apnee chappal ki nazr (aik nazm)

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

apnee chappal ki nazr (aik nazm)

Post by yasir shah »

assalamOalaikuM!

chappal


na'lain-e-khastah.Haal ! ai na'lain-e-khastah.Haal !
teraa bayaan aur yeh ra'naaiy-e-khayaal

meraa kalaam aur yeh moZoo'-e-bai.micaal
CheRee hay nazm anoKhee ba.andaaz-e-purmalaal

ba'd aik u'rooj ke yahaaN aataa hay ik zawaal
na'lain-e-khastah.Haal ! ai na'lain-e-khastah.Haal !

hamraah thee jo too kiyaa dasht-o-daman ko paar
tere tufail aablah.paaee thee darkinaar

tere baGhair raastay kaTnaa muHaal thay
tere baGhair faaSlay khwaab-o-khayaal thay

too hay daleel is ki , meN SeHraa.naward hooN
too hay Gawaah is peh keh aawaarah.Gard hooN

afsos hay mujhe tire talway meN Chaid hay
Gard-o-Ghubaar se siyah rangat sufaid hay

qaail tiree wafaa kaa hooN yaaroN se kyaa kahooN ?
yeh naa.wafaashanaas abhee farmaa rahay heN yooN

zebaa naheeN hay too miree zebaaee ke liye
chappal puraanee ho to badal denee chaahiye
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bhut khoob, waah waah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Yasir ShaaH SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki nazam beHad pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Aap ne apne fun kaa izhaar bahut hii khoobSoorati se kiyaa hei, waah waah kyaa kehne.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Re: Bhut khoob, waah waah

Post by yasir shah »

WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Yasir ShaaH SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki nazam beHad pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Aap ne apne fun kaa izhaar bahut hii khoobSoorati se kiyaa hei, waah waah kyaa kehne.


Aapka MukhliS,
Nazir.

muHtaram janaab
Abdullah Nazir SaaHib !

assalamOla'laikuM

aap kaa be.Had shukr.guzaar hooN keh aap ko meree yeh Haqeer see kaawish pasand aa.ee --aap ki daad paa kar HoSleh baRh jaatay heN-


khush rahye
du'aago
yasir




Post Reply