch
:: woh din bahaar k jab yaad aane lagte haiN ::
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
:: woh din bahaar k jab yaad aane lagte haiN ::
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob, waah waah
Azeezi
Zia Baloch SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki yeh ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Apni beHad maSroofiyat ki vajh se tafSeeli tabSirah karne se qaaSir hooN. MaAzirat khwaah hooN.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Bradaram :Zia Baloch:bahaar aati hai to ham wafaa k pholoN se
shab-e-firaaq k gaisoo sajaane lagte haiN
5.
tiraa Khayaal rag-o-pay maiN youN utartaa hai
k zihn-o-dil k diye TimTimaane lagte haiN
6.
chaman maiN aate haiN naaz-o-niyaaz key mausam
to tere hijr maiN aaNsoo bahaane lagte haiN
7.
mataa'-e-shauq luTaatee hai aaNkh saaqee ki
to ham bhi dil k Khazaane luTaane lagte haiN
8.
tamaam u'mr guzaaree ye soch kar ham ne
tumheN bhulaane maiN kitne zamaane lagte haiN
9.
chaman se jab bhi guzartee hai gungunaa k Sabaa
t^iyoor-e-kunj-e-qafas phaRphaRaane lagte haiN
Zia Baloch
Aadaab,
meHfil se aap tu youN Ghaa,ib hoove jaise...? :)
aap ko tu har baar welcome back karnaa paRhta hai.
Ghazal ka majmooii rang achaa hai. tafseelii aaraa ke liye filHaal waqt naheeN hai isliye sirf daad dene HaaZir hoovii hooN. umeed hai keh meHsoos naheeN kareNge.
quoted ashaar ziyadah ache lage so daad qubool keejiye.
aur ab keh zaraa jaldii aahiye gaa.
Khush rahiye
muKhliS
Zahida Raees :Raji:
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
Re: Bahut khoob, waah waah
WEBMASTER wrote:
Azeezi
Zia Baloch SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki yeh ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Apni beHad maSroofiyat ki vajh se tafSeeli tabSirah karne se qaaSir hooN. MaAzirat khwaah hooN.
Aapka MukhliS,
Nazir.
moHtarami Nazir SaaHib, aadaab
janaab ki aamad hi hamaara leye HoSla afzaa hai ! sab aap ka Husn-e-nazar hai ! Allah ta'aala aap k kaam aasaan banaaye aameen !
shukriya
Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Saara SaaHiba, w.salaamsara_j wrote:Zia Baloch sahib,
adaab arz hei.
aapki ghazal ke zariye aapki khairiyet ka paigham mila.......
ghazal pasand aayi daad qubool keejiye.
shukriya
sara
sach kahaa aap ne , ab ham apna paiGhaam Ghazal k ...........
kyaa kareN............
bahar Haal , aap kaa Husn-e-nazar hai jo Ghazal aap ko pasaNd aayee hai ! shukriya
Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Dear sis, aadaabRaji wrote:Bradaram :Zia Baloch:bahaar aati hai to ham wafaa k pholoN se
shab-e-firaaq k gaisoo sajaane lagte haiN
5.
tiraa Khayaal rag-o-pay maiN youN utartaa hai
k zihn-o-dil k diye TimTimaane lagte haiN
6.
chaman maiN aate haiN naaz-o-niyaaz key mausam
to tere hijr maiN aaNsoo bahaane lagte haiN
7.
mataa'-e-shauq luTaatee hai aaNkh saaqee ki
to ham bhi dil k Khazaane luTaane lagte haiN
8.
tamaam u'mr guzaaree ye soch kar ham ne
tumheN bhulaane maiN kitne zamaane lagte haiN
9.
chaman se jab bhi guzartee hai gungunaa k Sabaa
t^iyoor-e-kunj-e-qafas phaRphaRaane lagte haiN
Zia Baloch
Aadaab,
meHfil se aap tu youN Ghaa,ib hoove jaise...? :)
aap ko tu har baar welcome back karnaa paRhta hai.
Ghazal ka majmooii rang achaa hai. tafseelii aaraa ke liye filHaal waqt naheeN hai isliye sirf daad dene HaaZir hoovii hooN. umeed hai keh meHsoos naheeN kareNge.
quoted ashaar ziyadah ache lage so daad qubool keejiye.
aur ab keh zaraa jaldii aahiye gaa.
Khush rahiye
muKhliS
Zahida Raees :Raji:
aap ne bajaa farmaayaa , ab to ye ma'mool ban gayaa hai , kyaa kiyaa jaaye k baqol-e-shaair
qafas-e-tang-e-falak jaaye par afshaanee neest
yousufee neest dareeN miSr k zindaanee neest !
zindaaN se bhalaa ............
aap ka tabSira hamesaha HoSla baRhaataa hai !
jaldee aane ka wa'da kis taraH karoN k............
achcha behna ab ijaazat ?
Allah aap ko Khush rakkhe aameen!
tah-e-dil se mamnoon hoN ! shukriya