"haq ke parastaaro.n ka"taza tarhi ghazal pesh hai

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

"haq ke parastaaro.n ka"taza tarhi ghazal pesh hai

Post by haamidbaaqri »

salaamun alaikum
dosto

aik aur tarhi ghazal aapke hawaale kar rahe hai.n.

gar qubool uftad zahe.........

arz kiya hai.......


haami hota hai khuda haq ke parastaaro.n ka
haal behaal hai baatil ke tarafdaaro.n ka

aksariyyat hai siyaasat mei.n daghaabaazo.n ki
haq ada yeh nah kare.nge kabhie haqdaaro.n ka

nah daro cheen lo haq apna har ek ghaasib se
inquilaabi bano mu'nh todh do ghaddaro.n ka

jo munaafiq hai.n qiyaamat mei.n yahi bolay.nge
"koyee pursaa.n nah hua hum se gunahgaaro.n ka"

zulm se ladna hai jab tumko jahaa.n mei.n haamid
khauf kyu.n khaate ho duniya ke sitamgaaro.n ka

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah

mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Post by tahira Masood »

Hasb-e-ma'mool bohat hi a'alaa

daad qabuul fermaaiN

wassalam
live and let live

Image
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Haamid Baqri SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal beHad pasand aayi jiske saare ashAar bahut dilkash heiN. Is kaamyaab kaavish per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

.
Aapka MukhliS,

Nazir.

Image
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Haamid Baqri SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal beHad pasand aayi jiske saare ashAar bahut dilkash heiN. Is kaamyaab kaavish per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

.
Aapka MukhliS,

Nazir.

Image
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

shukriya

Post by haamidbaaqri »

tahira Masood wrote:Hasb-e-ma'mool bohat hi a'alaa

daad qabuul fermaaiN

wassalam
salaamun alaikum
mohtaramah tahira masood saahebah

aapki purkhuloos daad ke hum behad shukrguzaar hai.n.

jazakallah

mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: Bahut khoob

Post by haamidbaaqri »

WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Haamid Baqri SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal beHad pasand aayi jiske saare ashAar bahut dilkash heiN. Is kaamyaab kaavish per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

.
Aapka MukhliS,

Nazir.

salaamun alaikum
mohtaram abdullah nazir saahib

aapki musalsal hausalah afzaayee,purkhuloos daad aur mubaarakbaad ke hum behad shukrguzaaar hai.n.

allah(sbhnwt)aap per apni rehmato.n ki baarish kare.aameen

aapka mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Post Reply