aek Taazah Ghazal: Abdullah Nazir.

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

aek Taazah Ghazal: Abdullah Nazir.

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbab-e-MeHfil aur aHbaab-e-sukhan,

PurkhulooS Tasleemaat, :rose

Apni aek taazah ghazal pesh karne kii saAadat HaaSil karrahaa hooN. Ummeed ke aap apne giraaNqadr tabSire se navaazkar shukriya adaa karne kaa mauqaA denge.

GHAZAL roman meiN:

Bismil hou jaise apne hee qaatil ke saamne
HairaaN hooN shamA-e-shoAlah-shamayil ke saamne

Gou maiN hooN zindagi ke masaayil ke saamne
Chalti nahiN hei aek miri, dil ke saamne

Mauj-e-balaa hei khaufzadah jaane kis liye
Tanhaa khaRaa houaa hooN maiN saaHil ke saamne

Seenah sipar hameshah rahe aan baan se
Sar kham nah housakaa kisi mushkil ke saamne

Ai barq-e-naabakaar nah barbaad kar chaman
Barpaa yeh Hashr kyaa hei Anaadil ke saamne

Jeene kaa Dhang aataa hei zindaaN ki qaid meiN
TooTe nahiN heiN paauN salaasil ke saamne

Noor-e-charaagh-e-sheAr o sukhan teri khair hou
Chup hou nah jaayeN ham kahiN meHfil ke saamne

Her shakhS ko hei zuAm-e-junoon-e-wafaa yahaaN
Kya khel hei yeh parda-e-meHmil ke saamne

maiN fun ki raushni meiN bhi :Nazir: hooN kam nazar
jaise koii diyaa mah-e-kaamil ke saamne
=======


Aapka MukhliS,
Nazir.

Attachments
a_na_samne.JPG
a_na_samne.JPG (162.02 KiB) Viewed 158 times
Image
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

tabSirah

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram janab Abdullah Nazir SaHeb aadaab!

bayan-e-Husn se rangeen hai bayan-e-Ghazal
numayaN Husn-e-bayaN se huee hai shan-e-Ghazal.

aap kee tazah Ghazal abhee abhee dekhne ka maoqa' mila hai.
kiya kehne bohot HaseeN dilkash aor pur sooz she'er keh kar aap
ne apnee fit^ree SalaHiyatooN ka bhar poor cubot faraham kar diya hai.

maZ^ameen ko fit^ree andaz meN bayaN karna hee aSal ma'raaj-e-fan hai. aap ke ista'are aor tashbihaat dil aawez haiN. Ghazal meN agar achota pan hai to jiddat ke zae'qe bhee haiN. kalam meN rawanee aor sheerinee bala kee hai.

a'aam kalasikee rawayat tadbeer par taqdeer kee bartaree kee rahee hai.
aap kee Ghazal ka zeyadah tar jhukao Ghazal kee kalasike rawayat kee janib hai. yahee wajah hai keh dard-o-ranj, furqat,tamanna,hijr-o-wiSaal, GharZ^ sabhee kefiyaat aap kee Ghazal ke bunyadee muHarri´kaat haiN.

haiyat aor maoZ^oa' donooN aa'tabaar se aap rawayat ke sath chalte haiN.
aor yeh iqdaam aap kee shae'eree ko do aatishah kar deta hai. majaaz kee garift aap ke kalam aor fikr par Hawee hone ke bae'c kalam meN taGhazzul ka rang
khaliS aor raoshan hai. yahee wajah hai keh aap kee Ghazal degar masae'el-e-zamanah se agarcheh tahee daman ma'loom hotee hai.lekin ra'naee-e-bayan-o-rang-e-taGhazzul se mala maal hai.

is HaseeN Ghazal par meree janib se dad-o-teHseen ke guldaste qubool kijiye.

wassalam
muz^affar aHmad muz^affar
Post Reply