Diyay gayay misra-e-tarah par main nay bhi apni si koshish ki hai jo haazir hai. Apni qeemti aara zaroor dijiyay ga.
DAALA HAI TASHNAGI NAY YEH KAISAY AZAAB MEIN
DARYA TALASH KARTAY HAIN HUM HAR SARAB MEIN
AB DAIKHNA HAI HOTI HAI KAB MEHR'BAN WOH AANKH
REHNA HAI AUR KITNAY DINON TAK ITAAB MEIN
DARTAY HAIN NEEND AAYAY TU KHO JAYAY NA KAHEEN
PAAYA HAI JIS KO JAAGTI AANKHON KAY KHAWAB MEIN
YEH ISHQ KI HAI AAG JALA DAY GI JISM-O-JAAN
"DIL KIS SHUMAR MEIN HAI JIGAR KIS HISAAB MEIN
LOGON KAY DIL KA HAAL KHULAY KIS TARAH YAHAN
CHEHRAY CHUPA RAKHAY HAIN SABHI NAY NIQAB MEIN
IS MEIN HAMARAY KHOON KA PARTU BHI HAI ANIS
DIKHTI HAI JO NAYEE SI YEH SURKHI GULAAB MEIN
ANIS HASAN
TARAHI GHAZAL....GUZ.#2
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 40
- Joined: Sun Feb 06, 2005 8:38 pm
- Location: karachi
- Contact:
TARAHI GHAZAL....GUZ.#2
Last edited by Anis Hasan on Wed Feb 23, 2005 8:01 pm, edited 1 time in total.
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob Waah waah
MuHtarami
ANIS HASAN Saahib
Aapki TaraHi ghazal baasirah navaaz houi aur bahut pasand aayi.
1) DAALA HAI TASHNAGI NAY YEH KAISAY AZAAB MEIN
DARYA TALASH KARTAY HAIN HUM HAR SARAB MEIN
1) MaTlA bahut achcha hei.
2) AB DAIKHNA HAI HOTI HAI KAB MEHR'BAN WOH AANKH
REHNA HAI AUR KITNAY DINON TAK ATAAB MEIN
2) Yeh sheAr bhi bahut achcha hei. Lafz "itaab" ko "Ataab" likhne ke javaaz kaa mujhe ilm nahiN. Yeh bhii housaktaa hei ke typo hou.
3) DARTAY HAIN NEEND AAYAY TU KHO JAYAY NA KAHEEN
PAAYA HAI JIS KO JAAGTI AANKHON KAY KHAWAB MEIN
3)SheAr achcha hei. Pahle misreA meiN "nah" kii lambi aawaaz per ba'z asaatizah ko iAtiraaz houtaa hei lekin meri nazar meiN saHeeH hei.
4) YEH ISHQ KI HAI AAG JALA DAY GI JISM-O-JAAN
"DIL KIS SHUMAR MEIN HAI JIGAR KIS HISAAB MEIN
4) Bahut achchi girah lagaayi hei aap ne.
5) LOGON KAY DIL KA HAAL KHULAY KIS TARAH YAHAN
CHEHRAY CHUPA RAKHAY HAIN SABHI NAY NAQAB MEIN
5) SheAr achcha hei lafz "niqaab" ko "naqaab" kehna boul chaal kii ghalaTi hei.
6) IS MEIN HAMARAY KHOON KA PARTU BHI HAI ANIS
DIKHTI HAI JO NAYEE SI YEH SURKHI GULAAB
MEIN
6) MaqtaA bhi achcha hei lekin doosre misreA meiN ba'z alfaaz "Hashwo" ke heiN jaise "nayi si yeh". Is misreA ko yooN kiyaa jaasaktaa hei:
(aati hei jou nazar hamaiN surkhi gulaab meiN) yaa jaise bhii aap munaasib samjhaiN.
Is tabsireh ke ba'd maiN yeh bataadenaa zaroori samajhtaa hooN ke aapka meri aaraa se muttafiq hounaa zaroori nahiN.
Aapki is dilkash ghazal per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka Mukhlis,
Nazir.[/i]
Re: TARAHI GHAZAL....GUZ.#2
--Wahhhhhhhh behad umda MATLA!!!DAALA HAI TASHNAGI NAY YEH KAISAY AZAAB MEIN
DARYA TALASH KARTAY HAIN HUM HAR SARAB MEIN
--giraah bhi khoob hai!YEH ISHQ KI HAI AAG JALA DAY GI JISM-O-JAAN
"DIL KIS SHUMAR MEIN HAI JIGAR KIS HISAAB MEIN
--wah wah bahut sahii farmaaya..!LOGON KAY DIL KA HAAL KHULAY KIS TARAH YAHAN
CHEHRAY CHUPA RAKHAY HAIN SABHI NAY NAQAB MEIN
--wah maqta bhi achcha hai aur Nazir sahab ki tajveez bahut achchi aur munaasib lagi :)IS MEIN HAMARAY KHOON KA PARTU BHI HAI ANIS
DIKHTI HAI JO NAYEE SI YEH SURKHI GULAAB MEIN
Janaab Anis Hasan sahab..bahut achchi ghazal kahi hai saade alfaaz mein..sabhi sher achche hain..khaaskar quoted ash'aar..daad haazir hai :D
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
-
- -
- Posts: 40
- Joined: Sun Feb 06, 2005 8:38 pm
- Location: karachi
- Contact:
-
- -
- Posts: 40
- Joined: Sun Feb 06, 2005 8:38 pm
- Location: karachi
- Contact:
-
- -
- Posts: 40
- Joined: Sun Feb 06, 2005 8:38 pm
- Location: karachi
- Contact:
Re: Bahut khoob Waah waah
Mohtaram "NAZIR" Saheb aap ka buhat shukriya keh aap nay itni muhabat aur tawajah say meri ghazal ko parha aur itna bharpoor tabsira bhi kiya. Zaban ki jin ghaltion ki taraf aap nay tawajah dilai hai unhain durust kar raha houn. Maqtay ka jahan tak taaluq hai tu jo tabdeeli aap nay tajweez ki hai pehlay meray zehan mein bhi yehi misra tha laikin mujhay aisa mehsoos hua keh is tarah meray zehan mein jo khayal hai woh sahi say tarseel naheen ho raha kiyoun kay yahan bunyadi khayal nayee surkhi ka tha. Umeed hai keh aap aaindah bhi isi tarah rehnumai kartay rahain gay.Abdullah Nazir wrote:
MuHtarami
ANIS HASAN Saahib
Aapki TaraHi ghazal baasirah navaaz houi aur bahut pasand aayi.
1) DAALA HAI TASHNAGI NAY YEH KAISAY AZAAB MEIN
DARYA TALASH KARTAY HAIN HUM HAR SARAB MEIN
1) MaTlA bahut achcha hei.
2) AB DAIKHNA HAI HOTI HAI KAB MEHR'BAN WOH AANKH
REHNA HAI AUR KITNAY DINON TAK ATAAB MEIN
2) Yeh sheAr bhi bahut achcha hei. Lafz "itaab" ko "Ataab" likhne ke javaaz kaa mujhe ilm nahiN. Yeh bhii housaktaa hei ke typo hou.
3) DARTAY HAIN NEEND AAYAY TU KHO JAYAY NA KAHEEN
PAAYA HAI JIS KO JAAGTI AANKHON KAY KHAWAB MEIN
3)SheAr achcha hei. Pahle misreA meiN "nah" kii lambi aawaaz per ba'z asaatizah ko iAtiraaz houtaa hei lekin meri nazar meiN saHeeH hei.
4) YEH ISHQ KI HAI AAG JALA DAY GI JISM-O-JAAN
"DIL KIS SHUMAR MEIN HAI JIGAR KIS HISAAB MEIN
4) Bahut achchi girah lagaayi hei aap ne.
5) LOGON KAY DIL KA HAAL KHULAY KIS TARAH YAHAN
CHEHRAY CHUPA RAKHAY HAIN SABHI NAY NAQAB MEIN
5) SheAr achcha hei lafz "niqaab" ko "naqaab" kehna boul chaal kii ghalaTi hei.
6) IS MEIN HAMARAY KHOON KA PARTU BHI HAI ANIS
DIKHTI HAI JO NAYEE SI YEH SURKHI GULAAB
MEIN
6) MaqtaA bhi achcha hei lekin doosre misreA meiN ba'z alfaaz "Hashwo" ke heiN jaise "nayi si yeh". Is misreA ko yooN kiyaa jaasaktaa hei:
(aati hei jou nazar hamaiN surkhi gulaab meiN) yaa jaise bhii aap munaasib samjhaiN.
Is tabsireh ke ba'd maiN yeh bataadenaa zaroori samajhtaa hooN ke aapka meri aaraa se muttafiq hounaa zaroori nahiN.
Aapki is dilkash ghazal per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka Mukhlis,
Nazir.[/i]
-
- -
- Posts: 40
- Joined: Sun Feb 06, 2005 8:38 pm
- Location: karachi
- Contact:
Re: TARAHI GHAZAL....GUZ.#2
Ghazal ki pasandeedgi ka buhat shukriya Mohtarma "SHUMAILA".Shummu wrote:--Wahhhhhhhh behad umda MATLA!!!DAALA HAI TASHNAGI NAY YEH KAISAY AZAAB MEIN
DARYA TALASH KARTAY HAIN HUM HAR SARAB MEIN
--giraah bhi khoob hai!YEH ISHQ KI HAI AAG JALA DAY GI JISM-O-JAAN
"DIL KIS SHUMAR MEIN HAI JIGAR KIS HISAAB MEIN
--wah wah bahut sahii farmaaya..!LOGON KAY DIL KA HAAL KHULAY KIS TARAH YAHAN
CHEHRAY CHUPA RAKHAY HAIN SABHI NAY NAQAB MEIN
--wah maqta bhi achcha hai aur Nazir sahab ki tajveez bahut achchi aur munaasib lagi :)IS MEIN HAMARAY KHOON KA PARTU BHI HAI ANIS
DIKHTI HAI JO NAYEE SI YEH SURKHI GULAAB MEIN
Janaab Anis Hasan sahab..bahut achchi ghazal kahi hai saade alfaaz mein..sabhi sher achche hain..khaaskar quoted ash'aar..daad haazir hai :D
Shumaila
-
- -
- Posts: 40
- Joined: Sun Feb 06, 2005 8:38 pm
- Location: karachi
- Contact:
Re: TARAHI GHAZAL....GUZ.#2
Mohtarma "Sara" aap ki tareef aur daad-o-tehseen ka buhat shukriya.sara_j wrote:wah wah Anis Hasan saahib, tarahee misre per bohat alaa ashaar likhe hain aap. poori ghazal pasand aayi, shiar # 1, 3, aur 5 tou lajawaab hain.Anis Hasan wrote:
DAALA HAI TASHNAGI NAY YEH KAISAY AZAAB MEIN
DARYA TALASH KARTAY HAIN HUM HAR SARAB MEIN
AB DAIKHNA HAI HOTI HAI KAB MEHR'BAN WOH AANKH
REHNA HAI AUR KITNAY DINON TAK ITAAB MEIN
DARTAY HAIN NEEND AAYAY TU KHO JAYAY NA KAHEEN
PAAYA HAI JIS KO JAAGTI AANKHON KAY KHAWAB MEIN
YEH ISHQ KI HAI AAG JALA DAY GI JISM-O-JAAN
"DIL KIS SHUMAR MEIN HAI JIGAR KIS HISAAB MEIN
LOGON KAY DIL KA HAAL KHULAY KIS TARAH YAHAN
CHEHRAY CHUPA RAKHAY HAIN SABHI NAY NIQAB MEIN
IS MEIN HAMARAY KHOON KA PARTU BHI HAI ANIS
DIKHTI HAI JO NAYEE SI YEH SURKHI GULAAB MEIN
ANIS HASAN
dhair saari daad qubool keejiye.
sara