Azeezan e Bazm
Taslimat
Aik ghazal le kar aap ki bazm main hazir hua hooN, umeed hay pasand aaygi, aap ki aaraa aur taacurrat ka shidat se intizar rahay ga.
Mukhlis
Muhammad Ahmed
GHAZAL
1.
Dar ho kar dewaar maiN rehna achha lagta hay
YoN hi teray pyar miaN rehna accha lagta hay
2.
YoN us ne inkar kia ke jaisay us ko bhi
Na keh ker iqrar miaN rehna accha lagta hay
3.
Band gali ke aakhir maiN so rastay khultay haiN
rastoN ko dewaar maiN rehna accha lagta hay
4.
Lamha bhar ko bad-e-saba aaNgan mehkati hay
Khushboo ko raftar maiN rehna achha lagta hay
5.
Dil ki kahani sab ko sunana aur nehaN rakhna
razoN ka ash'aar miaN rehna accha lagta hay
6.
Harf o maa'ni ke jangal miaN titli ban jana
LafzoN ke asraar miaN rehna accha lagta hay
7.
Dil ka haal na pooCHHo :Ahmed: dil dewana hay
Us ko to aazaar miaN rehna accha lagta hay
Dar ho kar dewaar maiN rehna achha lagta hay
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- munir-armaan-nasimi
- -
- Posts: 460
- Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
- Location: INDIA
- Contact:
-
- -
- Posts: 338
- Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm
Janab Munir Arman Nasimi Sahibmunir-armaan-nasimi wrote:Bahut Khoob Mohammed Ahmad Saheb. Daad Qubool karein. Ghazal bahut pyari hai.... khaas kar ye sher....
Harf o maa'ni ke jangal miaN titli ban jana
LafzoN ke asraar miaN rehna accha lagta hay
Allah kare zor-e-qalam aur ziyada.
aap ka mukhlis,
armaan
Adab
Ghazal ki is qadar pazeerai per dil be had shaad hua, Aap ne jis khuloos aur muhabbat se meri adna kawish ko saraha us ke liay main aap ka be had mamnoon hoon. Umeed hay aainda bhi hosla afzaai farmatay rahain ge.
Mukhlis,
Muhammad Ahmed.