salaamun alaikum
dosto
aapki khidmat mei.n aik aur tarhi ghazal pesh kar rahe hai.n.
gar qubool uftad zahe............
arz kiya hai....
bol baalaa zulm ka hai zor ab baatil ka hai
"kya qiyaamat kheez manzar koochaye qaatil ka hai"
zulm kamzoro.n peh karna unke haq ko cheen'na
yeh bahaadur ka nahi.n hai kaam ek buzdil ka hai
maslako.n ke naam per ladwaana aapas mei.n janaab
kaam ^aalim ka nahi.n yeh kaam tau jaahil ka hai
aik ka'aba aik qiblah ek khuda aur ek kitaab
hum musalmaa.n aik hai.n sab qaul yeh ^aadil ka hai
hum nah bhatke.nge kabhie haamid khuda ki raah se
raahbar ahmed(s.a.w.)hai.n humko dar kahaa.n manzil ka hai
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
"kya giyaamat kheez"tarhi ghazal pesh hai
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
"kya giyaamat kheez"tarhi ghazal pesh hai
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
shukriya
mohtaram farhaan saahibfarhan wrote:
Haamid Saheb
As salamu aalaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu
hameesha ki tarah munfarid mazameeN aap nay is baanday hain...jo layiq-e-sad tehseen hain....mayri jaanib say ek kamiyaab ghazal per dili daad hazir hai....qabool farma kar shukriya ka mouqa eeniyat farmayeeN.
talib-e-dua
farhan
salaamun alaikum
bahut bahut shukriya aapki purkhuloos daad ka.
salaamat rahe.n
aapka mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob, waah waah
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki TaraHi ghazal bahut ziyaadah pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka MukhliS,
Nazir,
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
Re: Bahut khoob, waah waah
mohtaram abdullah nazir saahibWEBMASTER wrote:
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki TaraHi ghazal bahut ziyaadah pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka MukhliS,
Nazir,
salaamun alaikum
ghazal ko pasand farmaane aur apni mukhlisaanah daad se nawaazne keliye hum aapka tahe dil se shukriya ada karte hai.n.
jazakallah khair
aapka mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
- khozema husaini
- -
- Posts: 150
- Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
- Contact:
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
shukriya
salaamun alaikumkhozema husaini wrote:janaab baaqri saheb
aadaab
aap ki tarHi ghazal pasand aai meri janib se daad Haazir hai qubool farmayeN
Husaini
mohtaram khozema hussaini saahib
bahut baut shukriya aapki mukhlisaanah daad ka.
salaamat rhe.n
aapka mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa